[0:01]Suniye Sadguru discourses Carvaan 2.0 par.
[0:07]Shri Bhagwanu Wach. Sanyas Karmayog ni shreya karavu bhau. Tyostu Karmasanyasath Karmayogo visheshyate. Shri Bhagwan kehte hain, karm sanyaas aur karm yog yeh dono hi fayda pahunchane wale hain. Lekin in dono mein karm yog sadhan aasan hone ki wajah se behtar hai. Dono raste manzil par pahunchayenge, lekin ek rasta mushkil hai. Isme jagah jagah par nadiyaan, naale, pahad aur khayian aayengi. Lekin dusra rasta isse kahin aasan hai aur yeh rasta hai karm yog ka. Karm yog woh rasta hai jo hum mein se har koi har samay kar sakta hai. Iske liye koi khaas badi taiyari nahi karni hoti doston, bas apni rozmarra ki zindagi ko nishtha aur kartavya ke sath jeena hota hai.



