Thumbnail for How To Perform Umrah | Umrah Karny Ka Sunnat Tariqa A to Z by Zubair Riaz

How To Perform Umrah | Umrah Karny Ka Sunnat Tariqa A to Z

Zubair Riaz

18m 36s2,830 words~15 min read
YouTube auto captions
Transcript source

YouTube auto captions

This transcript was extracted from YouTube's auto-generated caption track. The transcript below is server-rendered so it can be read, searched, cited, and shared without opening the original YouTube player.

Timestamped outline
Pull quotes
[0:00]Hum mein se har kisi ki ye khwahish hoti hai ke wo umrah us tarah kare jis tarah aap sallallahu alaihi wasallam aur sahaba ne kiya tha.
[0:00]To aaj ki video mein Inshallah aapko umrah karne ka tareeqa jo hai detail shuru se lekar end tak Inshallah aap dekh sakenge.
[0:00]Ke umrah mein kya kya cheez ehram ki halat mein kya kya cheez aap kar sakte hain kya kya cheez nahi kar sakte.
[0:00]Uske alawa umrah ke arkan kitne hain, umrah ke wajibbat kitne hain, kaun si dua kab mangni hai, baal kaise katana hai, waghera waghera.
Use this transcript
Related transcript hubs

[0:00]Hum mein se har kisi ki ye khwahish hoti hai ke wo umrah us tarah kare jis tarah aap sallallahu alaihi wasallam aur sahaba ne kiya tha. To aaj ki video mein Inshallah aapko umrah karne ka tareeqa jo hai detail shuru se lekar end tak Inshallah aap dekh sakenge. Ke umrah mein kya kya cheez ehram ki halat mein kya kya cheez aap kar sakte hain kya kya cheez nahi kar sakte. Uske alawa umrah ke arkan kitne hain, umrah ke wajibbat kitne hain, kaun si dua kab mangni hai, baal kaise katana hai, waghera waghera. Inshallah aaj ki video mein aap tafseel ke saath dekh sakenge, to aaiye video shuru karte hain. Bismillahir Rahmanir Raheem, Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh, main hoon Zubair Riaz Madina Munawwara se. Sabse pehle Durood-o-Salam Allahumma Salli Wa Sallim ala Nabiyina Wa Habibina Muhammadin Wa Aalihi Wasahbihi Sallallahu Alaihi Wasallam. Aaj ki video mein aap log sab jaan sakenge umrah karne ka tareeqa jo hai, iske bare mein boht zyada sawalat aate hain ke Zubair bhai please humein batayen ke umrah karne ka tareeqa kya hai.

[1:15]Is waqt jo hai main maujood hoon masjid al-Miqat jise hum log kehte hain aur aap sab jaante hain iska naam hai Miqat Dhul Hulaifah.

