Thumbnail for SAHABA KA IMAN |MOLANA TARIQ JAMEEL | THIS BAYAN IS HELPFUL IN REMOVING DEPRESSION AND ANXIETY by Madarsa Noorul Islam Siddique

SAHABA KA IMAN |MOLANA TARIQ JAMEEL | THIS BAYAN IS HELPFUL IN REMOVING DEPRESSION AND ANXIETY

Madarsa Noorul Islam Siddique

14m 1s1,914 words~10 min read
Auto-Generated

[0:09]Abu Zar Radiallahu Tala anhu jungle me rehte the, koi wahan aabadi nahi thi. Ek beti, ek biwi, aur ek khud. Maut ka waqt agaya. Tou unki begam ronay lagi, ke ab tu yahan veraney me marr raha hai. Ye bachi hai, mein umar rasida hoon, tera ghusal, tera kafan, teri qabar kon karega? Hayeee, hayeee. Kaha dekh Allah ki bandi, na mein jhoot bol raha hoon, na kehney walay ne mujhse jhoot bola. Mein ek majlis mein tha, to mere Nabi ne farmaya, ke is majlis mein ek shakhs aisa hai, jo akela rahega, akela marega, Qayamat ke din akela uthega. Uska janaza musalmano ki jamaat padhegi. To woh saare log marr gaye shehron mein, ek main akela hoon is jungle mein. Koi ayega? Aur kithon avega? Na koi raah, na rang. Ek to chalo rasta ho, rasta bhi koi nahi. Kon ayega? Hajj bhi khatm hogaya hai, hajj ke liye qaflay shortcut wahan se le lete the Rafza se. Unhone kaha mujhe yeh nahi pata tha. Yeh hoga Allah ki bandi ke kehne wala sacha hai. Dusra ye shakela bananay ki zaroorat hai. Ke dekho, ek meri nazar hai jo shishey par jaa kar khatm ho rahi hai. Ek mere Nabi ki nazar hai, ki aap namaz padh rahe hain. Allahu Akbar. Chalna shuru. Chalte chalte chalte deewar ke paas aake khade ho gaye. Usme mehrab nahi hoti thi deewar. Thodi der ke baad peeche hatna shuru ho gaye. Aur hat te hat te hat te saf ke kinare par chale gaye. Jab salam phera, to pehli saf ke logon ne to dekha pichlon ne nahi dekha to unhone kaha Ya Rasulullah ye kya kiya tha aapne? Pehle to kabhi aisa nahi kiya. Aapne farmaya, jab maine Allahu Akbar ki, to Allah ne mere samne jannat ko khol diya. Jannat kahan thi? Saaton asman par. Saaton asman par jannat. Allah ne mere samne jannat kholi, maine angoor ke guchhe latke hue dekhe, to main unke liye badhta badhta badhta deewar tak chala gaya. Kaha phir aap peeche kyun hate? Kaha phir Allah ne mujhe jahannam ki sholay dikhaye. To unse darr kar mein hat ta hat ta hat ta peeche chala gaya. Jiski nazar itni taqatwar ho. Yeh to badi mamooli cheez hai jannat dekh li dozakh dekh li. Rabb ko dekh liya. Assalamu alayka ayyuhan Nabiyu wa rahmatullahi wa barakatuhu. Aye mere Mehboob, tera Rabb tujhe salam pesh karta hai. Uski nazar pe yakeen karoon. Ke sood pe karobar karna bechaini aur iztirab ke siwa kuch nahi. Purani baat hai, Faisalabad gaya bada tajir kehne laga, ye hum to bankon ke manager hain. Jitna kuch aata hai sara unko kama ke de dete hain ke do char hazaar bachda aur asi bojhich pake le jaaneyan, te saanu log ande ne Sheikh Sahab te Seth Sahab, asi saare bankan de manager haan. Woh kehne lagi ab kon ayega yahan? Kaha mujhe nahi pata, chal raaste pe jaake beth.

[3:56]Din guzar gaya koi nahi aaya. Agle din aur halat kharab hui. Kaha ja raaste par beth. Ek aise hi rasta tha. Makkah ka shortcut, jo kabhi hajj jiska late ho jata tha, to woh woh rasta ikhtiyar karta tha, sehra tha. Teesra din chadha, to beti ko bulaya. Kehne wala bhi sacha tha aur mein bhi sach bol raha hoon. Yeh yaqeen ka qissa suna raha hoon. Beti ko bula ke beta, bakra zubah karo aur khana taiyar karo. Mere janazay par kuch mehman ayenge, unko khana khilana hai, meri maut mehman nawazi se rok na de. Woh beti ne kaha abu pyo kamla hoya piya chalo ek bakra tha daineya. Usne bakra zubah kiya aur use pakana shuru kiya aur Amma ji jaa ke raste par beth gayi. Teesra din tha yeh. Aur udhar sakarat jari ho chukay the. To unki begam ko door se ghubar udta dikhayi diya. To unhone apna dupatta yun lehraya aise aise karte. To kisi ek ki nazar pad gayi to saare wo udhar pad gaye. To woh 20 aadmi the, untniyon pe sawar. To ye kehti hain ek musalman marr raha hai, uska janaza padhoge? To woh kehne lage kon hai? Kaha Abu Zar. To saare ronay lage dhad dhad karke. Ke humare maa baap Abu Zar pe qurban. Uska janaza padhna to humari bakhshish hai. Ye kon log the? Ye Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu the apne 19 saathiyon ke saath Makkah tashreef le ja rahe the. Aur shortcut unhone le liya. Jab woh aaye to unko dekh ke kehne lage, aagaye ho. Mainu ta pata hi tussi aa hi jaana. Mere Nabi ki baat ka yakeen. Kehne lage dekho mujhe kafan woh de, aur mera janaza woh padhe jisne hukumat ki naukri na ki ho. Woh to khilafat e rashida thi, Hazrat Usman ki khilafat thi. Khilafat e Rashida ke azhad us sahaba hain, sabse bade zahid sahabi Abu Zar Ghaffari. To ek Ansani Naujawan ne kaha ke main ne na kabhi hukumat ki naukri ki hai. Aur na hi unse koi fayda liya hai, aur yeh mera ehram hai, meri maa ne hathon se isse kaat ke banaya hai. Unhone kaha bas tu mujhe apna yeh kafan pehnayega aur tu hi mera janaza padhega. Abdullah bin Masood maujood hai, unhone kaha nahi tu mera janaza padhaega. To jab woh tadfeen ho gayi to unki beti ne kaha Ya amm chal umma inna ta'am. Chacha chal umma ilal ghada. Khana taiyar hai tashreef layein. Woh kehne lage khana kaise? Itni jaldi kaise taiyar kar liya? Woh kehne lage nahi subah se hi Abba ne kaha tha ke aaj mehman ayenge to unke liye khana taiyar rakhna hai. To Hazrat Abdullah bin Masood ronay lage kehne lage wa Abu Zar, tu ne marr ke bhi sakhawat na chhodi. To sakhi tha zinda bhi aur sakhi raha marr ke bhi. To dusri cheez jiski zarb lagane ki zaroorat hai ke mere Nabi ke waade sacche waade. Ke jo woh dekh sakte hain jo hum nahi dekh sakte.

[7:35]Ek jab aap safar mein the, hijrat ke safar mein, to Surakha bin Malik aapke peeche pahonch gaya. To Abu Bakar Siddique ne kaha Ya Rasulullah ye to jaan leta hai humari. To aapne kaha Allahummaghfir lana sharrahu bima shi't. Ya Allah humari jaan chhuda isse. To uska ghoda zameen mein dhans gaya. Kehne laga Muhammad meri tauba, aainda nahi karunga main, mere liye dua karde. Aapne dua ki ghoda bahar nikala, usne phir ghoda daal diya. Yeh lalach hi to le jaata hai, eh karobar bhi kar lo, eh bhi kar lo. Ek bank aale tanu bada bewaqoof banaya hai. Ye bada achha plan aapko de rahe hain, ye bahut achha plan aapko de rahe hain. Aap isme ye kar lein, aap isme ye kar lein, tusi kamle ban ke lagge rehnde ho, lagge rehnde ho. Akheer maut aake le jaandi. Pichhle pata nahi kende ne muqaddar choon. To

[8:35]Kya keh raha tha? Surakha bin Malik unko lalach hua, phir peeche daude, phir ghoda dhans gaya. Phir kehne laga main main meri minnat hai hun bas meri tauba, main kalma padh leta hoon. Aapne dua ki ghoda nikal aaya, aapne kaha Surakha, yaar aaj to meri jaan lene ke peeche hai. Woh kya din hoga jab superpower, ye to main apne alfaaz keh raha hoon, jab superpower Iran ke badshah ke kangan tujhe pehnaye jayenge. Iran ke badshah ke kangan tujhe pehnaye jayenge. Ye kab keh rahe hain? Jab Makkah walon ke khauf se Makkah chhoda hai aur Madine ja rahe hain. Aur chhup ke ja rahe hain. Raasta badal ke ja rahe hain. Aur duniya ki sabse badi power ko ke bare mein keh rahe hain, ke tujhe kangan pehnaye jayenge. Woh khair kalma padh ke Musalman ho gaye. Jab Iran fatah hua Hazrat Umar ke zamane mein, to unke samne fehristh pesh ki gayi maal e ghaneemat ki. To unhone padha to usme kehne lage isme do kangan ka zikr nahi hai. Kisra ke kangan. Unhone kaha ji koi hai hi koi nahi to humne likha hi koi nahi. Kehne lage yeh to ho nahi sakta. Mujhe Abu Bakar Siddique keh kar gaye the, ke tere daur mein Kisra ka khazana ayega aur Allah ke Nabi ne Surakha se waada kiya tha ke usko yeh kangan pehnaye jayenge. Unhone kaha ji humare samne to sara guzra hai maal e ghaneemat koi nahi hai. Unhone kaha sara dubara talash karo, sara maal e ghaneemat. Uska ek kaleen tha jo ek ekad mein ke barabar tha, ek ekad choonhai mein tha. Poora ka, aur us par pooray Iran ka nakhsha tha. Usme Governoron ko bithata tha, phir raks aur sharab ki mehfil hoti thi. Aur uska usko Hazrat Umar ne kaat ke taqseem kiya to ek balisht tukda ek lakh dinar mein farokht hua tha. To jab woh dubara dhundha gaya to nikal aaya kangan, aapne kaha Surakha, kaha ji beemar hain kaha leke aao. To Surakha ko do aadmi sahara dekar laaye. Hazrat Umar uthe aur kangan pehnaye. Surakha, aaj mere Nabi ka waada poora ho gaya. To dusri jo humari buniyad hai woh yeh hai ke mere Nabi ki baat haq aur sacchi hai. Mera Nabi kehta hai sood mita deta hai aur sadqa zinda kar deta hai. Jab mera Nabi keh raha hai. Lekin chuki woh main maine pehle jo qissa sunaya, utto aao, to hum na Allah ko samajhte hain na Allah ke Nabi ko samajhte hain ke kehne wala kon hai? Jab bhi to uski qadar ayegi jab us kehne wale ki qadar ho. To chuke kehne walon ki azmat na padhi na suni. Na kabhi justuju ki. Sari soch ki taqat hai ke maal kaise badhe, maal kaise badhe? Paisa kaise badhe? Paisa badhao Allah ne roka to koi nahi lekin rizq e halaat se kamao. Abdul Rahman bin Auf aap sab ko jeb mein dal lein. Ke jitne bade bade bank hai na, ye sab unki jeb mein aagaye, itna tarqa chhoda. Unki biwiyon mein jo tarqa taqseem ho char biwiyan thi, aaj sonay ki qeemat ke lehaaz se do do arab ek biwi ko sadqa. Woh wirasat milti thi. 1000 ghode, 10,000 bakriyan, 1000 unt, aur sonay ki tailein, eentein jin ko aulaad mein wirasatan taqseem karte hue aariyan toot gayi, aariyan toot gayi, aariyan toot gayi. Aap ke dabbe kaaghaz ke note hain. Inko humne naqdi samjha hua hai, inko maal samjha hua hai kaaghaz ke noteon ko. Ye Yahudiyon ne hume kitna bewaqoof banaya hai? Saanu kaaghaz vi le le kat de dete hain lo bhai card pheri jao te eh kaaghaz vi saanu wapis kar. Hum to bewaqoof banay hue hain unke peeche chal rahe hain. Hum khud tarashte hain manazil ke sang e meel. Hum woh nahi hain jinko zamana bana gaya. Humari to apni raahein thi, apne raaste the. Jo laut aayein to kuch kehna nahi jinhen raston mein khabar hui ke yeh rasta koi aur tha. Hum to kisi aur rast ki taraf nikal gaye. Kisi aur rahon par chal pade hain. To mere Nabi ki baat ka yaqeen. Ek Sahabi aaye, Ya Rasulullah mere bhai ka pet kharab hai, kaha isse pila asil, shehad pila. Shehad pilaya. Phir aaya, Ya Rasulullah aur zyada diarrhea lag gaya. Aapne kaha shehad pila. Usne phir shehad pilaya, phir aya, Ya Rasulullah aur zyada ho gaya. Kaha shehad pila, tere bhai ka pet jhoota aur Allah ka kalam saccha. Fihi shifaul lin nas. Teesri dafa jab shehad pilaya to uska pet theek ho gaya, sahi ho gaya.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript