[0:01]Hello student Vinoba Vishwavidyalaya ke semester semester one ke student jinka bhi exam chal raha hai aur jo exam acche se de rahe hain BSC paper ke baad aapka paper hai IKS aur IKS mein do lecture hum log record kar chuke hain aap log bar-bar bol rahe hain ki lecture ko ja ke playlist mein dekhiyega to sara lecture ek jagah milega.
[0:16]Hai na kyunki dekhte hain kuch video ko zyada log dekhta hai, kuch video ko kam dekhta hai, iska matlab hai jo tukka mar ke dekh le jo mil ja raha hai hum dekh le rahe hain nahi playlist mein ja ke dekhiyega sabse pehle channel ko subscribe kar lijiyega taaki aapke pass notification jaye.
[0:30]Ye jo sambandh hai hamara aur aapka ek saal ka nahi hai. Abhi aapko char saal rehna hai graduation mein aur char saal hum aapko support karne wale hain to char saal ke liye sambandh agar accha hai to ek like aur subscribe zarur kar lijiye taaki aapke pass bhi video ka notification jaye.
[0:40]Hum log third lecture ki taraf chal rahe hain. Third lecture ki taraf chal rahe hain aur main aapko fir bata deta hoon.
[0:46]Ki hamare yahan PDF notes bhi hai, live class bhi hai aur ye to YouTube free class hai hi.
[0:51]YouTube pe free class bhi aapko denge aapko PDF notes ye pehle se de denge abhi bahut baccha bol raha hai sir itna jaldi kaise padh lenge.
[0:56]Bhai ye to samasya hai ki itna jaldi aap kaise padh loge lekin iska hum log kya denge PDF notes pehle se rehta hai 199 rupees ka abhi notes dala hua tha abhi to 49 rupees ka ho gaya.
[1:07]Ja ke application se kharid sakte hain CWH online academy ke naam se app hai aur zyada dikkat hoga to ye number jo screen pe chal raha hai isse aap contact kar sakte hain.
[1:14]Theek hai? Lekin hum log semester two mein jo ho gaya one mein so ho gaya ab semester two mein starting mein hi aapko notes mil jaayega BB Semester one ka B.Com, B.Sc aur BA ka sabka notes milega science ho commerce ho arts ho sabka notes available rahega to aap pehle se kharid ke taiyari kijiyega to aapko fayda hoga.
[1:29]To pehle se kharid ke aapko taiyari karni hai to uska fayda aapko milega theek hai to sab kuch pehle se rahega usko taiyari kar ke jayenge to exam likhne mein madad milega to pehle hi kharid lena exam time kharidne se paisa utna hi lagta hai lekin aap padh nahi paate hain to chaliye shuruat karte hain unit three.
[1:43]Unit three mein hum logon ko padhna hai Indian knowledge system kya padhna hai Indian knowledge tradition jisme humko padhna hai science ke bare mein art ke bare mein craft ke bare mein to sabse pehle yahan kya hai what are four vidyas char vidhayen kaun kaun hai to pehla vidha hota hai Aanvikshiki Trayi Varta aur Dandaniti.
[2:04]Char alag-alag vidhayen hoti thi logon ke andar ye char gun hote the Bharatiya parampara mein kitni vidhayen batai gayi hai to kahin kahin char vidhayen 18 vidhayen aur 32 vidhayen batai gayi theek hai.
[2:12]64 vidhayen 64 bhi vidhayen bolte hain 64 kala hai ye 64 parampariya kalayen aur kaushal the jo purane zamane mein the.
[2:20]Avantaran kalayen kya hai ye sahayak ya atirikt kalayen hoti thi.
[2:24]Jyotish kya hai jyotish bhi ek kala hai malum hona chahiye jo khagol aur jyotish ka adhyayan karta tha khagol viyan ka.
[2:30]Ayurveda kya hai to Ayurveda bolta hai ya prachin chikitsa ki paddhati thi purane zamane mein medical science yahi tha koi kisi ko ho jata tha Ayurveda se theek kiya jata tha patton se ilaaj kiya jata tha Ayurveda ki do shakhaon ke naam bataiye.
[2:40]Ayurveda ka do shakha tha Shalya aur Kayachikitsa Shalya aur Kayachikitsa.
[2:48]Rasayana kya tha Rasayana matlab jisko chemistry abhi aap bolte ho to bolta hai ki yah Ayurveda ki ek shakha thi jo dirghayu aur swasth sudhar se sambandhit tha Rasayana.
[2:56]Vriksha Ayurveda kya hota tha ye paudhon ki dekhbhal paudhon ko bhi Ayurveda ka zarurat padta hai unko dekhbhal karne ke liye paudhe agar sukh gaye hain to kya hoga paudhe agar kam develop kar rahe hain to kya hoga to paudhon ka jo ilaaj hota tha usko bolte the Vriksha Ayurveda.
[3:09]Dhatu Vigyan kya hota tha ya dhatuo aur unke guno ka adhyayan karta tha.
[3:13]Jo metals the unke guno ka adhyayan hum Dhatu Vigyan ke andar karte the.
[3:17]Ab likha hai yahan pe ki char 18 aur 32 vidhao ka varnan kijiye char vidhayen alag alag hain to dekh lijiye Bharatiya gyan parampara mein shiksha ke ko vibhinn bhagon mein bata gaya hai char vidhayen hain pehla Aanvikshiki Trakhya Ved Varta Arthvyavastha aur Dandniti Rajniti.
[3:30]Baad mein yah vidhayen badh ke 18 ho gaye jin mein Ved Vedanga anya shastra bhi shamil kiye gaye aur aage chal ke 32 huye fir aage chal ke 64 ho gaye.
[3:41]Abhi kitne ho gaye 64 32 vidhayen hain aur 64 kalayen hain 64 kala yahan pe diya hai.
[3:46]Ab 64 kala ka naam to bada mushkil hai lekin mahatv puch raha hai to 64 kalayen jaise sangeet nritya chitrakala shilpkala ke kaushal hain ye vyakti ke sarvangin vikas mein sahayak hoti hai ye rachnatmakta kaushal aur sanskritik mulyo ko badhati hai ye prachin Bharat mein shiksha ka mahatv purn bhag thi.
[4:02]Avantaran kalayen kalao ka varnan kijiye Avantaran kalayen kya hai bolta Avantaran kalayen sahayak aur atirikt kalayen hoti hai jo 64 kalao ka samarthan karti hai is mein sajawat khana banana aur anya dainik jeevan kaushal shamil hai ye jeevan ko saral aur upyogi banati hai.
[4:19]Bharatiya parampara mein khagol vigyan aur ganit ka kya yogdan hai to bolta hai Bharat mein khagol vigyan aur ganit mein mahatvapurn yogdan diya hai Sunya Dashamlav pranali aur Beejganit ka vikas Bharat mein hua hai khagolvidon ne grah grahan aur samay ka adhyayan kiya.
[4:37]Duniya ko bas hum log usko market nahi kar paye prachar nahi kar paye.
[4:41]Bharatiya parampara mein Bhautiki physics aur chemistry ki bhumika bataiye sab physics chemistry yahin se aaya hai dhyan rakhiyega Bhautiki aur Rasayan ka upyog dhatu nirman aur chikitsa mein kiya jata hai prachin Bharatiyon ka padarth dhatuo aur Rasayanik prakriyao ka gyan tha.
[4:56]Matlab purane zamane mein jo Bharatiya the unko ye sabka gyan tha tabhi na sab bataye ki Anu ka matlab kya hota hai parmanu ka matlab kya hota hai matlab sab kuch wo bataye Anu kisko bolte hain atom kisko bolte hain sab kuch hamare yahan likha hua pehle se.
[5:08]Aur Ayurveda ki eight shakhaen hain jaise Shalya chikitsa hota hai Shalakya chikitsa hota hai Kayachikitsa hota hai Rasayan chikitsa hota hai is tarah se eight total branches hain.
[5:18]Bharatiya parampara mein pashu chikitsa ka varnan kijiye ji haan Bharatiya parampara mein pashu chikitsa ka bhi varnan hai Bharatiya parampara mein pashu chikitsa viksit ki gayi thi is mein ghode gaay aur hathi ka upchar kiya jata tha jaise Hay Ayurveda Go Ayurveda aur Hastya Ayurveda ke naam se jana jata tha.
[5:33]Gaay ki raksha karni hai to Go Ayurveda hota tha.
[5:36]Vriksha Ayurveda ka matlab hai ki ped paudhon ko bachana hai Vriksh ko kaise bachana hai uske dekhbhal ke liye bhi shiksha di jati thi.
[5:41]Ratna Vigyan ka sanchipt tippani likhiye Ratna Vigyan ratno aur unke guno ka adhyayan hai iska upyog abhushan banane mein aur jyotish mein kiya jata tha ab bahut sara dekhte honge ki kuch jyotish aapko diya ki ye wala ratna ka anguthi pahaniye.
[5:54]To Ratna Vigyan ye batata tha ki ratno ka adhyayan hota tha ki kaun sa ratna kaisa karta hai nahi bolta hai ki tumhare upar Shani grah hai ya tumhara bahut gussa hota hai to ye wala stone pahano thanda ho jaayega mamla.
[6:05]Kaise pata chalta hai to koi vyakti iske bare mein padta tha. Prachin Bharatiya vaigyanik gyan ko samajhiye to Prachin Bharat mein vigyan ganit aur chikitsa ka unnat gyan tha isne Vishw ko mahatvapurn yogdan diya.
[6:21]Yaani duniya ko samjhaya hai. Duniya ko samjhaya hai ye. Chaliye ab agla question chalte hain hum log. Agla likha hai fir wahi sab question aa gaya ki Bharatiya parampara mein char 8 aur 32 vidhayen tatha 64 kalao ka vistaar se varnan kare to sabka naam likhna to sambhav nahi hai.
[6:37]Dekhte hain sabse pehle char vidha kaun kaun hai to char vidha pehla Aanvikshiki dusra Trayi teesra Varta aur chautha Dandniti.
[6:46]18 vidhayen hain 18 vidha kaun kaun hai to dekh lijiye char ved hai us mein 16 vedant hai to 16 char kitna ho gaya 10 ho gaya.
[6:56]Aur other mein aapka Mimansa ye sab aayega total mila ke 18 hai.
[6:59]Us tarah se 32 jo hai 32 vidhayen hain kaun kaun sa hai to us mein dekhiye darshan hai ganit hai khagol hai chikitsa hai kala hai shilp hai vastukala hai aise bahut sare aur 64 hamare paas alag kalayen hain jis ke andar sangeet hai nritya hai gayan hai chitrakala hai murtikala hai natak hai kavita hai kahani hai pak kala hai sajawat hai bagwani hai ye sab bahut sare sabka naam to sambhav nahi hai.
[7:20]Iska importance kya hai ye sab kyun dala gaya tha us samay mein isliye dala gaya tha ki ek vyakti ka sarvangin vikas ho sake sampurn vikas ho sake vyavaharik gyan ho sake pak kala chhod do mahilao mein jo hai sweater banane ki kala painting karne ki kala diwal color karne ki kala ye kalayen sikhai jati thi pehle ke zamane mein diwal bahut acche se kala karta tha log paint karta tha yani mitti se paint hota tha but uska kala zabardast hota tha.
[7:42]Sanskritik sanskriti ka sanrakshan karne ke liye bhi ye sikhaya jata tha naitik mulyo ka vikas karne ke liye aur siddhant aur vyavahar mein santulan banaye rakhne ke liye bhi iska istemal kiya jata tha.
[7:54]Agla question hai discuss the development of bolta hai ki Bharatiya parampara mein khagol vigyan ganit aur dhatu vigyan ke vikas ka varnan kijiye.
[8:03]Kaise astronomy develop kiya Bharat ke andar to Bharat mein fir se yahan dekh rahe hain Bharatiya gyan parampara mein khagol vigyan ganit aur dhatu vigyan ka atyadhik vikas hua hai jisne prachin aur adhunik vigyan ko mahatvapurn disha di hai.
[8:14]Khagol vigyan ka vikas mein kya hai to Bharat mein khagol vigyan ka vikas aakashiy pindo ke madhyam se hua hai jis mein Surya Chandra grah aur nakshatro ki gati ka adhyayan kiya gaya.
[8:24]Uske baad samay ritu grahan aur graho ki sthiti ka nirdharan kiya jata tha jis mein panchang banaya gaya panchang matlab calendar ka nirman hua Prithvi ki gati ghurnan parikrama ka gyan tha logon ko iska mahatv kya tha.
[8:38]Toh iska mahatv hai yah Krishi samay nirdharan aur dharmik karyo mein sahayak hota tha.
[8:42]Ganit ka vigyan vikas us samay mein hua development kiya gaya ganit ka to Bharat mein ganit ka sabse mahatvapurn yogdan hai Sunya aur dashamlav pranali hum log lekar aaye Ankganit hum log lekar aaye Beejganit hum log lekar aaye Jyami hum log lekar aaye.
[8:54]Satik ganna aur mapan ki vidhiyan hamare paas hai Vypaar khagol aur vastukala ka upyog hamare paas hai yaani hum log samjhiye ki duniya ko bahut kuch diye lekin log nahi samajh paye.
[9:03]Metal dekho metal ka Dhatu Vigyan hamare paas tha hum log bataye Kansa kisko bolte hain peetal loha ispaat hum log bataye duniya ko to hamare paas kam nahi hai hum har cheez ko bataye.
[9:14]Duniya ko har cheez bataye hamare purane jo shiksha paddhati tha na jo aap log bolte hain Nalanda University mein jo shikshaen di jati thi wo bahut hi kaam ki shiksha thi isiliye usko jalaya gaya ki jala do to is tarah ki shiksha paddhati aane wala generation mein rahega hi nahi.
[9:27]Sochiye na hamara kya hai aaj tak Delhi ka loh stambh ji loha ka stambh aaj tak zang nahi laga kaun si aisi vidha thi us samay mein bana diya gaya aur aaj tak zang nahi lagta hamare ghar mein ek gate laga do to do saal mein sadh jata hai.
[9:39]Us mein aaj tak zang nahi lag raha hai kuch to aisa hai to yahi cheez aapko samajhna hai ki hamari aisi parampara rahi hai jo duniya mein koi takkar dene layak nahi hai.
[9:45]Hamari aisi parampara rahi hai jis ka takkar duniya mein koi dene layak nahi hai fir bhi hum log piche ho gaye kyunki hum log apni parampara ko market nahi kar paye apni parampara ko develop nahi kar paye.
[9:56]Agla question hai Ayurveda ki vibhinn shakhao aur unke mahatv ka varnan kijiye bolta Ayurveda prachin Bharatiya chikitsa paddhati hai jo sharir man aatma ke santulan par adharit hai.
[10:06]Ye rogo ke upchar ke saath-saath unki roktham par bhi bal deta hai Ayurveda ko eight shakhao Ashtang Ayurveda mein vibhajit kiya gaya hai.
[10:13]Ayurveda ki kaun kaun shakha hai Shalya chikitsa is mein operation haddi jodna ye sab hoga ye sab aap Shalya chikitsa pehle hota tha.
[10:20]Shaalakya tantra hota tha jis mein aankh naak kaan gale sab mein rogo ke upchar hote the.
[10:25]Kayachikitsa jis mein bukhar pachan rog ye sab ki bimariyon ka hota tha Bhutvidha jis mein mansik rogo aur manovaigyanik nahi bolte humko bahut zyada bhut dikhta hai darte hain to mansik rogi usko bolte the wo Bhutvidha hota tha.
[10:37]Kaumarbhritya hota tha jis ke andar baccho ka swasth vikas aur rogo ka upchar hota tha.
[10:41]Agad tantra hota tha jis mein vish aur prabhavo koi saamp kaat diya to kaise hatenge hatega prabhav wo dekha jata tha.
[10:47]Rasayan jis mein sharir ki shakti rog pratirhodhak kshamata ye sab ke bare mein baat hota tha.
[10:52]Vajikaran jis mein vajan badhane prajanan kshamata ye sab ke bare mein charcha karte the to us samay bhi tha.
[10:57]Importance of Ayurveda Ayurveda mein sabse pehla hai holistic approach samagra upchar hota tha.
[11:01]Dusra rogo ki roktham hoti thi teesra natural treatment hota tha chautha long healthy life ho jata tha aur paanchva no side effect hota tha aur global relevance Vishw mein sab desh isko manta tha ki sahi hai.
[11:13]Describe animal medicine and plant science in Indian tradition Bharatiya parampara mein pashu chikitsa aur vanaspati vigyan ka varnan kare pashu pashu chikitsa ka matlab kya hota hai.
[11:27]Prachin Bharat mein pashuon ki dekhbhal aur upchar ka accha vikas hua tha usse pashu chikitsa kaha jata hai iska kaun kaun sa tha prakar to dekh lijiye Haya Ayurveda tha jis mein ghodo ki chikitsa hoti thi.
[11:39]Go Ayurveda tha jis mein gaay ki hoti thi aur Hasty Ayurveda hota tha jisko hathiyon ki bolte thi iske visheshta kya hai pashuon ke rogo ki pehchan aur uska upchar karna uske aahar khanpaan dekhbhal ka gyan aushadhi aur shalya chikitsa ka upyog karna aur jadi butiyon ka prayog karna taaki wo janwar bach sake.
[11:58]Mahatv kya hai to pashuon ke swasth ki raksha hoti thi krishi aur arthvyavastha ko sahayata milti thi parivahan aur yuddh mein upyog hote the ye pashu aur pashuon ke prati daya bhav bhi hoti thi ki hum unka ilaaj bhi kar rahe hain unka upyog kar rahe hain to saath hi saath unka ilaaj bhi kar rahe hain.
[12:11]Ab bolta hai plant science aap jante hain padap vigyan hota tha.
[12:15]Bharatiya parampara mein padap vigyan ko vriksha Ayurveda kaha jata hai jo paudhon ke vikas sanrakshan aur upchar se sambandhit tha ki paudhon ko kaise viksit karenge kaise uska upchar karenge aur kaise uska sanrakshan karenge.
[12:27]Iska main pehlu kya tha paudhon ke rogo aur unke upchar ka adhyayan karna sichai aur mitti ki urvarakta ki taknikon ko dhundna ropan aur kheti ki vidhiyon ko dhundna prakritik khad aur kitnashak ka upyog karna ye sab tha visheshta kya tha paudhon ko vaigyanik vargikaran karna ritu aur jalvayu ka gyan hona paristhitik santulan par zor dena jaivik kheti ke tariko ko ka upyog karna mahatv kya tha.
[12:52]Krishi utpadan mein sudhar karta hai ye agar hum paudhon ko theek karenge to krishi utpadan badhega paryavaran aur jaiv vividhta ki raksha hogi khad suraksha sunishchit hoga aur paristhitik santulan banaye rahega.
[13:06]Ye sare questions hum logon ko important question puche gaye the theek hai ye hum log unit three mein yahan tak dekhenge unit three mein hum log yahan tak complete kar lenge babu log unit three mein aur koi dikkat nahi hona chahiye aur hum logon ka unit three mein do question aur hai.
[13:20]Ek question hai ki Bharatiya gyan parampara mein vigyan aur technology ki bhumika samjhaiye science aur technology ka kya istemal hai to chaliye dekhiye Vigyan aur pradogiki mein ne Bharatiya gyan parampara mein mahatvapurn bhumika nibhaiye prachin Bharat mein ek vaigyanik drishtikon viksit hua tha jo avlokan prayog aur dainik jeevan mein vyavaharik upyog par adharit tha.
[13:40]Ye gyan keval saithantik nahi tha balki samajik aur aarthik vikas se bhi gehrai se juda hua tha isse samaj ko bhi fayda ho raha tha arthvyavastha ko fayda ho raha tha vibhinn kshetron mein vikas hua jaise medical science mein hum logon ka accha development hua.
[13:54]Hum log khagol vigyan mein bahut accha aur ganit mein bahut accha development kar paye hum log dhatu vigyan mein wahan bhi bahut accha development hua krishi aur sichai ke kshetra mein development hua is gyan ka istemal kahan kahan karte the to is gyan ka istemal hum karte the.
[14:10]Science and technology ko upyog kahan kahan karte the to science and technology ko upyog hum construction field mein karne lage nirman aur vastukala mein parivahan aur sanchar mein istemal karne lage dainik jeevan ke karyo mein istemal karne lage aur vypaar aur udyog mein iska istemal karne lage wahan pe iska istemal hone laga.
[14:24]Bolta hai prakriti ke saath samanjasya to yaad rakhiyega technology ko hum jo hai nature ke saath adjust kar ke use kiye.
[14:30]Aaj jo technology use ho raha hai wo nature ke saath adjust nahi ho raha hai lekin hum log jo technology ko use kiye the us samay wo nature ke saath adjust kar ke istemal kar rahe the nature ke saath samayojit kar ke istemal kar rahe the.
[14:40]Yaani aisi takneek ka istemal hota hai jo prakriti ke saath samayojit ho raha tha jo ki kiske saath samayojit ho raha tha prakriti ke saath samayojit ho raha tha koi dikkat hai.
[14:48]To yahan tak hum log dekh liye ye unit three hum logon ka tha ab hum log ek video aur lekar aayenge unit four ka aur unit four mein hum log complete aapko batayenge ragad ke dekhiye sare ke sare question aapke liye important hai isse bahar nahi aayega.
[15:00]Aap likhne ki kshamata develop kijiye aur agar abhi bahut kam samay aapke paas hai to agle baar semester two ke liye pehle se course kharid lijiyega application ke upar ya diye hue number par contact kar lijiyega to main aapko support kar dunga bahut bahut dhanyavad.