[1:26]Miqat Yalamlam jo hai wo Ahle Yaman ke liye hai, Miqat Qarn al-Manazil jo hai ye Ahle Najd aur Ahle Taif waghera jo wahan se aate hain unke liye hai. Aur isi tarah Miqat Juhfah jo hai ye hai Ahle Sham ke liye aur Dhāt al-Irq jo hai ye Ahle Iraq ke liye hai. To ye paanch matlab hai ke Miqat hain ye paanch aisi jagah hai jahan se aap niyyat ke baghair agar aap umrah karne ja rahe hain ya Hajj karne ja rahe hain to aapko laazim hai ke in jaghon se pehle jo hai aapne Ehram pehenna hai aur phir uske baad wahin se niyyat karni hai. Boht se logon ne videos banayi hui hongi ke bhai Ehram ka sahi baandhne ka tareeqa. Is mein sahi ghalat kuch nahi hota, main cheez yehi hoti hai ke aap koi bhi aisi safed chadar jis mein koi cheez sili hui na ho. Matlab jaise jis tarah aam pant hoti hai ya shalwar hoti hai wo sili hui hoti hai ya uske andar elastic hoti hai ya maksad hai ke andar se hi kuch aisa system bana hota hai jisse aap usko apne yahan pe rok sakte hain to main cheez jo hai ye cheez nahi honi chahiye. To aap jis tareeqe se aapko baandhna aata hai aap us tareeqe se baandh sakte hain ismein koi harj nahi hai. Misaal ke toor par mujhe boht easy lagta hai ke main is tarah baandhunn ye dekhein. Bismillah. Ye beech mein centre mein aa gaye dono pallu jo hai is tarah aa gaye mere paas. Yahan se maine isko pakda yahan se, theek hai, phir aise karke ye dekhein. Ye aise ho gaya phir dusri taraf se bhi same aise, theek ho gaya. Ye do jo hai mere haath mein aa gaye. Pehle left wala maine andar le liya, right wale ko maine idhar bahar le liya, theek hai. Uske baad jo hai main yahan pe, ek second shayad ye samajh na aaya ho, ye right wala idhar aa gaya, phir left wale ko back left pe le gaye aur right wale ko right pe leke aa gaye. Uske baad ye dekhein yahan se aapka satar dhanp chuka hai ye, kuch bhi ho jaye ismein kya faida hota hai? Ismein ek faida ye hota hai ke aap jo hai na bilkul easily chal sakte hain. Ye dekhein, jidhar aap jaayen jidhar jitna aap isko kholein ye toh se bhi zyada jo hai khula hai, theek hai. To iski ye sahulat hai is tarah baandhne ka. Ab uske baad jo dusri chadar hai aapki safed usko aapne, ye bismillah, aise le lena hai, theek. Aapka Ehram jo hai bandh chuka hai sahi. Aksar jo hai main apna saman waghera uthane ke liye ye istemal karta hoon to ab ismein se jo saman hai mujhe zaroori saman yahan se ismein daal ke isko bhi maine apne pet pe jo hai yahan pe baandh lena hai. Uske baad niyyat karne se pehle aap maine kapde to ehram ke pehen liye hain lekin abhi bhi main boht se aise kaam hain jo kar sakta hoon jo ke ehram mein nahi karne chahiye. Misaal ke toor par itr lagana ye isko main abhi lagaunga, ye bhi hum use kar sakte hain. Uske alawa ye jo Vaseline hai ye is tarah koi bhi amm gel ho iska mard hazrat ko boht zyada zaroorat hoti hai kyunki jab chalte hain na to wahan par sa'i mein to jism aapas mein jab ragadta hai to zakham waghera ho jate hain. Isliye iska jo hai istemal abhi se kar lein to wo thoda banda jo hai matlab sukoon se reh jata hai. Uske alawa aap abhi bhi main kanghi waghera karna chahoon wo bhi kar sakta hoon, naakhun waghera bhi mujhe kaat lene chahiye. Mustahab ye hai ehram jab aap baandhte hain to aap pehle to ghusal bhi kar lein. Uske baad jo baal waghera hain wo bhi sare saaf kar lein, hajamat waghera karwani hai taaki good looking nazar aaye wo bhi kar sakte hain. Naakhun waghera agar aapke bade hain to unko bhi tarash lein, bhale aapne ye kapde pehen liye ab bhi ye kaam kar sakte hain niyyat karne se pehle. To filhal jo hai hum iska istemal kar lete hain aap sab ke saamne perfume. Perfume ho, itr ho koi bhi cheez jo hai aap laga sakte hain behtar ye hai ke aap agar Oudh lagaye itr lagaye to wo zyada afzal hai. To is waqt jo hai aap logon ne dekh liya Ehram baandhne ka tareeqa aur usse pehle jo hai humne khushboo waghera bhi laga ke hi aaye hain ghar se. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab Hajj ke liye tashreef leke gaye to yahan pe jo Bi'r Mashi hai ya Bi'r Ali hai jise kehte hain Bi'r Ali, Miqat Dhul Hulaifah. Yahan pe aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna Ehram baandha tha aur yahin se jo hai aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne niyyat ki thi to hum jo hai ab umrah ki niyyat is tarah karenge Labbaik Allahumma Umrah. Aur saath mein ye shart bhi lagaenge Allahumma in habasani habis fa mahalli haisu habastani. Iska matlab ye hai ke aye Allah agar Khuda na khwasta mere saath koi bhi hadsa pesh aata hai ya kisi bhi wajah se main umrah karne se ruk jata hoon. Whatever koi bhi wajah ho choti ho badi ho jisse main umrah karne nahi ja sakta to main apna ehram khol loonga. Bagair umrah karne ke kyunki Allah Azza Wajall farmate hain Wa Atimmul Hajja wal Umrah Lillah agar aapne umrah shuru kiya to aapko mukammal karna hai. Agar aapne Hajj shuru kiya hai to aapko Hajj jo hai mukammal karna hai lekin Khuda na khwasta agar aapke saath koi hadsa pesh aa jata hai, accident ho jata hai ya raste mein rasta kharab ho jata hai barishon ki wajah se, sailaab ki wajah se aap nahi ja sakte aur aapne phir wapas kal aake duty karni hai ya aapne aapki jo hai koi bhi aapka uzr ho sakta hai jiski wajah se aap Makka nahi pohonch sakte aur aap umrah nahi kar sakte ya peeche aapke Khuda na khwasta koi masla ho jata hai jiski wajah se aapko yahan se wapas aana hai to is shart ki wajah se phir aap apna ehram khol sakenge bagair kisi dam ke, bagair kisi jo hai matlab hai ke jaza aur saza ke. To umeed karta hoon ye jo hai aapko achhi tarah samajh aa raha hoga. Mazeed aap apne jo hai feedback waghera dete rahenge to usmein easy ye hoga ke aainda ke liye phir main jab dobara video banaunga to jo cheezein hum is video mein cover nahi kar sakenge usmein Inshallah zaroor cover karenge. Yahan pe aap mere peeche dekh sakte hain boht se log nafl namaz padh rahe hain ehram ki niyyat ke liye. To ye jo hai iska naam hi nafl namaz hai agar aap padh lein to achhi baat hai na padhein to koi iski jo hai ehram ki niyyat ke upar koi asar nahi hone wala. Sunnat hai baaz ulama ke nazdeek aur baaz ulama ke nazdeek sunnat bhi nahi hai. Lekin kisi bhi aalim ne ye nahi kaha ke ye bid'at hai jaise baaz kuch aur cheezon ke hawale se hota hai to do rakat agar aap yahan pe ada karke niyyat kar lete hain to achhi baat hai na karein to phir bhi aap yahan se guzarne se pehle bahar bahar se hi niyyat kar lein to wo bhi theek hai. Achha ek aur kaam jo aapko Ehram mein karna hota hai ke aapne ye jo haddi hai na isko khula chhodna hota hai to uske liye phir sabse behtar yehi hota hai ke aap is qisam ke joote jo hai na wo pehnein. Bismillah, ye dekhein.

[8:19]Madina se Makka se jahan se bhi aap Ehram baandh ke jab tak Haram nahi pohonchte to sare raste jo hai na aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat yehi thi ke talbiyat jo hai kasrat se karte the. Labbaik Allahumma Labbaik, Labbaika La Sharika Laka Labbaik, Innal Hamda Wannimata Laka Wal Mulk La Sharika Lak. Ek Hadees mein ye bhi aaya hai ke jab aap talbiyat padhte hain to aapke left right front back pe jitna bhi jahan tak aawaz hai aapki jati hai to aapke jo shajar hain matlab jo darakht hain jo pathar hain wo bhi aapke liye shahadat denge ke aapne talbiyat padhi thi.

[9:34]Hajr-e-Aswad se jo hai tawaf shuru hota hai aur wahan pe aapne jo apna seedha baazu jo hai bahar nikalna hai ehram se. Aur yahan pe agar aap Hajr-e-Aswad se door hain to uski nishani ye hai ke us taraf jo hai green lights lagi hui hain. Umrah ke jo hain teen arkan hain, pehla jo hai Ehram aur niyyat aur dusra jo hai tawaf aur sa'i. Ehram aur niyyat jo hai hum kar ke aa gaye the aur ab jo hai humne sabse pehle tawaf karna hai. Tawaf ke liye jo hai humein saat chakkar lagane hain Khana Kaba ke taraf lekin usmein jo hai hamara jo left side hai wo Khana Kaba ki taraf hoga aur jo right side hai wo hamari bahar ki taraf hogi. Tawaf karne se pehle jo hai humein ye wala jo baazu hai humein right wala baazu ye humein bahar hi rakhna hai ye poore tawaf ke dauran. Aur tawaf ke liye jo shuroot hain ke aapko jo hai ba wuzu laazim hona chahiye. Agar wuzu toot gaya to phir jis chakkar mein aap the wohi chakkar aapko wahin se dobara se wahan us jagah se nahi balki Hajr-e-Aswad ki shuruaat se dobara se karna padega. To aaiye tawaf shuru karte hain. Bismillah Allahu Akbar.

[11:02]Hum ruke hain namaz ke liye. Hum wuzu mein hi hain hamara wuzu nahi toota, hum namaz ke liye ruke hain to hum namaz ke baad yahin se apna tawaf jo hai continue karenge. Tawaf jo hai wo aapne jab chakkar lagana hai to yahan se ek darwaza laga hua hai Hateem ka, theek hai aur ek darwaza yahan se laga hua hai. Aap jo tawaf kar rahe honge to aap wahan se aayenge to aapne kabhi bhi Hateem ke andar se guzar ke tawaf nahi karna otherwise ye aapka chakkar poora nahi hoga. Kyunki ye jo Hateem hai na ye Kaba ka hissa hai matlab ye jo Khana Kaba hai ye uska hissa hai isko Hateem-e-Ismail Alaihi Salaam bolte hain. Ye jab Hazrat Ibrahim aur Hazrat Ismail Alaihi Salaam ne jab Kaba ta'meer kiya tha to ye sara hissa jo hai uske andar shamil tha. Lekin baad mein jab Quraish-e-Makka ne us waqt us zamane ke hisab se halal paise se ta'meer karna chaha to unhone sirf itna hi complete kar sake ke jitna bana hua hai. To aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke meri bhi khwahish hai ke main jo hai Khana Kaba ko gira ke dobara se Ismail Alaihi Salaam aur Ibrahim Alaihi Salaam ki jo hudood thi uske mutabiq banaun. Lekin aapne farmaya kyunki tumhari qoum abhi abhi Islam leke aayi hai Fatah Makka ke baad to isliye aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye kaam nahi kiya tha. Phir Abdullah Ibn Zubair Radiallahu Anhu ne apne zamane mein jab wo yahan pe Khalifa the unhone kiya tha lekin baad mein Abdul Malik Ibn Marwan ne ya uske baad kisi aur Khalifa ne mujhe sahi yaad nahi hai. Dobara se Hateem wala hissa gira ke phir se usko jo aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein jaise Kaba tha waisa hi chhod diya, theek hai.

[13:15]Tawaf ke baad jo hai aap logon ne do rakat nafl namaz padhni hai aur usmein jo hai aapne pehli rakat mein Surah Al-Kafiroon aur dusri rakat mein Surah Al-Ikhlas Qul Huwallahu Ahad ki tilawat karni hai. Agar ye na bhi karein to phir bhi chalega lekin behtar yehi hai ke aap ye do aayatein jo hai inka inka wird karein rakat ke andar. Uske baad aap laazim nahi hai ke Maqam-e-Ibrahim ke paas hi namaz ho kyunki aajkal boht zyada rush hai to aap kahin pe bhi baith ke namaz padh sakte hain umrah ke dauran matlab haram se haram mein kisi bhi jagah pe aap do rakat nafl namaz padh sakte hain. Phir iske baad jo hai aap logon ne jana hai Zamzam ka paani pe lein aur Zamzam ka paani peene ke baad jo hai aap logon ne phir Safa Wal Marwah jo hai wo shuru karni hai, theek hai.

[15:16]Mard hazrat ke liye jab aap sa'i kar rahe honge jab ye sabz lightein aayengi to aapko jo hai halka halka sa daud ke jo hai jana hai yahan se. Theek hai aur ye sunnat thi aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki. Aurton ke liye laazim nahi hai agar rush boht zyada ho to dhakke deke daudne ki zaroorat nahi hai balki aap aaram se bhi chal sakte hain, theek hai.

[15:43]Safa Wal Marwah jo hai iske chakkar jis tarah hum tawaf mein jahan se shuru karte hain wahan pe end hota hai aisa nahi hai. Balki Safa mein jo saat chakkar gine jayenge Safa se lekar Marwah ki pahadi jo ki is taraf hai wahan tak ek chakkar hoga aur phir Marwah se lekar Safa tak ye dusra chakkar hoga. Isi tarah jo hai aapke saat chakkar poore honge is andaaz se Safa Wal Marwah se ek Marwah wa Safa se lekar ek, theek hai. Uske baad Safa Wal Marwah mein sa'i ke dauran jo hai taharat ki shart nahi hai jis tarah tawaf ke andar hai aur ye umrah ka jo hai teesra rukun hai jab aap ye saat chakkar poore kar lenge to uske baad jo hai aapke teeno arkan umrah ke mukammal ho jayenge Inshallah.

[16:33]Yahan pe hamari sa'i jo hai Safa Wal Marwah ke chakkar jo hai mukammal ho chuke hain Al Hamdulillah. Marwah ke upar jo hai aapka saatwaan chakkar end hota hai jo ki Al Hamdulillah humne mukammal kar liya hai. Iske baad jo hai yahan pe koi do rakat aapko padhne ki zaroorat nahi hai na hi umrah ke liye koi do rakatein hain, theek hai. Waise aapne koi farz namaz na padhi ho ya tawaf ki do rakat abhi tak na padhi ho to wo aap yahan pe padh sakte hain. Uske baad aapne sabse pehla kaam ye karna hai ke jitni bhi dua maang sakte hain aap dua maangein chalte phirte uthte baithte Allah Pak qubool farmaye. Meri dua hai ke Allah Azza Wajall aap sab ko yahan pe aane ki taufeeq ata farmaye, umrah aur hajj ki sa'adat naseeb farmaye. To aaiye wahan chal ke aapko batate hain.

[17:32]Jee is waqt jo hai hum hajamat karwane ke liye pohonch chuke hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne jo hai jo unki sunnat thi ke poora jo hai aapne trend karwana hai matlab ganja karwana hai. Aur aapne unke liye jo hai teen martaba dua maangi ke Allahumma Aghfir Lil Muhalliqeen, Allahumma Aghfir Lil Muhalliqeen. Aur jo Muqassireen hain matlab jo thode thode baal kaat te hain unke liye aapne ek martaba dua farmayi.

[18:08]Aur jab aap thode baal kaatenge to phir bhi aapko sare jism ke jo hai baal kaatne hain na ke ek thoda yahan se aur thoda yahan se, ye sahi nahi hai balki poore jo sar ke baal hain aapko chaaron taraf se jo hai uske thode thode baal kaatne hain. Jee Al Hamdulillah is tarah hamara umrah jo hai mukammal ho chuka hai is dua ke saath ke Allah Pak aap sab ko yahan pe aane ki taufeeq ata farmaye, umrah aur hajj ki sa'adat naseeb farmaye. Video khatam karte hain, like karein, share karein, subscribe karein mazeed videos ke liye. Allah Hafiz.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript