[0:00]Yeh fox Minecraft ka best pet hai, Kyunki kayi cases mein yeh wolf se bhi zyada behtar hai. Par woh kaise? Kyunki Minecraft mein toh sab log wolf ko hi use karte hain? Aur aadhe se zyada janta ko toh pata hi nahi hoga ki hum fox ko tame bhi kar sakte hain. Uske liye aapko 2 foxes ko breed karwana padega aur jo bachcha hoga unmein se, woh phir aapko trust karne lagega. Aur uske baad jab bhi koi aap pe attack karega toh yeh usko attack karega. Bilkul wolf jaise, par yeh wolf se bhi ek step aage hai. Kyunki fox ki khaasiyat hoti hai ki woh zameen mein rakha hua samaan apne muh mein rakh leta hai. Aur agar woh samaan ek powerful weapon hua, toh yeh deadly pet ban jayega. Jo kisi bhi mob ko one-hit karne ki taakat rakhta hai. Nahin, nahin, isko nahin. Toh agar yeh itna powerful hai toh log isko use kyu nahi karte hain? Uske do bahut bade reasons hain. Pehla toh yeh aapko follow nahi karta. Ya toh aapko inko lead se follow karwana padega ya Batman ke parents ki tarah aapko iske parents ko bhi marna padega. Dusri main wajah hai iski ability. Zaroori nahi ki yeh aapki giri hui sword ko hi uthaye, chahe zameen mein aaloo ho ya kuch aur, yeh usko bhi utha leta hai. Jo isko annoying aur not ideal pet banata hai.
Watch on YouTube
Share
MORE TRANSCRIPTS



