Thumbnail for part 1 (a) Behad Ke Vishwa Ka Gyan january 3 2016 by Bapuji Dashrathbhai Patel

part 1 (a) Behad Ke Vishwa Ka Gyan january 3 2016

Bapuji Dashrathbhai Patel

16m 3s1,533 words~8 min read
Auto-Generated

[0:03]Paramshanti.

[0:19]Beyhad K Beyhad K Vishwa ka Param Gyan.

[3:59]Paramshanti Maa, aapne bahut hi achha-achha mehnat kar-kar k itna achha yeh jo spiritual gallery banayi hai, aapki jeevan ki jo tapasya hai, mehnat hai, isko dekh k puri matlab yeh dekhne k liye puri duniya tadpegi ki kya Ma ne banaya hai. Boliye bataye aap Ma bataye. Dekho bete main toh kuch bhi nahi hu. Yeh toh karana wala bada hai, aur jisse woh karana chahta hai usse kara sakta hai. Woh atah shaktiwan hai, toh usne mujhe select kiya ki maine yeh jab gyan samjha aur maine usko chitro dwara dikhane ki koshish ki hai jo maine socha samjha gyan ko, usko main prakat karne k liye maine yeh chitra banaye hai aur meri bachpan se talaash thi ki bhagwan kaisa hai, kahan hoga, kahan milega, woh kis roop mein hai, toh anek prashn mere andar the ki aakash kya hai, aakash k upar kya hai. Toh aakash mujhe aise lagta tha bachpan mein jaise ek pinjre k andar main band hu. Toh main aise sochti rehti thi bahut gyan k bare mein toh un prashno k jawab mujhe Bapuji se mile. Bapuji ne jab mujhe gyan dena shuru kiya toh maine Bapuji ko pehchan liya. Toh mujhe Bapuji ne janam se hi gyan ki aankh di hui thi, gyan ka cell mere andar tha jo bachpan se sachche gyan ko dhundh raha tha. Kabhi bhi mere man mein jo prashn the, har prashn k parde khulte gaye aur Bapuji mujhe gyan dete gaye aur main hairan hoti gayi ki jo mere andar prashn the, wohi gyan Bapuji mujhe de rahe hain. Toh mere ko divya netra aane laga, divya buddhi se main Bapuji k viraat roop ko dekhne lagi, Bapuji k dhaam ko dekha, Bapuji k mool sthaan ko dekha, Bapuji kahan se aaye hain, woh maine dekha. Toh divya buddhi khulte khulte mere sare prashno k jawabo k parde khulte gaye khulte gaye toh aaj bhi mere prashno k jawab jo hain kafi had tak mujhe samajh mein aa chuke hain. Toh isliye vanio mein bhi jinhone vaniya suni hai, Brahma Kumari mein gaye hain log, unko pata hai ki Delhi ki dharni ko sab ko pranaam karna padega, kyunki sabse pehle janne wala Bapuji ko pehchanne wali aatma jo hai, usko kehte hain ki Delhi jo hai dil lene wali hai, bhagwan ka dil lene wali Delhi hoti hai. Toh yeh Delhi isliye naam padha hai, Trimurti Bhavan bhi naam padha hai aur sare naam toh padhte aise toh nahi padhte, koi na koi rahasya hota hai uss rahasya k dwara naam padhte hain. Toh Bapuji ko toh maine bharpur gyan liya hai Bapuji se aur jo chitra bata raha woh toh kuch bhi nahi hai. Woh toh ek mamooli gyan hai. Jo chitra mein utara gaya hai woh toh chhota sa thoda sa uska gyan ka ek ansh matra hai. Baki gyan toh Bapuji ne itna diya hai, atah gyan diya hai, ananta anant gyan diya hai. Bapuji k gyan ka jo hai woh Bapuji ko toh Bapuji k gyan ka kahin tha nahi pa sakte. Bapuji jo gyan dete hain dharti ka kagaz banao aur jitni bhi vanaspatiya, ped hain unke aap kalam banao. Aur sagar jitne bhi hain unki shahi banao, toh bhi tum Beyhad k Bapuji ka gyan nahi samajh sakte, matlab likh nahi sakte. Usko samajh sakte ho, samajhne wale bhi mutthi bhar aatma hogi. Toh zyada aatmayen samajh nahi sakti, phir baad mein Ma unko samjhati rehti hai, samjhate samjhate unki buddhi khulti hai. Toh jo Brahma Kumari mein gaye hain aur jo Shankar party mein bhi gaye hain, unko gyan aasani se woh samajh jate hain. Toh bahar ki duniya wale bhi samjhenge, yeh toh gyan iska hai brahmando ka hai, galaxy hai, galaxy k upar universe hai, uske upar great universe hai, great great universe hai. Aise karte karte 10 k upar 500 bindi lagao, itne universe jo hain woh science walo ne bhi bataye hain. Toh iske upar bhi atah duniya hai. Yeh duniya kahin bhi itna bhi iska vistaar hai, ki yeh duniya ka aakash param aakash param light param tatva jo hai maha tatva unka kahin bhi tha nahi pa sakte. Itni vishaan duniya hai. Khaali dharti par hi duniya nahi hai. Dharti par toh rai ka dana bhi rai k dane se bhi 600 va bhag duniya hai, yeh soch lo. Toh aakash tatva jo hamara jo aakash tatva jisme hum rehte hain. Woh aakash tatva jo hai woh aakash tatva bhi rai ka dana hai, yeh samajh lo. Jis jis aakash tatva ko aakash tatva ka ant science walo ne bhi abhi tak pa nahi pohche hain, woh bhi rai ka dana hai. Uske upar jo hai galaxies universe hai, ananta anant duniya hai aur ananta anant rang hain, ananta anant tatva hain. Uska toh gyan main kaise isme kar sakti hu. Woh toh samne aaye koi gyan samjhe aur uska netra khule aur uski buddhi vishal ho toh woh gyan praapt kar sakta hai. Paramshanti.

[11:08]Aaj main aapko padhaunga who is the almighty authority?

[11:17]Almighty authority kisko kehte hain? Jinke pass sarv satta hai, sarv satta dhish hain. Phir bhi woh komal hai, daya ka sagar hai. Kyunki usko koi dhundh bhi nahi sakta, isko koi pa nahi sakta. Kyunki kitna bada woh behad ka rachiyata hai. Samajhte ho? Behad. Behad shabd bahut bada hota hai. Jinki koi hadd hi nahi hoti. Behad ke vishv ka malik hai. Kaise vishv ka malik? Behad ke vishv ka malik hai aur jab behad ke vishv ka malik aapko jab padhaye, toh kya padhayega? Behad ke vishv ka rachna kaise hui? Behad ka vishv kaise bana? Behad ke vishv ke malik ne, behad ki vishv ki rachna kaise ki? Kyun ki? Kaise ki? Kaise chalta hai? Aur vahan kya hai? Behad ke vishv mein kya kya hai? Jaise aapko samjhaun ki behad ke vishv ke malik ke andar sara uski andar recording hai. Behad ke vishv ke andar sab kuch recording hai.

[12:38]Toh behad ka vishv ka malik aapko kya padhayega? Jinko sara sansar dhundh raha hai. Aaj ye bhi, aaj duniya ye bhi nahi jaan pati ki yeh yeh surya kisne banaya? Chand sitare kya hain? Kisne banaye? Kaise banaye? Grah kaise bane? Upnigrah kaise bane? Ye sab koi nahi bhi jaan sakta. Toh jo sari baatein aaj batayenge aapko,

[13:08]draw karke picture draw karke bhi batayenge ki galaxy kaise bani? Hamara brahmand kaise bana? Universe toh kaise bana woh bahut pehle 26 January 2002 ki 13 CDs mein bataya hua hai. Phir dobara bhi YouTube mein dala hua hai. Dobara bana k do YouTube mein dala hua hai, shortcut mein bataye hain. Kyunki yeh gyan batane k liye bahut time chahiye. Itna aasan cheez nahi hai ki bade magar bade roop se samjhate hain. Phir Bharat k shastro mein jo baatein likhi hain. Bharat ke shastron mein kewal ek brahmand ki baat likhi hai. Kahan ki likhi hai? Ek brahmand ke. Shastron mein ek brahmand ki baat likhi hai. Isse aage baat likhi nahi hai. Ek brahmand ka Shiv hai. Malik kaun hai? Shiv hai. Shiv ne Brahma dwara sarjan, Vishnu dwara palna aur Shankar dwara vinash. Toh ek brahmand se aage ki nahi hai. Ab Ram aur Krishna kaun hai? Ram aur Krishna ko koi parmatma keh dete hain. Woh kiska avatar hai? Koi Vishnu ka avatar keh dete hain, koi parmatma ka avatar keh dete hain. Parmatma Parmeshwar kya hai? Parmatma Parmeshwar sab kuch Shiv ko hi keh dete hain. Shiv toh ek brahmand ka malik hai. Ek brahmand mana aaj ka solar system, kitna? Aaj ka solar system. Magar aise toh kai arab solar system hai ek galaxy mein. Ek galaxy mana aakash Ganga. Ek aakash ganga mein kai kai arab solar system hai. Jaise hamare science walo ne bataya ki 200 arab solar system toh inhone hamari galaxy mein record ki. Magar kehte hai ki yeh bade-bade surya hi aaye hamari record mein. Solar system badi-badi aaye hain. Toh ek surya bade k pichhe teen surya reh gaye. Toh multiply three karo. Itne reh gaye hain, nahi aaye unke camera mein, unke sadhan tatvo k bane hain. Sthool tatvo k. Toh 600 arab nahi aaye, 200 arab aaye toh 800 arab hain. Hamari padhosi jo galaxy hai, Andromeda usme bhi 1000 solar system hai, 1000 solar system hai. Toh ek solar system mana ek chhota sa brahmand, mana ek prakash varsh ka, kitna? Ek prakash varsh ka ek brahmand. Ek prakash varsh ka ek brahmand mana iska jo diameter kitna hota hai? Iski jo diameter jo ek brahmand ka diameter 94 ka one side hota hai, double karo toh 188. Kitna? 188 arab kilometer, kitna? 188 arab kilometer. Diameter hota hai ek prakash varsh ka. Hamara brahmand jab Shiv ne banaya toh ek prakash varsh ka tha. Toh ab galaxy ki baat hui, aakash ganga ki baat hui. Ab universe, universe kitna bada hai? Woh sab main dheere-dheere aapko practical board mein batata jaunga, padhata jaunga. Toh universe aise shastra, science walo ne keh diya multiple universe hai. Kya hai? Toh multiple universe mana multiple universe science ki bhasha mein kya hai?

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript