Thumbnail for #dub by Axom Gamer

#dub

Axom Gamer

58s224 words~2 min read
Auto-Generated

[0:00]Jab Allah Tala ne Adam Alaihi Salam ka putla banane ka irada kiya to Jibrail Alaihi Salam ko zameen se mitti laane ka hukum diya. Lekin zameen rone lagi. Jab Jibrail Alaihi Salam ne vajah puchi to zameen kehne lagi ki meri mitti se insan banenge aur usme se aadhe insan jahannum me jayenge. Aur mera kuch hissa jahannum ki aag me chalega aur mai tumhe Allah ka wasta deti hu ki mitti na lekar jao. To Jibrail Alaihi Salam wapas aa gaye. Fir Allah ne Mikail aur Israfil Alaihi Salam ko bheja. Lekin wo bhi us zameen par rahem aur taras kha kar wapas aa gaye. Lekin iske baad Allah ne Malakul Maut yani Israil Alaihi Salam ko bheja. Jinhone us zameen se kaha ki tujhe jitna rona hai ro. Lekin mai to mere Allah ka hukum pura karunga aur beshak wo khuda tujhse zyada farmabardar ke layak hai. Mai usi ka hukum manunga aur zameen se mitti lekar aa gaya. To Allah ne farmaya, "Aye Israil jis tarah tujhe zameen ke rone par taras nahi aaya aur mitti lekar aa gaya. Isi tarah jab isko wapas mitti me milane ka waqt aayega, yani auladi Adam ki maut ka waqt aayega to unki rooh bhi tu hi kabz karega. Aur tabhi se aap Malakul Maut yani rooh kabz karne wala farishta ban gaye."

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript