Thumbnail for Ramadan Ka Alwidai Paigam | By Hazrat Shaikh Hanif Sahab Luharvi D.b #esakhan #ramadan by ESA KHAN

Ramadan Ka Alwidai Paigam | By Hazrat Shaikh Hanif Sahab Luharvi D.b #esakhan #ramadan

ESA KHAN

21m 4s3,165 words~16 min read
YouTube auto captions
Transcript source

YouTube auto captions

This transcript was extracted from YouTube's auto-generated caption track. The transcript below is server-rendered so it can be read, searched, cited, and shared without opening the original YouTube player.

Timestamped outline
Pull quotes
[0:07]Wasalatu wassalam ala ashraful anbiya wal mursalin wa ala alihi wasahbihi ajmain amma ba'd.
[0:22]Ya ayyuhallazi na amanu qu anfusakum wa ahlikum nara waqudunan nasu wal hijarah.
[0:22]Alaiha malaikatun ghilazun shidadulla ya'sunallaha ma amarahum waya'malu ma yu'marun.
[1:02]Agar che Khatm e Ramzan ke silsile mein Marasiye par na, aur izhar e afsos karna, yeh fuqaha ne mana likha hai.
Use this transcript
Related transcript hubs

[0:07]Alhamdulillahirabbil alamin. Wasalatu wassalam ala ashraful anbiya wal mursalin wa ala alihi wasahbihi ajmain amma ba'd. Audzubillahiminasyaitonirojim Bismillahirrohmanirrohim.

[0:22]Ya ayyuhallazi na amanu qu anfusakum wa ahlikum nara waqudunan nasu wal hijarah. Alaiha malaikatun ghilazun shidadulla ya'sunallaha ma amarahum waya'malu ma yu'marun. Sadaqallahul azim.

[0:40]Buzurgan e Muhtaram, yeh Ramzan Mubarak ka aakhri Jumah hai.

[0:50]Zahir si baat hai ki ab hamare samne ek ya do din ka masla hai.

[1:02]Agar che Khatm e Ramzan ke silsile mein Marasiye par na, aur izhar e afsos karna, yeh fuqaha ne mana likha hai.

[1:17]Ki jab Ramzan khatam hota hai to log kehte hain ki hay afsos, Ramzan khatam ho gaya aur izhar e gham.

[1:28]Haqeeqat yeh hai ki Allah Ta'ala Jalla Shanahu ne jo ek mahina hamein ata farmaya hai, usi ko hamein qadardani ke saath ada kar lena chahiye.

[1:39]Aur us par Shukr Guzari honi chahiye.

[1:44]Hamare baz akaabir to yeh farmate hain ki zabaan par izhar e afsos hai lekin dil mein khushiya hoti hai.

[1:54]Ki acha hua Ramzan khatam hua, balki intezar rehta hai, rozana gina karte hain ki aaj kaun sa roza hua?

[2:02]Aur agar izhar e afsos kar rahe hain chand tuloo hone ke mauke par aur Allah ki taraf se agar yeh elaan kar diya jaye ki kal ya kum Shawwal se doosra Ramzan shuru ho raha hai,

[2:16]To shayar sab ki pareshaniya bar jayegi. Isliye haqeeqat yeh hai ki izhar e afsos ke bajaye izhar e shukr ki zarurat hai.

[2:24]Hum aise waqt mein Allah Ta'ala ka shukr ada kare ki us Rab e Kareem ne is Mubarak mahine mein hamein jitni ibadat ki taufiq ata farmayi, woh humne ki.

[2:37]Mujhe is mauke par ek aur baat ki taraf tawajjuh dilana hai.

[2:42]Woh yeh hai ki isse pehle bhi main kisi Majlis mein yeh zikr kar chuka hoon ki Nabi Akram Salallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ek martaba tashrif laye aur apne Mimbar par tashrif le ja rahe the aur ek Seeri par qadam rakha aur farmaya Aameen, phir doosri Seeri par, phir teesri Seeri par.

[3:00]Sahaba ke poochhne par farmaya ki Jibrail Ameen tashrif laye the, unhone ek baddua to yeh farmayi ki halak ho jaye woh aadmi jiske maa baap zinda ho aur woh unki khidmat kar ke Jannat na kamaye.

[3:19]To Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Aameen.

[3:22]Allah ke Nabi Alaihis Salato Wassalam momino ke baap mein baddua ke kalimat istemal nahi karte the lekin is riwayat mein Aameen kehna sabit hai.

[3:33]Doosri seeri par qadam rakha to irshad farmaya Jibrail Ameen ne ki halak ho jaye woh insaan ki jiske samne aap ka naam e nami isme girami aaye Muhammadur Rasulullah Salallahu Alaihi Wasallam aur woh aap par durood na bheje.

[3:49]Huzoor ne farmaya Aameen, aapka haq hai.

[3:54]Majlis mein ek martaba durood sharif ka padhna wajib hai aur zindagi mein ek martaba farz hai.

[4:00]Aur majlis mein bar bar padhte rehna yeh mustahab hai.

[4:05]Aur jab teesri seeri par qadam rakha to Jibrail Ameen ne farmaya ki halak ho jaye woh insaan jisko Ramzan ka Mubarak mahina mila aur woh apne Rab se apni bakhshish na karwa saka.

[4:19]Mujhe is par aaj kuch kehna hai.

[4:22]To Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Aameen.

[4:26]Ab awalan to Jibrail Ameen jaise muqaddas farishte ki baddua.

[4:31]Phir Nabi Akram Salallahu Alaihi Wasallam ka Aameen kehna.

[4:35]Phir Masjid e Nabawi, phir Masjid e Nabawi ka Mimbar, jagah ke aitbaar se bhi muqaddas aur dua karne walo ke aitbaar se bhi muqaddas to kaise sakht dua hai?

[4:48]Isliye afsos is baat ka hai ki Ramzan Mubarak pura hua aur jin logo ne apne Rab se bakhshish nahi karayi.

[4:57]Nabi Alaihis Salato Wassalam ne ek tafseeli riwayat mein jo aapne Shaaban mein zikr farmayi thi ki ae logo tum par anqareeb ek mahina tuloo ho raha hai jisko Ramzan kaha jata hai.

[5:08]Uske rozo ko farz kiya gaya aur uski tarawih ko sunnat qaraar diya gaya aur phir usmein tafseel hai.

[5:16]Tafseel karte hue Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki arba khisal, char baatein main tumhe zikr karta hoon.

[5:26]Usmein khisalatain lizona rababa tabaraka wa ta'ala, Allah ko raazi karne ke liye hai aur do baatein usmein tumhare liye zaruri hai.

[5:35]Jo do baatein Allah ko raazi karne ke liye hain, unmein pehle La ilaha illallah ki kasrat, yani is Mubarak mahine mein La ilaha illallah ki kasrat chalte phirte, uthte baithte La ilaha illallah, La ilaha illallah Ramzan mein khoob padho.

[5:52]Number do Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Astaghfar, Astaghfar ki kasrat ho is mahine mein, yeh do to apne Rab ko raazi karne ke liye.

[6:03]Aur khisalatain do khislatein aisi hai jo tumhare liye zaruri hai.

[6:08]Aur usmein ek zikr farmayi ki Jannat ko talab karo, Allah Ta'ala se bar bar Jannat ka sawal karo.

[6:15]Allahumma inni asaluka Jannatul Firdaus wa Na'imaha, ae Allah hum tujhse Jannatul Firdaus maangte hain, uski nemat ka sawal karte hain, hum Nabi ki rifaqat maangte hain.

[6:26]Aur doosra Jahannam se panah, is Mubarak mahine mein Jahannam se khoob panah maango.

[6:33]Teen Ashre guzre, pehla Ashra jo hamare upar guzra woh Rehmat ka tha.

[6:40]Doosra Ashra jo guzra woh maghfirat ka tha.

[6:43]Aur teesra Ashra yeh jo qareeb ba khatam hai ab, yeh Jahannam se najaat ka hai, itq minan naar hai, Jahannam se Azadi ka hai.

[6:54]Allah ke Habib e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne humko farmaya Ramzan mein khoob Jannat ka sawal karo aur Jahannam se panah maango.

[7:03]Jannat ke sawal ke baad mein hum Alhamdulillah duayen karte rehte hain, Jahannam ke baap mein bhi duayen hoti hain.

[7:10]Lekin Jahannam ke bachne ke tariqe jo hain, woh hamare paas nahi hain.

[7:15]Yani Jahannam se jo bachne ke tariqe hone chahiye woh hamare paas nahi hain, isliye aakhri cheez ke upar maine aayat bhi padhi aur ek do baatein arz kar doon.

[7:26]Jahannam kya cheez hai? Allah Ta'ala Quran mein farmate hain ki ae logo tum apni zaat ko bhi Jahannam se bachao aur apni aulaado ko bhi Jahannam se bachao.

[7:37]Qu anfusakum wa ahlikum. Muttafaq alaihi taur par fuqaha ne likha hai ki walidain ke zimme apni aulaad ki tarbiyat karna aur unko Jahannam se bachana farz e ain hai.

[7:53]Masla sunna. Farz e ain hai har baap ke zimme apni aulaad ki tarbiyat karna, deeni mijaaz banana aur Jahannam se bachana yeh farz e ain hai.

[8:05]Aur agar ismein kotahi rahi to siwaye aansu bahane ke aur kuch nahi hoga.

[8:11]To qu anfusakum wa ahlikum nara, Jahannam ki aag se bachao. Waquduhan nasu wal hijarah, jiska edhan, jisse Jahannam ko garmaya jayega, jalaya jayega, woh insaan aur patthar hai.

[8:26]Alaiha malaikatun, us par jo farishte Allah ne muqarrar kiye hain, ghilazun shidadun, bade sakht mijaaz aur bade sakht hain.

[8:37]Baaz riwayat mein hai ki Nabi Alaihis Salato Wassalam farmate hain ki meri Meraj mein mujhe Jannat batayi gayi, Jahannam batayi gayi to Jahannam ke daroga aur security guard se main mila jisko Malik kaha jata hai.

[8:50]To main jab mila to unki taraf se hansne ke baap mein zarra barabar muskurahat nahi thi.

[8:59]Jibrail Ameen ne farmaya ki Allah ke Habib agar yeh haste to aapke liye haste, jab yeh aapke liye nahi hase to kisi ke liye hansne wale nahi.

[9:08]Itna sakht mijaaz hai Jahannam ke us daroga aur security ka.

[9:14]Quran e Kareem mein hai ki jab jalte jalte kufar andar thak jayenge to yu kahenge ki ya Malikal yawm liyaqze alaina rabbuk, ae Malik tere Rab se keh de ki bas hamein maut de de.

[9:28]Hamein maut de de. To Allah ke Habib e Pak Salallahu Alaihi Wasallam farmate hain ki Jahannam bahut sakht hai.

[9:35]Phir riwayat mein aapne Jahannam ki sakhti ko jo bayan farmaya, farmaya ek martaba Jibrail Ameen mere paas aaye, maine unse sawal kiya ki yeh jo Jahannam ke saat darwaze hain, yeh yu line mein hai ya upar niche hain?

[9:51]Jibrail Ameen Alaihis Salam ne farmaya upar niche hai.

[9:56]Aur Allah Ta'ala ne tabaqat banaye hain Jahannam ke aur har ek tabaqa aur doosre tabqe ke beech mein saat hazar seven thousand years ka fasla hai.

[10:10]Yaani ek tabaqa itna gehra hai.

[10:13]Is tarah saat tabaqat hai aur ek upar niche darwaze hain. Phir Jibrail se poochha ki acha ismein Allah Ta'ala kin ko rakhne wala hai?

[10:24]To farmaya sabse niche ke tabqe mein har har neecha tabaqa yeh zyada sakht hoga upar ke muqabale mein.

[10:33]Aur sabse aakhri tabaqa jo saatwa hai, usmein Allah Munafiqeen ko rakhne wala hai.

