[0:00]Ki aap Sallallahu Alaihi Wasallam par Nubuwat ka elan ho chuka. Pehli wahi aap Sallallahu Alaihi Wasallam par nazil ho chuki. Pehli wahi ke nazil hote hi aap Sallallahu Alaihi Wasallam ghar gaye, haibat aap Sallallahu Alaihi Wasallam par tari hui. Uske baad Amma Khadija Radiallahu Ta'ala Anha ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko apne chachazad bhai Waraqa Bin Naufal ke paas le gaye jo Eesaayi the. Jo Ibrani zubaan mein jo so Injeel likha karte the. Unhone Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki pehli wahi ki kaifiyat sunkar kaha ke aap aakhri Rasool hain. Kaash main us waqt zinda rahoon jab aapki qaum aapko aapke ghar se ya shehar se nikal degi. To Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne taajjub ka izhaar kiya ke kaise mere log mujhko mere shehar se nikal denge. Waraqa Bin Naufal ne kaha jab-jab koi bhi Rasool yeh paigham lekar aaya hai jo farishte ke zariye nazil hota hai, jo aap mujhse keh rahe hain us qaum ne us Rasool ke saath wahi mamla kiya hai. Goya Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam is baat ko lekar apne ghar ki taraf gaye. Azeezan-e-millat, Quran-e-majeed ka nuzool shuru hua. Is mauqe par azeezan-e-millat aap tamaam nazireen se ek baat kehna hai ke Quran-e-majeed ka nuzool koi mamooli baat nahi hai. Yeh Allah Subhanahu Ta'ala ka woh kalaam hai jiske baare mein Ulema-e-kiram ne ahadees ke hawaley se hamare saamne baat rakhi hai. Ke jab Allah Subhanahu Ta'ala Quran-e-majeed ki kisi bhi ayat ko nazil karna chahta aur Quran-e-majeed, nazireen-e-kiram, Allah Subhanahu Ta'ala ka kalaam hai. Yeh yaqeen mujhko aapko rakhna hai ke Allah Subhanahu Ta'ala ne kalaam farmaya Jibreel Alaihi Salaam ki taraf aur Jibreel Alaihi Salaam woh wahi lekar Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas pahunch jaate. Aur jab Jibreel Alaihi Salaam lete koi mamooli baat nahi thi. Azeezan-e-millat Quran-e-majeed ka nuzool hua toh kab? Shaher Ramadaanallazi unzila fihil Quran, yeh Quran-e-majeed Ramadaan ke mahine mein nazil kiya gaya. Goya pehli wahi Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par Ramadaan ke mahine mein nazil hui. Ek dusre muqam pe Allah Subhanahu Ta'ala ne irshad farmaya, "Inna anzalnahu fi laylatil qadr." Humne is Quran-e-majeed ko laylatul qadr mein nazil kiya. Is ki tafseer mein baaz Ulema-e-kiram ne yeh kaha ke Allah Subhanahu Ta'ala ne zameen aur aasman ki takhleeq karne se 50,000 saal pehle Lauh-e-Mahfooz banaya. Ek aisa maqam, aasmaani duniya mein Allah Subhanahu Ta'ala ne takhleeq kiya, jo Lauh-e-Mahfooz kaha jata hai. Jisme qayamat tak hone wali taqdeer logon ki likh di gayi, jisko Maqadeer kaha jata hai. Taurat usi ke andar, Quran-e-majeed usi ke andar, har cheez jo Allah Subhanahu Ta'ala ke manji aur irade hain, saari cheez Lauh-e-Mahfooz mein Allah Subhanahu Ta'ala ne mahfooz kar di. Toh goya Ulema-e-kiram ne kaha jab Quran-e-majeed ka nuzool hua toh Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par toh dheere-dheere 23 saal mein Quran-e-majeed nazil hota chala gaya. Lekin Laylatul Qadr mein humne Quran ko nazil kiya. Iski baaz Ulema-e-kiram ne tafseer is tarah ki ke pura Quran-e-majeed Lauh-e-Mahfooz ke neeche Baitul Izza jo maqam hai. Woh maqam jahan Jibreel Alaihi Salaam khade hokar Allah Subhanahu Ta'ala se wahi sunte aur lekar Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas pahunchate. Quran-e-majeed ek saath Baitul Izza pe nazil kiya gaya aur wahan se 23 saal ke marhaley mein thoda-thoda jab-jab Allah Subhanahu Ta'ala ne chaha.
[3:04]Waisa Jibreel Alaihi Salaam ke zariye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas pahuncha diya. Nazireen-e-kiram, yeh Quran-e-majeed ka nuzool koi aasaan baat nahi hai. Isliye ke agar hum jab tak in baaton ko samjhenge nahi, Allah Subhanahu Ta'ala ki yeh bade manshon ko samajhna bada mushkil hai. Yeh mizaaj yeh tha ke jab kabhi Jibreel Alaihi Salaam ki taraf Allah Subhanahu Ta'ala koi wahi pahunchana chahte jo woh le jakar aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas pahunchate. Toh Ulema-e-kiram ne kaha ke Jibreel Alaihi Salaam Baitul Izza pe aa jate aur jab Baitul Izza pe aate toh Allah Subhanahu Ta'ala kalaam karte. Us wahi ko kalaam ke zariye apne kehte Jibreel Alaihi Salaam ko toh mizaaj kya hota? Ulema-e-kiram ne kaha jab pehli martaba Jibreel Alaihi Salaam us wahi ko sunte toh aap Alaihi Salaam behosh hokar gir jate. Allahu Akbar! Ke Allah Subhanahu Ta'ala ka kalaam jab pehli martaba nazil hota toh Jibreel Alaihi Salaam bardasht na kar sakte aur behosh hokar gir jate. Dobara hosh mein aate toh Allah Subhanahu Ta'ala unke andar itni taaqat dalte ke woh Allah Subhanahu Ta'ala ke kalaam ko sune, bardasht kar sake aur us kalaam ko sunte Allah Subhanahu Ta'ala ki madad se aur lete Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas pahunch jate. Aur azeezan-e-millat Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas wahi ka pahunchna yeh koi mamooli baat nahi hai. Che alag-alag tareeqon se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf wahi ka nuzool hota. Ek toh aisa hota ke jab Jibreel Alaihi Salaam aate toh ghanti ke tantanan ki aawaaz ki tarah jo so aawazein aati. Yeh aisi shakal hoti ke sardi ke din hote, jaade ke din hote. Lekin Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par jab is qisam ki wahi ka nuzool hota, Quran-e-majeed aisi shakal mein, aisi haalat mein jab nazil hoti toh Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki peshani mubarak se paseene chhoot jate.
[4:44]Jaade ke din hote, lekin paseene Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko chhoot jate. Kabhi aisa hota ke Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko neend mein koi baat dal di jati. Goya Nabi Anbiya ke jo khwab hote hain, woh bhi ek qisam ki wahi hoti hai. Kabhi aisa hota ke Jibreel Alaihi Salaam insani shakal mein aate aur Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par wahi nazil karte. Is tarah che alag-alag tareeqon se wahi ka nuzool hota chala jata. Azeezan-e-millat Jibreel Alaihi Salaam ki woh kaifiyat hoti.
[5:25]Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki kaifiyat hoti. Lekin nazireen-e-kiram main apne liye sochoon, aap aapke liye is baat ka jaayza lein. Kya Quran-e-majeed kya aaj hum namazon mein jab sunte hain, kya Quran-e-majeed jab hum aaj haath mein lekar padhte hain toh kya hamari bhi wahi kaifiyat hoti hai jo jo so hamare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki jo so kaifiyat thi? Kya wahi dilchaspi se hum Quran-e-majeed ko sunte hain? Kya wahi dilchaspi se hum Quran-e-majeed ko padhte hain? Abu Bakar Siddiq Radiallahu Ta'ala Anhu ke baare mein aata hai ke jab woh Quran padhne baithte Makka mein apne ghar ke sehan mein. Toh aas-paas ke padoss ke aurtein aur bacche Abu Bakar Siddiq Radiallahu Ta'ala Anhu Quran padhte waqt itna rote, itna rote ke unke rote hue unko sunkar aakar wahan khade ho jate unko Quran sunte. Quraish ke logon ne Abu Bakar Siddiq Radiallahu Ta'ala Anhu se kaha, "Aye Abu Bakar Siddiq, Quran yahan padhna band kar do, kahin aisa na ho jaye ke tumhare Quran padhne ke tareeqe ki wajah se hamari aurtein aur bacche kahin Islam qubool na kar le." Is kaifiyat ke saath, is taqwe ke saath, is ikhlas ke saath. Is tawajjuh ke saath Sahaba Quran padha karte. Jibreel Alaihi Salaam ki kaifiyat hoti, Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki kaifiyat hoti. Lekin aaj Musalmanon ka mizaaj yeh hai, aaj Musalmanon ki kaifiyat azeezan-e-millat yeh hai. Aurtein hai toh ghar mein jhaadu marte hue Quran ko sun lete hain. Aurtein hai toh ghar mein bacchon ka tiffin bante hue, bacchon ko school ka dress pinate hue yeh Quran ko sun lete chale jate hain. Ya kabhi aap jo so car chalate honge toh aapki tawajjuh kahin aur hogi. Quran kahin aur chalta hoga. Aap kabhi Quran lagate honge toh apni dukaan par laga dete honge is kaifiyat ke saath ke dukaan mein barkat aa jayegi. Lekin aap customer se baat karte honge. Allah Ta'ala ne Quran-e-majeed mein farmaya jab kabhi Quran-e-majeed tumhare saamne padha jaye, khamosh raho aur tawajjuh se suno, isliye shayed ke tum par rehem kar diya jaye. Toh azeezan-e-millat Quran-e-majeed ko jab hum mutawajjuh hoke sun sakte hain, usi waqt lagaya kariye. Is tarah Quran-e-majeed ka mazaak hamari zindagi mein na ho. Is tarah mukammal kaifiyat ke saath. Ikhlas ke saath, aajizi ke saath, concentration ke saath, taqwe ke saath Allah Subhanahu Ta'ala ke kalaam ko mujhko aur aapko sunna bhi chahiye, mujhko aur aapko padhna bhi chahiye. Azeezan-e-millat Quran-e-majeed ka ehtram karna seekhe. Yeh mazaak na banate chale jaye. Ke hum jo so audio laga diye aur apne kaamon ke andar masroof hai. Yeh soch kar ke dukaan mein barkat aa jayegi. Yeh soch kar ke ghar mein barkat aa jayegi. Is kalaam ko padhkar hamari zindagi mein barkat lana zaroori hai. Jab tak ke hum is kalaam ko padhkar samjhenge nahi, aap zindagi mein waisi barkat ki ummeed mat rakhiye jaise ke aapke gumaan mein barkat ke jo so khayalat hain. Azeezan-e-millat, yeh kalaam Allah Subhanahu Ta'ala ka aaya hai. Beshak iska padhna sawaab hai. Iske ek-ek harf pe sawaab hai. Alif, Lam, Meem yeh ek harf nahi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaha. Alif ek harf hai, Lam ek harf hai, Meem ek harf hai. Har harf ki tilawat par 10-10 nekiyan likhi jati hain. Lekin azeezan-e-millat, yeh nekiyan toh Insha Allah milte rahegi. Lekin jo buniyadi maqsad hai Quran-e-majeed ke nuzool ka, wahi maqsad hai ke main aur aap apni zindagi mein woh changes laye jo Allah Subhanahu Ta'ala chahte hain. Azeezan-e-millat Allah Subhanahu Ta'ala ki yeh sabse badi neamat mujh par aur aap par hi hai. Ke Allah Subhanahu Ta'ala ne mere aur aapke liye ek nizam bhej diya hai, ek system bhej diya hai, ek constitution bhej diya hai, ek tareeqa bhej diya hai, ek way of life bhej diya hai kis shakal mein? Quran-e-majeed ki shakal mein mujh tak aur aap tak Allah Ta'ala ne paigham bhej diya. Aur azeezan-e-millat. Yeh Allah Subhanahu Ta'ala ka ehsaan hai ke Allah Subhanahu Ta'ala ne mujhko aur aapko Quran-e-majeed toh ata kar diya. Lekin Quran-e-majeed ata karkar Allah Subhanahu Ta'ala ne insaanon ko aazadi nahi de di. Kisi ko yeh nahi keh diya ke apni aql laga ke tum khud Quran samajh lo. Kisi ko yeh ikhtiyar nahi de diya gaya ke apni logic laga ke tum khud Quran samajh lo. Kisi ko yeh ikhtiyar nahi de diya gaya ke apne badon se is Quran ko jo so jaisa chahe man-mani seekh lo. Balki Allah Subhanahu Ta'ala ne ek aisa nizam banaya, ek aisa system banaya ke Allah Subhanahu Ta'ala ne is Quran-e-majeed ko samajhne ke liye. Ke jaise Allah Subhanahu Ta'ala chahta hai ke insaniyat samjhe, uske liye Allah Subhanahu Ta'ala ne pyare Nabi Muhammad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko zameen par mab'oos farmaya. Goya Quran-e-majeed ko sabse umda tareeqe se samajhne wali. Agar koi shakhsiyat hai is zameen par toh pyare Nabi Muhammad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam hi hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se behtar yeh Quran na koi samajh sakta tha, na koi Quran ko samjha sakta hai. Qayamat ke darwaze khulne tak sirf wahi woh shakhsiyat hai Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam jisne is Quran-e-majeed ko umdagi se samjha aur logon ko samjhaya. Lekin azeezan-e-millat, teesra ehsaan Allah Ta'ala ka mujh par aur aap par hi hai. Pehla ehsaan toh Quran-e-majeed ka nuzool. Dusra ehsaan Quran-e-majeed samajhne ke liye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi hamare saamne hai.
[9:43]Ke jis tarah Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhko aur aapko Quran-e-majeed par amal karna sikhaya hai, usi tarah seekhte chale jayen. Lekin teesra ehsaan bada aham hai azeezan-e-millat. Mere aur aapke zindagi ka nizam yeh 3-point formula pe chalta rahe. Pehla nizam Quran-e-majeed, Quran-e-majeed ko samajhne ka nizam Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnatein, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ahadees-e-mubarak hai. Lekin teesri aham cheez. Woh yeh hai ke azeezan-e-millat jab Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Quran-e-majeed par amal karte. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Quran-e-majeed ko samjhate toh kisko samjhate? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab koi amal karte toh kiske saamne woh amal hota? Azeezan-e-millat, is Ummat ke andar ek aisa group hai, ek aisa group hai, ek aisi jamaat hai jisko Allah Subhanahu Ta'ala ne pasand kar liya. Jisko Allah Subhanahu Ta'ala ne chun liya ke jinke baare mein Allah Subhanahu Ta'ala ne nahi Quran-e-majeed mein farmaya. Balki Quran-e-majeed ke nuzool se pehle jo kitabein nazil ki gayi, jin kitabon mein Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka tazkira Allah Ta'ala ne kiya. Wahi kitabein Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke tazkere ke saath-saath Allah Subhanahu Ta'ala ne is jamaat ka zikr kiya hai, is group ka zikr kiya hai. Woh Sahaba ka group hai, jiske baare mein Allah Ta'ala ne Quran-e-majeed mein farmaya. "A'udhu billahi minash shaytanir rajim. Dhalika mathaluhum fit-tawrah wamathaluhum fil-Injil." Sahaba ki jo sifat hai, inke sajdon par jo sajdon ke alaamat ki nishaniyat hai, Allah Subhanahu Ta'ala ne inki yeh sifat, inke zameen par aane se pehle Taurat aur Injeel mein bayan kar di. Azeezan-e-millat, teesri neamat is Ummat ke liye sabse badi hai. Ke Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Quran-e-majeed par kis tarah amal kiya. Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne ahadees ko kis tarah samjha? Sahaba hi woh jamaat hai. Yeh Sahaba hi woh group hai jisne apni aankhon se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke amal ka deedar kiya. Sahaba hi woh jamaat hai jisne apni kaanon se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke ahadees-e-mubarak ko suna. Yahi woh jamaat hai jiske har amal par Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka approval hota. Yeh jamaat agar zameen par Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki nigrani mein kuch galat amal karti toh Allah Ta'ala wahi nazil karke farmate, "Aye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam is jamaat ka correction kar dena." Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam us jamaat ka correction karte. Goya Sahaba ke amal ko uswa bana diya gaya aur yahi Sahaba ke baare mein Allah Ta'ala ne Quran-e-majeed mein farmaya. "Wa radiyallahu 'anhum wa radu 'anh." Ke Allah is jamaat se raazi hain aur yeh jamaat Allah Subhanahu Ta'ala se raazi hai. Aur Allah Ta'ala ne isi ayat mein farmaya, "Walladhina attaba'uhum bi ihsan." Jo koi qayamat tak aane wala shakhs poore ehsaan ke saath, poore sidq-e-dil ke saath Sahaba ke amal ko ikhtiyar kar lega. "Radiyallahu 'anhum wa radu 'anh." Allah unse raazi ho jayega aur woh Allah se raazi ho jayenge. Lehaza azeezan-e-millat, 3-point formula ko apni zindagi mein apnaye rakhiye. Pehla Allah Subhanahu Ta'ala ka kalaam, yeh zindagi ka nizam hai. Dusra is Quran ko samajhne ka nizam Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi hai. Aur aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnatein aur ahadees samajhne ka wahid uswa, wahid tareeqa agar koi hai toh sirf aur sirf Sahaba ki jamaat hai. Inhi baat ke saath azeezan-e-millat, ke Quran-e-majeed ko Allah Subhanahu Ta'ala ne mere aur aapki zindagi ka nizam banakar bheja. Aur Quran-e-majeed samajhne ke liye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko uswa banakar bheja. Aur Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi ko acche andaaz mein samajhne ke liye Allah Subhanahu Ta'ala ne Sahaba ki jamaat ko chun liya. Isliye yahi woh jamaat hai jo Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka action ko apni aankhon se dekha karti. Yahi woh jamaat hai jo Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke har qaul ko apne kaanon se suna karti. Goya Sahaba ka amal Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki nigrani mein hua. Yahi baat Allah Ta'ala ne Quran-e-majeed mein farmayi ke, "Radiyallahu 'anhum wa radu 'anh." Allah unse raazi, woh Allah se raazi. Aur, "Walladhina attaba'uhum bi ihsan radiyallahu 'anhum wa radu 'anh." Jo koi ehsaan ke saath, sidq-e-dil ke saath Sahaba ki ittiba kar lega, Allah unse raazi aur woh Allah se raazi bhi ho jayenge. Surah Tawbah, Surah number 9 ki ayat number 100 mein Allah Ta'ala ne is baat ka zikr kiya hai. Azeezan-e-millat, Quran-e-majeed ka nuzool shuru hua. Jaise hi Quran-e-majeed ka nuzool shuru hua, aap Sallallahu Alaihi Wasallam par pehli wahi ke baad ek ya do din guzar gaye, wahi ka aana band ho gaya. Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi ke teen se char din beete chale gaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke seene mein bechaini badhti chali gayi ke pehli martaba Jibreel Alaihi Salaam jo wahi lekar aaye the, dobara kyun nahi aate? Is waqfe mein aur izaafa hota chala gaya, yahan tak ke kayi din beet gaye aur Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam bechain-o-beqarar ho jate. Aakhir wahi kyun nahi nazil hoti? Baaz ahadees mein yeh baat milti hai ke Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam unchi chatanon par chale jate aur wahan se latakne ki koshish karte.
[15:19]Ke Jibreel Alaihi Salaam aake thaam lete, kehte, "Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam, beshak Allah Ta'ala aapko zaya nahi karega, sabr kijiye. Beshak aap Allah ke sacche Rasool hain." Sallallahu Alaihi Wasallam. Yunhi jo so waqt beetta chala jata, wahi ka nuzool nahi hota. Baaz Ulema-e-kiram ne iske peeche maqsad yeh bayan kiya, taki Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke andar wahi ko lene ki bechaini jo so badha di chali chali jaye. Yun aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke jo so yeh jo waqfa, pehli wahi nazil hone ke baad dusri wahi ke andar jo gap aaya tha, is waqfe ko Fatratul Wahi kaha jata hai. Yani wahi ke aane mein jo pause ho gaya tha, jo waqfa aa gaya tha, us waqfe ko Fatratul Wahi kaha jata hai. Lekin Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ghare Hira mein aana-jana apna jari-o-sari rakhe. Yahan tak ke azeezan-e-millat, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek din Ghare Hira mein jo so tashreef farmakar ibadat karkar Allah Subhanahu Ta'ala ki, gaur-o-fikr karkar jab Ghare Hira se utre. Hadees mein irshad farmaya ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam jaise hi Ghare Hira se utre, utar ke maidan mein gaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko aawaaz di gayi. Jaise Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko aawaaz di gayi. Jab Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apne sar ko upar uthate hain jab saamne dekhte hain toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ke zameen aur aasman ke darmiyan ek bahut buland kursi thi, ek bahut buland chair thi, us chair par Jibreel Alaihi Salaam. Apni asli shakal mein paron ke saath Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko dikhayi diye. Jaise Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jibreel Alaihi Salaam ko pehli martaba ya galiban dusri martaba apni asli shakal mein dekha, aap Sallallahu Alaihi Wasallam par haibat tari hui. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apne ghar ko tezi se nikle aur Khadija Radiallahu Anha se kaha, "Khadija zammiloonee zammiloonee." Khadija mujhe uda de. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par kambal uda di gayi aur Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam us haibat ko dur karne ke liye, us jo so pareshani ko apne se dur karne ke liye. Us kaifiyat ko apne se dur karne ke liye kambal odh kar so gaye. Kya nizam hai Allah Subhanahu Ta'ala ka? Jab aap Sallallahu Alaihi Wasallam kambal odh kar so gaye, Fatratul Wahi ka jo waqt tha, woh khatam hua. Dusri wahi pehli martaba nazil hui. Ab jab yeh wahi nazil hui, ab iske baad 23 saal tak wahi mein itna gap kabhi nahi aaya, silsile war wahi ka nuzool yahan se chalta raha. Surah Muddaththir ki sabse pehli paanch aayatein nazil hui. A'udhu billahi minash shaytanir rajim. Bismillahir Rahmanir Rahim. "Ya ayyuhal-muddaththir, Qum fa'andhir, Warabbaka fakabbir, Wa thiyabaka fathahhir, Warrujza fahjur, Wala tamnun tastakthir."
[16:41]Jahan Allah Subhanahu Ta'ala ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se khitaab farmaya, "Aye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam, Ya ayyuhal-muddaththir." Iske maayne hain, "Aye kambal odh ke sone wale Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam." Kya pyara nizam hai Allah Subhanahu Ta'ala ka ke jis kaifiyat mein Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam lete hue hain, usi kaifiyat mein khitaab farmaya, "Ya ayyuhal-muddaththir." Aye kambal odh ke letne wale pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam. "Qum fa'andhir, warabbaka fakabbir." Ab uth khade ho jaiye. "Warabbaka fakabbir." Ab logon ke saamne Allah Rabbul Izzat ki kibriyai bayan kar do. Log jo shirk mein apne aap ko mubtala kar chuke hain, log jo Allah ke siwa buth parasti mein apne aap ko mubtala kar chuke hain, log Ibrahim Alaihi Salaam ke deen ko bhulakar apne taur tareeqe bana chuke hain. Khuraafat la chuke hain, bid'at la chuke hain, shirk la chuke hain, kufr ke andar daakhil kar chuke hain. "Warabbaka fakabbir." Allah Subhanahu Ta'ala ki kibriyai bayan kar do. Is haq wale deen ko bayan kar do jo Quran-e-majeed aap par nazil hota hai, woh unke saamne bayan kar do. "Wa thiyabaka fathahhir, warrujza fahjur." Apne kapdon ko pak saaf rakha karo, har qisam ki napaki ko chhod do. Chaahe woh kisi bhi qisam ki napaki ho, badan ki napaki ho, mooh ki napaki ho, har qisam ki napaki ko chhod do, isliye ke Allah Subhanahu Ta'ala Quran-e-majeed mein farma dete hain, millat yeh ayat mere aur aapke liye naseehat hai. "Wallahu yuhibbul-mutatahhirin." Ke beshak Allah Subhanahu Ta'ala mohabbat karta hai kin se? Allah Ta'ala mohabbat karta hai unse jo bahut zyada pak saaf rehne wale ko pasand farmate hain. Aise logon se Allah Ta'ala mohabbat karta hai. Lehaza azeezan-e-millat hum bhi is baat ki koshish karein ke hamara libaas pak saaf ho, hamara badan pak saaf ho, ghusl ki aadat hum maintain karte rahein. Acchi khushboo ki aadat hum maintain karte rahein.
[18:24]Khushboo ka ehtimam kiya karein, pak saaf apne aap ko rakha karein. Wudu ki halat mein apne aap ko rakha karein. Ghusl ke saath gandi badboo ko apne badan se door rakha karein. Is tarah jo so koi haram cheezein khakar ya haram cheezein peekar apne muh ko ghalazat se na bharein. Is tarah Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko hukm diya gaya. "Wa thiyabaka fathahhir, warrujza fahjur." Har qisam ki napaki ko Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam chhod dijiye. Apni gaadiyon ko pak saaf rakha karein, apne offices ko pak saaf rakha karein, jahan hum baithte hain wahan pak saaf ikhtiyar karein. Isliye ke Allah Ta'ala ne khaas hukm diya, "Warrujza fahjur." Har qisam ki napaki ko Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam chhod dijiye. Jaise Surah Muddaththir ki aayatein nazil hui, nazireen, Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par dobara wahi ka silsila jaari ho gaya. Jaise dobara wahi ka silsila jaari hua ab kabhi wahi mein itna gap nahi aaya, itna pause nahi aaya jaisa pehla wahi ke baad aaya tha. Wahi ka silsila jaari-o-sari hua. Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko ab yahan se continue wahi usool hoti rahi, waqtan fawaqtan jab-jab Allah Subhanahu Ta'ala chahte. Lekin is ayat mein sabse pehla hukm jo Allah Ta'ala ne diya woh yeh kaha, "Warabbaka fakabbir." Ab Allah ki kibriyai bayan karo. Ab Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko wazeh taaleemat mil gayi ke ab aapke logon ke saamne, Makke ke logon ke saamne aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko Allah ki kibriyai clearly bata dena hai.
[19:44]Makke ke log Allah Ta'ala ki zaat se waqif the, woh log haj karte the, umra karte the, tawaf karte the. Apne khat likhte toh "Bismika Allahumma" se likhte the. Woh log Allah ki qasam khate the, lekin Allah ki zaat ke saath-saath kisi pattharon ko bhi apna Ma'abood banana shuru kar diya. "Warabbaka fakabbir." Jab Allah ki kibriyai bayan karne ki baat aayi toh Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke ab Makki daur ka aaghaz hota hai, jahan aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Nubuwat ke daayre mein aane ke baad 13 saal aap Sallallahu Alaihi Wasallam Makke mein guzaare.
[20:16]Phir uske baad aap Sallallahu Alaihi Wasallam 10 saal Madine ke andar guzarne wale hain. Azeezan-e-millat jaisa humne aapko pehle episode mein kaha tha, is seerat ko aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hum char hisson mein bayan karne wale hain. Pehla hissa yeh ke Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam duniya mein aane se pehle deeni halaat kya the woh aapko bata diye gaye. Dusra hissa yeh ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam bachpan se paidaish se lekar 40 sala zindagi tak kya halaat the woh bata diye. Azeezan-e-millat yeh do hisse mukammal ho chuke hain. Teesre hisse ka aaghaz hota hai ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam Makke mein apni Nubuwat ke daayre mein daakhil ho gaye. Aur teesra hissa hai 13 saala Makki zindagi aur chautha hissa hai 10 saala Madani zindagi. Azeezan-e-millat, yahi seerat hai aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki jo haqiqi Islam hai. Isliye ke Quran-e-majeed ka jo nuzool hota, us par Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka jo amal hota, yahi aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki seerat hai aur us par Sahaba ka jo amal hota, yeh bhi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zindagi ke andar shamil kar liya gaya. Azeezan-e-millat, Seeratun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke teesre hisse ka aaghaz aapke saamne kiya jata hai. 13 saal ka aaghaz Nubuwat ke baad aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Makki zindagi ka aaghaz hota hai. Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Makki zindagi ke andar daakhila liye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Makki zindagi Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko ab jab daawat dene ka hukm hua toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko maloom tha. Yeh aisi qaum hai jo direct abhi daawat ko qubool nahi karegi. Lehaza aap Sallallahu Alaihi Wasallam unki jahaliyat se acchi tarah waqif the, unke ghusse se acchi tarah waqif the, unke culture se acchi tarah waqif the. Ek nahi, do nahi, 360 pattharon ki pooja woh log kiya karte the. Inke shirk se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam waqif the, inki ladai jhagdon se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam waqif the, inki jahalat se acchi tarah waqif the. Isliye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Makki zindagi ke andar pehle hi open daawat ka kaam shuru nahi kar diya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Makki zindagi ke andar jo daawat-e-deen ka kaam shuru kiye, woh teen hisson mein taqseem kiye. Sabse pehla hissa aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka yeh tha ke shuru ke teen saal, yani 41, 42, 43 aur galiban 44 year tak aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki jab umar hui toh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam. Infaradi level par deen-e-Islam ki tabli ka kaam karne lage. Infaradi level yani one-on-one logon ke paas jate, individual logon se milte, apne business partner se milte, apne qareebi rishtedaron se milte, apne qareebi doston se milte, unko deen-e-Islam ki daawat dete. Teen saal tak yeh marhala chalta raha, jiske nateejey mein yeh hua ke teen saal ke andar Makke ke andar deen-e-Islam ki khushboo logon ke ghar-ghar pahunch chuki thi. Jiske kis tarah kaam kiya gaya, woh aapko agle episode mein Insha Allah hum batayenge. Dusra hissa Makki zindagi ka yeh tha jab Allah Subhanahu Ta'ala ne Surah Ash-Shura ki aayatein nazil ki jisme Allah Ta'ala ne hukm diya, "Aye Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ab khulkar deen-e-Islam ki tabli ka kaam shuru kar dijiye." Teen saal infaradi kaam ke baad aap Sallallahu Alaihi Wasallam khule aam Islam ki tabli Makke mein shuru kar diye. Jab khule aam tabli ka kaam shuru hua toh kya Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko result mila?
[23:09]Woh halat aapke saamne batayenge. Aur teesra jo hissa hai Makki zindagi ka woh yeh hai ke Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Makke ke neighbouring cities jo hain, Makke ke aatarf mein jo shaher hain, wahan par deen-e-Islam ki tabli ke kaam ke liye gaye. Yeh 13 saal mein yeh kaam kis tarah anjaam diye gaye? Kya infaradi daawat mein kitne logon ne Islam ko qubool kiya? Khule aam tabli mein kya nateeje Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke saamne aaye? Makke ke bahar jakar daawat dene mein kya nateeje Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke saamne aaye? Yeh tamam halat ka tazkira Insha Allah aapke saamne is silsile war Seeratun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke program mein aane wale episodes mein kiya jayega.



