[0:00]Hello guys, aaj hum karne wale hai bahut samay baad solo versus squad, double arm gameplay, bahut hi khatarnak. Bada mazaa aayega. Map aaya hai Bermuda, aur jo naya update aaya na guys, sahi batau toh maine zyada khela nahi hai. Kyunki aapko pata hai ki main thoda busy tha, par mujhe itna pata hai ki ek hathode jaisi cheez game mein aayi hai, aur woh itni khatarnak hai. Pata nahi hum log kaise survive karenge, apni aankhon ke saamne agar woh subah leke aayega toh. Filhal toh hum jaayenge high school mein jo ki humara pehle tha peak, par koi baat nahi. High school ho ya peak ho, bande hamesha yaha par sabse zyada aate hai, isliye hum log bhi bhai yahi pe jaayenge. Mere khayal se scanner mein dekh ke toh lag raha hai ki do team aayi hui hai, aur jab tak mujhe AWM nahi mil jaati, tab tak mujhe inke maar ke at least paise ikhatta karne padenge, taaki main arsenal ki wagera le saku. Aur waha par se guys hum log le paayenge. Yahan upar ke side se guys firing ho rahi hai bahut zyada, mujhe lagta hai saare bande isi ghar mein ghus gaye kya? Mere paas hai ek shotgun, bhai awaaz, accha upar hai bhai. Ayy! Nahi, nahi, bhai pakka mara jaaunga. Ruko abhi yeh log mujhe aane ke liye, oh bhai, ayy! Yeh baat, isko bolte hai na dimag. Yeh ladki kahan gayi? Yeh lagta hai mujhe neeche dhoond rahi hai. Bhai, tere dost ko maine upar tapka diya hai. Mere khayal se abhi woh left se awaaz aa rahi hai. Kahan gayi yaar? Awaaz toh ishi kamre se aa rahi hai, upar bhi nahi hai woh. Kahi baahar chat mein toh nahi ghum raha hai? Aisa ho sakta hai, kai baar. Oh bhai! Ruko abhi kuda hai yeh banda. Teri toh, kahan gaya tu? Khaali hath bhag raha hai, iske paas hathoda na ho bas. Ah! Wah! Tere ko kood ke yahi par aana tha? Iska dost, isko bhi headshot. Apunk ko halke mein nahi lene ka. Abhi humare paas guys, enough tokens ho gaye hai na? 1200 tokens humne logo ko maar-maar ke inki dhajjiya udaa di hai, aur bhai dher saare token ikhatta kar liya hai. Lekin AWM ke liye na hume aur zyada paison ki zaroorat hai. Toh I think abhi high school toh clear ho chuka hai, sabhi logo ko maine pehle hi fail kar diya. Toh sab ke sab ko repeat karna padega. Unko revive mil jaayega, but mere ko itna dhyaan dena hai ki apun log single hai guys aaj. Solo hai, toh humko revive ka chance nahi milne wala hai, isliye sambhal ke khelna padega. Toh chalo abhi neeche ki taraf chalta hu guys. Yahan par toh mujhe lagta nahi ki koi hoga, koi hoga bhi na toh ab unko pata chal gaya ki bhai ek angelic paint wala banda bahut khatarnak killa hai. Isse door raho blue wala. Toh abhi guys hum log jaayenge Pochinok ki taraf, aur, are yeh dekho, abhi-abhi humare saamne koi kooda hai. Tere ko aur koi jagah nahi mili? Dekho kaise bhag raha hai, tera khel khatam hai bhai. Ayy, yeh kya hua? Goli kyu nahi nikli? Kahan, kahan tak bhagega? Kahan tak bhagega haan? Isko mil chuki hai guys bandook. Isko na hum one tap marenge theek hai, koshish karke. Mujhe lagta nahi ki yeh. Ayy! Bhai sahab. Yeh bechara aakhri banda tha jo revive hua tha, dekho poori team dekh rahi hai mujhe. Ho gaya na minus. Bhai sahab, uske paas MP40 tha yaar, mereko laga MAC10 wagera chalaayega, toh koi darne wali baat nahi hai, but bach gaye. Overconfidence abhi humko le doobta. 5 kills ho chuke hai guys, agar aap log channel mein naye hai toh ek like karo is video ko, aur channel ko subscribe karlo bhaiyo. Taaki hum aur bhi videos mazedaar dekh sake, enjoy kar sake. Yeh glue wall kaise lagayi Gojo wali? Mere paas hai glue wall nahi yaar, us time pe main offline tha. But haan mere paas, yeh dekho yeh zyada shana ban raha hai, teri glue wall hai na? Yeh le, khel khatam tera bhai. Tu mereko kabse chip ke dekh raha tha. Hit list bhi guys maine le li hai aur sabse main cheez jo humko chahiye, woh hai humari arsenal key. Kyunki wahi se guys hum logo ko milenge bahut saare AWM, ki goliyaan bhi hogi toh mazaa aayega, waise AWM toh mil jaayegi na? Waise pichle wale update mein toh mujhe yaad hai ki AWM nahi mil rahi thi, but I think is update mein unhone woh cheez theek kari hogi, ab toh yeh, bhai kholne ke baad hi pata chalega. Heavy kharcha kar diya dosto. Yeh dekho AWM mil gayi hai. Nice, pehle se AWM yaha milti thi, but aajkal toh AWM hi mil jaaye, ushi mein khushi mil jaati hai, kyunki milti hi nahi hai yeh hathiyar. Aisa rare ho gaya hai. Dusri gun guys maine li hai abhi XM8, jab tak ki humko dusri AWM na mil jaaye bhaiyo. Dikat wali baat nahi hai. Ayy, kaun goli mara? Abhi toh maine bas AWM pakdi thi. Chaaron taraf goliyaan pad rahi hai, pehle isko maarte hai. Yeh baat, pehla headshot. Oh ho, yeh toh mara hua tha. Alright, pehla khata kholte hue guys, hum log yahan par abhi chalte hai saamne ki taraf. Ayy, koi toh ud ke aaya factory se. Yeh dekho bhag raha hai. Nahi, tu bhag nahi sakta. Coin bhi lete rehta hu yaar, hume bhi aur coin ki zaroorat hai dusri AWM ke liye. Kahan gaya? Yeh dekho, yeh bhag raha hai. Aaja, aaja, aaja, dekh liya tune mujhe. Khatam. Ohy! Yeh glue wall kisne lagayi?
[5:22]Oh ho, pyaara headshot lag sakta tha, but last time pe hil gaya. Koi nahi, guys abhi humare paas aur chance, dekho bhag raha hai, dekho. Ek goli padte hi bhag leta hai, yahi toh fayda hota hai AWM ka. Bhai logo ki na ek goli padti hai, hawa tight ho jaati hai. Abhi maine iska dost ko uda diya hai, aur yeh banda upar kab tak chhipe rahega petrol ki tanki mein, mujhe yeh dekhna hai bas. Yahan par waise blue zone bhi hai. Toh loot wagera bhi acchi milti hai. Ayy, bhag raha hai dekho bhag raha hai, iski toh. Headshot. Bhai, hacker level ka yahan par headshot maar diya. Ayy, mera kill. Oh ho, mera kill chori kar diya isne. Tereko koi aur nahi mila tha kya? Itna pyaara headshot maine usko mara tha bhai, prediction laga ke. Kar diya na mood kharab. Abhi toh bhai teri poori squad ko bhar paayi karni padegi. Iski squad ko guys poori bhar paayi karni padegi, mujhe pata hai yeh aas paas hi hai. Yeh dekho, yeh kaisa aa raha hai revive karne ke liye. Tu hai na uska, tu hai na uska saathi. Le bhai, tujhe bhi headshot. Khel khatam. Aaj toh bhai sabko head marunga, chahe XM8 ho ya AWM ho, nahi chhodunga kisi ko bhi. Abhi guys hum log chalte hai aage. Wah! Bhai sahab, aap clock tower jaa rahe ho revive karne? Yeh pehle hi kood gaya. Itna confidence. Yeh baat. Bhai iske paas AWM hai kya? Are wah, iske paas toh AWM hai guys. Aa gaya na mazaa? Hum log toh AWM ke liye itne paise ikhatta kar rahe the, but yeh bhai ne pehle hi si, aur yeh bhi sniper tha. Aur main fir bhi kholunga, kya pata kuch accha mil jaaye, AWM wagera. Usmein na thoda glue wall wagera aasani se toot jaati hai, abhi toh humare paas simple AWM hai. Woh bhi unlimited wali. Chalo abhi guys hum log chalte hai. Dubaara se apni Jeep mein baith jaata hu main, aur 21 bande bache hai is lobby mein. Main waise shuruwat mein, mereko yaad hai, 47 players aaye the. Toh abhi bache hue hai 20, yaani ki 5-6 bande toh abhi aur revive honge guys. Yeh dekho, yeh aa hi raha hai mere khayal se revive karke. Ek shot, are bhai yeh thoda chalak banda lag raha hai. Lekin glue wall mein kya hi kaam karegi humari power? Wah, bhag raha hai. Yaar iski Lamborghini. Ek toh na booster wala option aaya hai, toh iski Lamborghini bahut fast bhag jaayegi. Main bhi lagata hu booster. Are nahi, nahi, nahi, nahi, nahi. Bhai, control nahi hoti hai yaar jab booster lagate hai toh. Woh banda toh bhag gaya. Toot ja. No bhai. Successfully bhag chuka hai, but mujhe lagta nahi woh zyada door bhagega, kyunki dekho guys yahan par shop hai. Main 100% sure hu woh kisi ko toh revive karne ke liye ruka ho sakta hai. Yeh dekho, ek banda maine dekha, ek shot. Are bhai, wall laga di. Oh AWM. Accha guys woh car wala aa raha hai. Iska dost toh gaya bhai. Humari taraf rush karoge haan? Bhai sahab, 150 HP kar di yaar. Kaun si bandooke chalaane lag gaye yeh log? Okay, meri taraf hi aa raha hai guys woh car wala. Aaja, aaja, pehle isi ko marunga, uske baad hum. Yeh baat. Eh. Aim kyu nahi lag raha hai? What? Kitni movement kar raha hai bhai tu? Ek jagah ruk ja na. Marta kyu nahi hai? Yeh le. Ho gaya na team wipe out. Khaali don ban raha hai wahan par se gaadi mein gol-gol ghoom ke. Abhi guys jo peeche banda tha na, maine usko mara hi nahi. Yeh dekho, bhag raha hai. Yeh bechara revive karke bhag gaya. Shayad usko pata hai ki yeh angelic paint wala banda toh bahut marega, lekin main tujhe bhagne nahi dunga bhai. Are yaar. Ek second ke liye bhi agar shot miss ho jaaye na bhai, in logo ko chance mil jaata hai bachne ka, but ab main tere ko bachne nahi dunga. Kyunki tu hai paidal aur main hu gaadi mein. Kab tak heal karega? Yeh le. Oh, heal kar bhi liya. Khatam hai bhai, tu khatam hai. MP40 ki power dikha raha hai kya? Yeh le. Ho gaya na khel khatam. Double AWM ke saamne kisi ki bhi nahi chalti mere bhai, kisi ki bhi nahi. Koi khatarnak wali MP40 chala raha tha woh bhi. Chalo guys dubaara se baith jaate hai apni golden McLaren mein, aur abhi yahan se nikalne ke waqt ho chuka hai guys. Booyah karenge aaj, theek hai, booyah karne ka pura focus rahega. Chahe saamne kitne hi sniper aa jaaye, abhi toh filhal main chalta hu zone ke andar. Dekho chaar log mujhe dekh rahe hai, keh rahe hai ki bhai kaun hai, yeh koi hacker toh nahi hai itne kill karne wala? Kyunki mere bhai main hu Badge99, woh bas maine abhi V-Badge off kara hai, taaki poore 50 ke 50 bande ikhatta hoke mujhe na maarne lag jaaye. Toh isliye, abhi guys main pehle sabse pehle pahunch gaya hu apni location par. Yeh dekho. Down hai ek aur kill. Bechara kahan bhag raha tha paidal paidal. Abhi marenge hum left side walo ko, jinke liye hum yahan par aaye hai. Kahan par hai? Yeh dekho. Apni taraf hi aa raha hai. Khatam. Scene khatam hai bhai. Yeh kaun hai? Mere khayal se yeh bechara ishi se bachkar aaya tha. Right mein bhi banda hai, uske peeche bhi player hai aur pathar mein bhi player hai guys. Yeh dekho, inki fight ho gayi. Ek kill. Bhai yaar, isko chale jaayega kill. Yeh bhi down. Kisi aur ne down kar diya. Are bhai woh kill bhi nahi aaya apne paas. Koi nahi, 17 kills guys ho chuke hai aur zone pe bhi banda shuru ho gaya bhai. Bhai log yahan se nikalna padega. Pehle main isko marta hu na bhai. Wah. Isko toh net hi nahi chal raha hai guys, dekho. Bechara last player ko revive toh kara, lekin shayad uski mummy aa gayi thi aur phone chheen liya usse.
[11:17]Wahi pe baitha reh gaya woh. Abhi humare ho chuke hai 19 kills guys, aur guess karte hai aaj hum kitne kill kar paayenge, okay. Abhi mujhe 6 log bache hai. Waise ek revival ka chance hai. Toh yahan par bhi main ek baar check kar lu, kya pata koi aa jaaye revive karne ke liye. 26 kill ke aas paas toh hum log kar sakte hai agar last tak tik paayi toh. Yahan par toh koi nahi hai na? Oh, aur mere khayal se ab toh hum hit list bhi nahi le sakte hai na? Aakhri zone mein pichle update mein toh yahi tha, ek baar main check karta hu.
[11:51]Wah, le sakte hai. Mere khayal se woh last streaming squad mein hota hai. Toh guys, yeh banda humare saamne hai, yeh dekho. But main ek baar left side acche se dekh leta hu. Koi chhipke toh nahi baitha hai na, pata chala gaadi ki awaaz se woh chhip gaya aur last mein aake dhappa de diya humko. Kya mast lag raha hai Gojo, dekho double AWM ke saath. Dress toh mast hai bhai, kuch bhi bolo. Okay, abhi baatein bahut ho gayi hai guys. Neeche ki taraf chalte hai, last ke top five bande bache hai. Yahi raha humare saamne banda. Main gaadi nikalta hu yaar, woh bechara zone ke andar bhag raha hai paidal paidal. Chalo bhai, McLaren ka kamaal dikhao. Full speed mein bus booster mat khul jaana, warna zone ke baahar chale jaayenge. Yahi aas paas guys humara shikar hona chahiye. Yeh raha. Bhag raha hai, dekho revive karne ke liye. Are bhai, kya gol-gol ghumate hai yeh log diware laga ke. Hit list hai bhai, aise nahi jaane dunga. Ek aur banda. Headshot. Bechara kisse chhip raha tha yaar yeh? Is ped ke peeche. Sonu bhai, I am sorry yaar, main tumhe aise nahi marna chahta tha, but kya kare, abhi booyah karni hai na apne ko? 21 kills ho chuke hai guys, aur mere khayal se yeh poori ek squad bachi hai. One versus four situation, but yeh log hai kahan par? Itna toh main sure hu ki Cape Town mein koi toh hai, kyunki Sonu bhai humare jo hai, wahi par chhip rahe the ped ke peeche. Yeh dekho, yeh nikla banda. Pehle thoda main apni car ko safely park karta hu, aur yahan se marenge. Kya isne mujhe dekh liya? Nahi dekha hai. Wah, kahan chhip raha hai tu? Are bhai, glue wall ki speed kuch bhi bolo, bahut tez ho gayi hai players ki aajkal. Lekin main todunga wall. Toot ja. Bhai, wall pe wall lagaye jaa raha hai. Ab lagta hai car leke uske paas jaana padega. Ayy! Bhai, mere saamne bhi banda hai. Chalo bas ek goli maarni hai is ladki ko. Bahut don ban rahi hai na tu? Ruko mere paas grenade hai kya? Yeh le. Are nahi, nahi, nahi, nahi. Bhai sahab, do goli mein yaar 150 HP kar dete hai, aisi-aisi guns aa gayi hai game mein. Peeche se rush ho chuka hai, I guess. Isko marna, bhai 200 ka mara, mara kyu nahi? Okay, pehle isko maarte hai, ek padi. Oh, itni jaldi kaise mar gaya main? Usne pet chhod diya. Are bhai, yeh kya hua last mein? Main jeet nahi dekhna chahunga. Pehle toh ladki ko maine mara 200 ka, woh mari hi nahi. Are bhai, isne mujhe pet se uda diya yaar. Koi baat nahi guys, I hope aap logo ne aaj ka game play enjoy kara hoga. Make sure to like and subscribe. Milta hu guys aap logo se next video mein, tab tak ke liye bye bye, thank you so much for watching.