[10:41]Innal munafiqina fildarkilasfal minan naar, usse upar ke tabqe mein Kufar hai, usse upar ke tabqe mein Sabi ek firqa tha jo sitaro ka parastar tha. Quran e Kareem mein unka tazkira aata hai Was sabiin.

[10:55]Usse upar ke tabqe mein Majoos hai, usse upar ke tabqe mein Yahood hai, usse upar ke tabqe mein Nasaara hai. Yeh cheh tabqe bayan kiye aur Jibrail khamosh ho gaye.

[11:06]Farmaya saatwa tabaqa kaun hoga? Farmaya main aapko takleef pahunchana nahi chahta. Farmaya nahi mujhe bataye.

[11:14]To farmaya sabse upar ka jo saatwa hai, usmein aapki ummat ke woh gunahgaar hai jinho ne gunah e kabeera kiya aur bagair tauba ke duniya se chale gaye.

[11:25]Aur Rab e Kareem ki nazre tawajjuh aur nazre kareemi aur nazre ghaffariyat agar us par nahi hui to Allah is saatve tabqe mein unko rakhne wala hai.

[11:37]Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam yeh sun kar behosh ho gaye, hosh aaya to rone lage to Jibrail Ameen bhi rone lage.

[11:46]Aaqa Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Jibrail aap kyun ro rahe hain? Farmaya mujhe Haroot aur Maroot ka waqeya yaad aa raha hai.

[11:53]Quran e Kareem mein hai abhi yeh woh waqeye ka waqt nahi hai Haroot aur Maroot Allah ke farishte the. Allah ne duniya mein aazmaish ke liye utare the aur woh is duniya ke halaat mein fas gaye jiske nateeje mein unko azaab diya gaya. Jibrail kehte hain mujhe bhi dar lagta hai ki kahi haq Ta'ala mujhe bhi kisi aazmaish mein mubtala na kar de, agar main fail ho gaya to Jahannam mere liye bhi hogi.

[12:18]Nabi Akram Salallahu Ta'ala Alaihi Wasallam is tazkire ko sun kar ke khoob rone lage.

[12:26]Ek riwayat to yeh hai. Doosri riwayat mein Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki sabse adna darje ka azaab Jahannam mein jisko diya jayega woh woh insaan hoga jiske paao mein aag ki joothiya pehnai jayegi, aag ke shoes pehnaye jayenge.

[12:43]Lekin uska haal yeh hoga ki woh niche se itna jalayega ki dimagh is tarah josh marega jis tarah choolhe par haandi josh marti hai.

[12:53]Aur uski daarein jal rahi hogi aur pet ke andar aag jal rahi hogi. Yeh adna darje ka Allah ka azaab hoga.

[13:02]Mere bhaiyo isse yeh maloom hota hai ki Jahannam apne haulnakiyo ke saath hai.

[13:08]Jahannam ek azaab hai, Jahannam ek Allah ka Jail Khana hai, Jahannam Allah Ta'ala ki saza ka mazhar hai, Jahannam Allah Ta'ala ke gazab ka mazhar hai, Jahannam Allah ke qahar ka mazhar hai.

[13:21]Jannat aur Jahannam ki aapas mein guftagu hui ba zabaan e haal to Jannat kehne lagi mujhme to naram nazuk, mutawajje, ghareeb, aise log mere andar aayenge aur Jahannam kehne lagi ki mere andar mutakabireen, takabbur karne wale, barai karne wale, shaan aur itrahat aur khudaiyat ka dawa karne wale aayenge.

[13:53]Jab in dono ki guftagu suni to Allah Ta'ala Jalla Shanahu ne farmaya Jannat se tu meri Rehmat ka mazhar hai aur Jahannam se kaha tu mere gazab ka mazhar hai.

[14:04]Mujhe jise par ghussa hoga main usko Jahannam mein dakhil karunga.

[14:07]Mere bhaiyo aisi bhayanak Jahannam, aisa Allah ka jail khana, aisa Allah ka qaid khana, is qaid khane se panah maangne ki Nabi Akram Salallahu Alaihi Wasallam ne hamein talqeen farmayi.

[14:21]Ki is Mubarak mahine mein Allah se panah maango aur aisi sacchi tauba kar lo aisi sacchi tauba kar lo ki aayinda hum gunaho ki taraf na jaye.

[14:33]Tauba nasoha naam hai is baat ka ki hum aayinda us gunah ko na kare. Masla sun le, agar humne sacchi pakki tauba kar li uske baad bhi zindagi mein agar gunah ho gaya to is surat mein ghabrane ki zarurat nahi hai.

[14:48]Rab e Kareem farmate hain har martaba tu sacchi tauba karta rahe jab tak sakraat teri shuru nahi hoti hai waha tak main tujhe maaf karta rahunga.

[14:59]Lekin jab hum tauba kare to sacche dil se tauba karna chahiye. Yeh mazmoon khas taur par maine isliye chhed diya hai ki bas ab maghfirat ke hamara paas bahut thoda waqt reh gaya hai.

[15:10]Allah se maghfirat ka bahut thoda time hamare paas yeh reh gaya hai. Doosri taraf yeh Allah Ta'ala Allah ke Habib e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne jo hamein maangne ka hukm diya hai ki Allah se Jannat maango aur Jahannam se panah chaho is Mubarak mahine ke andar uska bahut short time Ramzan ul Mubarak ke khatam ki taraf reh gaya hai.

[15:32]Duniya ka dastur yeh hai ki hukumat o ke samne log baith jaate hain, jamaatein ja kar baith jaati hai jisko kehte hain dharna dena. Log dharna de dete hain baith jaate hain aur kehte hain bas hum apni baat manwa ke rahenge hukumat se, hamari baat maan lo waha tak hum jo hain Parliament ke samne se uthne wale nahi hai.

[15:55]To mere bhaiyo yeh ek do din hamare paas reh gaye hain, hum bhi Allah ke dar par dharna de dein. Hum bhi Allah ke dar par baith jaye jo nafli aitekaaf humse ho sakta hai, lekin hum Allah ke dar par baith jaye aur hum yeh kahe ki Allah ab main tujhe manwa kar rahunga aur main apne gunaho par maafi maangte rahunga, jab duniya ki hukumat dharna dene par aur bahut saare logo ke jaane par aur aur maangne par jab duniya ki hukumat hamare mutalabaat ko pure kar deti hai to phir Rab e Kareem jo Rehmano ka jo reham karne walo se zyada reham karne wala aur karam karne walo se zyada karam karne wala woh hamare is dharne par aur us baithne par kyun hamare taqazo ko pura nahi karega aur kyun humse nahi hamari baat ko nahi manega.

[16:43]Yaqeenan woh Rab kehta hai ki main tumhe maaf karne ke liye taiyar hoon, maine Mubarak mahina diya hi isliye hai taki is mahine mein tum maafi maang lo sacche dil se aur taayib ho kar ke mere dar par aa jao, lekin tauba waqaiyan tauba honi chahiye, tauba nasuha hona chahiye.

[17:01]Zaahir kuch aur baatin kuch, yeh masla na ho ki main dua to kar raha hoon lekin dil keh raha hai ki Eid ka chaan hua phir main unhi gunaho mein mulawwis ho jaunga, phir main wohi kaam karta ho jaunga. Agar yeh hai to makhlooq ko jab dhoka nahi de sakte hain to khaliq ko dhoka kaise de sakte hain? Allah ko dhoka kaise de sakte hain?

[17:22]Aur agar koi aadmi zaahiran gunah nahi karta aur baatinan gunah kar raha hai to samjh lo ki usko makhlooq ka dar hai Allah ka dar nahi hai.

[17:31]Yeh logo se to dar raha hai aur gunaho se apne aapko bacha raha hai. Huzoor e Pak Salallahu Ta'ala Alaihi Wasallam se Hazrat Abu Darda Radiallahu Ta'ala Anhu sawal farmate hain Musannaf e Abdur Razzaq ki riwayat hai.

[17:44]Ki Allah ke Habib e Pak Salallahu Alaihi Wasallam aap mujhe bataye ki haya ka masla kya hota hai?

[17:51]Allah ke Habib e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ne jo jumla irshad farmaya woh dilo par likhne ke qabil hai. Farmaya jaise tu Mard e Saaleh se nek logo se haya karta hai, Allah se aise haya kar.

[18:04]Zahir si baat hai ki ek nek aadmi hai main uske samne gunah karna nahi chahta ki Hazrat humko kya kahenge? Maulana humko kya kahenge? Yeh buzurg humko kya kahenge? Jab Mard e Saaleh ke samne main gunah karna nahi chahta to phir woh zaat e kareem, us zaat e kareem ke samne hum kyun gunah kar rahe hain?

[18:25]Junaid Baghdadi Rahmatullahi Alaih se kisi ne sawal kiya ki main gunah bhi mera jee nahi chahta chhodne ko aur Allah ka dar bhi lagta hai.

[18:34]Aap koi tariqa bata de ki gunah bhi karta rahun aur Allah ki pakar bhi na ho to Hazrat Junaid Baghdadi ne farmaya ki tu zameen mein us jagah chala ja jahan Allah ki hukumat na ho.

[18:46]Jahan Rab ki hukumat na ho tu waha chala ja aur waha tu gunah kar le taki Allah teri pakad nahi karega.

[18:53]To woh kehne laga main jahan jaunga Allah hi ki hukumat hai, khaliq hi ki hukumat hai. Zameen usi ki hai to farmaya ki tu saat to zameen ke niche bhi jayega aur gunah karega to teri pakad hone wali hai.

[19:06]Isliye sacchi tauba hamari honi chahiye, dil se tauba honi chahiye. Allah ke samne baith jao yeh do din hamare paas hai, na maloom ho sakta hai kal khatam ho jaye, ho sakta hai parso khatam ho jaye.

[19:18]Isliye mukhtasar waqt hamare paas hai. Hum Rab e Kareem ke samne aa kar ke baith jaye apni do raato ko Allah ke samne guzar dein. Duniya ke khatir dasi aur raat hum qurban karne ke liye taiyar ho jaate hain. Duniya ke khatir mahino hum qurban karne ke liye taiyar ho jaate hain. Apni zindagi ke gunah ka masla hai to kya hum Rab e Kareem ke samne do raatein nahi baith sakte hain? Do din nahi baith sakte hain?

[19:44]Isliye nafli aitekaaf ke aitbaar se tamam ke tamam Allah ke samne dharna de apni gunaho se maafi maange aur us Rab ko raazi kar le. Maine isse pehle bhi ek mukhtasar bayan mein kaha tha ki woh Rab itna jali raazi ho jata hai ki itna jali to mera baap bhi raazi nahi hota, meri maa bhi raazi nahi hoti, mera bhai bhi raazi nahi hota.

[20:06]Bhai naraz hota hai kehta hai mere janaze par na aana, behan naraz hoti hai kehte hain mere janaze par na aana. Maa baap naraz hote hain mahino mannat samajhat karte hain tab raazi hote hain aur Rab e Kareem woh hai farmaya do minute sacche dil se mujhse maafi maang le aur do qatre aansu ke baha le. Rona nahi aata hai to rone ka chehra bana de main usi par tujhe maaf kar dunga.

[20:31]To Allah Jalla Shanahu se hum in do dino ke andar jo Khatm e Ramzan hai dil se maafi maange aur Allah Ta'ala se La ilaha illallah ki kasrat bhi rakhe, Astaghfar ki kasrat bhi rakhe, Jannat ka mutalaba rakhe aur Jahannam se Allah Ta'ala se panah maange.

[20:46]Allah hum tamam ko Khatm e Ramzan se pehle pehle maafi ka faisla farma de aur Allah Ta'ala hum tamam ko idqum minan naar bana de, Jahannam se azaad bana de aur Allah hum sab ko Jannat ka balki Jannatul Firdaus ka balki Huzoor e Pak Salallahu Alaihi Wasallam ki rifaqat ka hamein mustahiq bana de.

[21:03]Wasallallahu ala Nabiyina Muhammadin wa aalihi wasahbihi ajmain bi rahmatika ya Arhamurrahimin.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript