Thumbnail for The Great Sultan Mehmed Fatih ⚔️ | Usmaniya Khilafat by The Kohistani

The Great Sultan Mehmed Fatih ⚔️ | Usmaniya Khilafat

The Kohistani

2m 31s240 words~2 min read
Auto-Generated

[0:00]Muslmanoo kay 4 barray khalifa. Abu Bakar, Umar, Usman aur Ali R.A. Sirf kuch hi salon kay andar Roman aur Persian empire ko. Crush kar chukay thay. Jis kay bad Muslmanoo nay Persian empire kay capital ko to asani say fatah kar lia tha. Lakin Roman empire kay capital ko Muslman aglay 800 saal tak fatah nahi kar sakay. Muslmanoo kay ye 4 khalifa Roman empire kay capital kay itnay qareeb ponch chukay thay jahan say agay bas thora sa hi aur rasta tha. Lakin Khilafat-e-Rashida kabhi bhi Roman empire kay capital tak nahi ponch sakay. Khilafat-e-Rashida kay bad Muslmanoo kay 5 baray badshahoon nay Roman empire kay capital ko fatah karnay ki koshish ki. Jin may say 4 badshah boori tarah fail ho gaye. Lakin akhir 5v hamlay may sirf aik 21 saal kay larkay nay is sheher ko fatah karnay kay liay aik bohat bari foj banayi. Duniya ki sab say bari top banayi. the silica, it's huge, this thing is a monster. Aur is sheher ko fatah karnay kay liay duniya ki history may pehli bar logon nay kashtiyoon ko samandar par nahi balkay paharoon par chaltay huay dekha. Is 5v badshah ka naam tha Sultan Mehmood Fateh. Aj duniya may aik sheher aisa hai jo pichlay 2000 saalon may sirf aur sirf 2 bar fatah hua hai. Matlab ye aik aisa sheher hai jo 1000 saalon may sirf aik bar hi fatah kiya ja sakta hai.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript