Thumbnail for Imam Husain ki dua se pani bhar gaya  ✨ #imamhusain #kramat by IT Islam

Imam Husain ki dua se pani bhar gaya ✨ #imamhusain #kramat

IT Islam

40s128 words~1 min read
Auto-Generated

[0:00]Ek martaba Hazrat Imam Hussain safar mein the. Ek shakhs aaya aur kehne laga ki ae Ibn-e-Rasool, mere paas ek kuwa hai jiska pani bahut kam hai. Jiski wajah se dol bhar ke pani nahi nikalta aur na hi wo kuwa pani se bharta hai. Aap to nawasa-e-Rasool hain, hamare liye dua farmaein. Imam Hussain ne us kuwa ka pani mangwaya, aap ne piya aur bacha hua pani us kuwen mein fekwadiya. Sab ne ye manzar dekha ki wo pani kuwen mein girte hi kuwen ka pani ubalna shuru hogaya. Aur dekhte hi dekhte us kuwen mein pani bhar gaya aur pehle se bhi zyada lazzatdar aur meetha hogaya. Dosto, ye sirf Imam Hussain ke lab-e-mubarak se lage hue pani ki barkat hai, to unki shan kya hogi?

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript