Thumbnail for Cast Away Movie Explained / True Story by Bollywood Silver Screen

Cast Away Movie Explained / True Story

Bollywood Silver Screen

16m 35s3,769 words~19 min read
Auto-Generated

[0:01]Bollywood Silver Screen presenting Castaway. Yeh film Chuck Noland ki zindagi ki sacchi kahani hai. Jo ek island mein phas gaye aur wahan woh chaar saal tak rahe. To chaliye jaante hai ki kaise woh us island mein phase aur kaise woh chaar saal tak zinda rahe aur ant mein kaise woh us island se bahar nikal paaye. Yeh kahani hai FedEx courier company ke employee Chuck ki. Jo apne kaam mein bahut hi serious hota hai. Aur woh obsessed hote hai ki har ek courier, har ek packet time par pahuche. Aur isliye woh alag-alag country visit karte hai jahan bhi unki branches hoti hai. Aur wahan ke jo employees hote hai woh unhe motivate karte hai aur unhe time ki value batate hai. Saath hi mein Chuck ek ladki se pyar karte hai jiska naam Kelly hai. Aur Kelly bhi Chuck se bahut pyar karti hai aur yeh dono bahut lambe samay se relationship mein hai. Yeh dono shaadi karna chahte hai, lekin Chuck apne kaam mein bahut busy rehte hai, woh desh videsh ghumte rehte hai aur isi wajah se abhi tak in dono ki shaadi nahi hui. Ab Christmas aane wala hai lekin Chuck ko Malaysia jaana hai kyunki use FedEx company ka wahan pe bahut hi zaroori kaam hai. Lekin woh bolta hai ki main New Year Eve par yahan par aa jaunga chahe kuch bhi ho jaye. Kelly bolti hai ki Christmas ka kya? Lekin Chuck use mana leta hai aur Kelly bhi maan jaati hai aur jaate hue Chuck use Christmas ka gift deta hai. Aur Kelly bhi use Christmas ka gift deti hai jo ki ek ghadi hoti hai aur us ghadi mein Kelly ki photo bhi hoti hai. Chuck Malaysia ke liye nikal jaata hai aur jab unka plane Pacific Mahasagar ke upar se ud raha hota hai tabhi wahan par bahut zor se toofan aata hai. Aur us toofan mein unka plane crash ho jata hai. Kyunki yeh FedEx company ka private plane hota hai to ismein chaar hi log hote hai. Aur baki logon ka samaan hota hai, parcel hote hai. Inka plane Pacific Ocean mein gir jaata hai. Aur girne ke baad ismein sirf ek hi insaan bachta hai woh hota hai Chuck. Chuck ek airboard par baithta hai aur samandar ka toofan use apne saath baha kar le jaata hai. Aur jab subah uski aankhe khulti hai to woh ek tapu par hota hai. Us tapu par woh charon taraf dekhta hai lekin wahan door-door tak koi bhi nahi hota. Wahan nariyal ke ped hote hai, pahad hote hai lekin us tapu par use koi insaan nahi dikhta. Woh zor-zor se awaaze bhi lagata hai lekin uska bhi koi fayda nahi hota. Iske baad woh ret par H E L P likh deta hai bada-bada taki upar se koi plane ude, shayad uski nazar us pe pad jaye. Raat ho jaati hai aur Chuck so jaata hai. Jab subah Chuck uthta hai to jo usne ret pe H E L P help likha hota hai woh mit chuka hota hai. Aur iske baad Chuck lakdi ke bade-bade tukdon se Help likhta hai kyunki woh jaanta hai ki use dhundne zaroor log aayenge. Aur jab woh log aaye to unhe is nishan ko dekh kar yeh pata chal jaye ki Chuck yahin par hai aur use help ki zaroorat hai. Ab Chuck ke saath is tapu par behkar FedEx company ke kuch packages bhi aa chuke hai lekin unmein kuch bhi khane ka samaan nahi hota. Isi beech Chuck ko kai baar aahat bhi sunai deti hai. Aur jab woh charon taraf dekhta hai to wahan par koi bhi nahi hota. Tabhi uske saamne ek nariyal girta hai aur woh samajh jaata hai ki yeh nariyal girne ki awaaz thi. Ab Chuck ko kyunki pani ki zaroorat hai aur woh samundar ka pani nahi pi sakta to uske paas pani ke liye sirf ek hi option hai aur woh hai nariyal pani. Woh bahut saare kacche nariyal ikathe kar leta hai, lekin nariyal ko faadna, uska cover nikalna itna aasaan nahi hota. Ismein Chuck ko bahut struggle karna padta hai. Aur baad mein woh ek nariyal ko nikal bhi leta hai lekin usmein chhed karna, usse pani pina yeh bahut mushkil hota hai lekin finally Chuck ek nariyal mein chhed karke usse pani pina seekh jaata hai. Ab Chuck ke paas pani pine ke liye nariyal hai. Ab Chuck ko yahan par do-teen din ho chuke hai aur uske pairon mein joote nahi hote. Aur jab woh pani mein chalta hai to pani mein jo patthar hote hai usse uske pair mein bahut takleef ho rahi hoti hai. Aur uske pair se khoon bhi nikal raha hota hai. Iske baad Chuck apni pant ko aadha faad ke apne pairon pe lapet leta hai. Kyunki use upar ek bahut badi choti dikhti hai jo bahut unchi hoti hai aur woh yeh tay karta hai ki woh us choti par jayega. Aur charon taraf ka jaayza lega ki exactly woh hai kahan par. Aur jab woh us choti par jaata hai to use samundar mein koi dikhta hai. Woh jaldi-jaldi neeche aata hai aur us cheez ke paas jaata hai aur jab woh wahan par jaata hai to dekhta hai ki woh usi ke plane ke ek pilot ki dead body hoti hai. Yeh dekh ke Chuck ko bahut dukh hota hai. Aur Chuck use dafna deta hai lekin dafnane se pehle woh uske joote aur uske paas ek torch hoti hai woh rakh leta hai. Kyunki yahi do cheez uske paas thi jo Chuck ke kaam ki thi. Ab Chuck ko is beach par, is tapu par bahut din ho chuke hai aur woh akela hai. Lekin dheere-dheere woh us tapu pe rehna seekh bhi raha hai, usne seekh liya hai ki patton pe jo raat ko os ka pani gira hota hai use nariyal ke andar kaise dalna hai. Isi ke saath woh apni bhook mitane ke liye machhli marna bhi seekh raha hota hai. Woh ek lakdi ko pahana karke usse machhli marne ki koshish karta hai. Darasal yeh bahut purani technique hoti hai jo adivasi kiya karte the. Aur Chuck usi technique ke zariye machhli pakadne ki koshish karta hai lekin use kamiyaabi nahi milti. Uske paas is tapu mein khane ke liye sirf crab hai, nariyal pani hai aur os ka pani jo raat ko patton mein jam jaata hai. Yahi sab uske khane ke liye is tapu par hai. Ab ek raat ko use ek ship dikhta hai jo samundar mein hota hai. Use dekh ke Chuck bahut excited ho jaata hai aur woh zor-zor se chillane lag jaata hai lekin itni door tak awaaz pahunchana namumkin hai. Woh torch jala kar unhe ishara karne ki bhi koshish karta hai lekin itni door se torch ki roshni ko dekhna bhi namumkin hai. Aur agli subah Chuck yeh faisla karta hai ki jo uske paas airboat hoti hai jis mein baith kar woh is beach tak pahuncha hota hai. Woh us airboat par baith kar is beach se nikal jaayega. Kyunki use pata chal chuka hai ki yahan par koi nahi hai aur yahan par koi aane wala bhi nahi hai. Ab jab woh us airboat se wahan se nikalne ki koshish karta hai to wahan par uska samna hota hai badi-badi lehron se. Aur woh lehrein use samundar mein jaane nahi deti balki wapas beach pe dhakel deti hai. Aur isi dauraan uske pair mein bhi chot lag jaati hai aur bahut khoon nikalta hai. Aur Chuck wapas beach par aa jaata hai. Isi dauraan ek raat ko baarish bhi ho jaati hai. Aur Chuck wahan par ek gufa hoti hai uske andar chala jaata hai aur torch jalata hai. Aur raat ko torch jala ke so jaata hai aur jab subah uthta hai to torch ke cell khatam ho chuke hai. Aur ab Chuck ke paas roshni ke liye kuch bhi nahi hai. Aur use yeh bhi nahi pata ki aag kaise jalate hai. Ab woh un boxes ke paas jaata hai jo FedEx ke hote hai aur jo tair ke is kinare par aaye hote hai. Woh ek-ek karke saare boxes kholta hai. Usmein use bahut saari cheezein milti hai lekin uske kaam ki ek do hi cheezein hoti hai. Ek use joote milte hai jo skating ke hote hai aur jiske neeche blades lage hote hai. Woh unke blades nikal leta hai. Aur ab uske paas ek chaaku type ki cheez hai jisse woh nariyal ko aaram se faad sakta hai aur kisi bhi cheez ko sharp kar sakta hai. Woh ek lakdi ko sharp karta hai use ek auzaar ki tarah bana leta hai. Aur is baar dobara woh machhliyon ko aur kekdon ko usse pakadne ki koshish karta hai. Aur woh machhliyon ko pakadne mein kamiyaab ho jaata hai. Halanki kekde to use pehle bhi kinare pe mil jaate the lekin machhli ko pakadna lagbhag namumkin tha. Iske aage Chuck ke saamne sabse badi samasya yeh aati hai ki woh kekdon ko kacha nahi kha sakta. Aur isliye ab use aag ki zaroorat hai. Aur woh aag jalane ki bahut koshish karta hai, usmein uske haath bhi chhil jaate hai. Lekin Chuck ko kamiyaabi nahi milti. Woh bahut frustrate ho jaata hai, zor-zor se chillane lagta hai. Iske baad woh nariyal chhil raha hota hai tabhi usko idea aata hai ki agar do lakdiyon ko main aage peeche ghisun to shayad aag jal jaye. Kyunki isse pehle jis tarike se woh lakdi se aag jalane ki koshish kar raha tha usse uske haath chhil gaye the. Ab woh doosri tarah se try karta hai aur bahut mushkilon ke baad aag jal jaati hai. Aur aag jalne ke baad Chuck bahut khush ho jaata hai. Aur is tapu pe aane ke baad pehli baar use khushi mili hai. Isi ke saath wahan par jo samaan pada hota hai usi samaan mein ek football bhi hoti hai. Aur us football pe Chuck ka blood laga hota hai. Woh uspe aankh, naak aur mooh ka shape bana deta hai. Aur usse baatein karna shuru kar deta hai aur us football pe Wilson likha hota hai to woh use Wilson kehke bulata hai. Aur ab Chuck ka is tapu pe ek dost bhi hai aur woh hai football. Chuck ko yahan par ek cheez aur bahut takleef de rahi hoti hai. Aur woh hota hai uske daant ka dard aur uske daant ka dard bahut pehle se tha lekin woh hamesha doctor ke paas jaane se katrata tha. Aur ab use kisi bhi haal mein is daant ko todna hai aur woh bahut mushkil se apne daant ko todta hai aur todne ke saath hi behosh ho jaata hai. Dheere-dheere waqt aage badhta hai aur aaj Chuck ko is tapu pe poore chaar saal ho chuke hai. Aur in chaar saalon mein Chuck ka pura huliya badal chuka hai. Pehle woh mota hua karta tha, aaj woh bilkul patla hai. Uski dadhi bahut lambi hai, uske baal bade-bade hai aur Chuck ab is tapu mein poori tarah se jeena seekh chuka hai. Woh door se dandi fekta hai aur usmein machhli aakar atak jaati hai. Yani ki woh machhli ko door se hi maar deta hai. Kyunki chaar saal se woh nirantar prayas kar raha hai aur ab is tapu ke vatavaran, yahan ki zindagi se Chuck poori tarah se ghul-mil chuka hai. Aur wahin Wilson aur Chuck ki dosti aur bhi gehri ho chuki hai. Wilson ko Chuck saari baatein batata hai, usse din bhar baatein karta rehta hai. Ek subah Chuck machhli kha raha hota hai tabhi use kisi cheez ki awaaz aati hai. Aur jab woh bhaag ke bahar jaata hai to wahan par ek steel ki sheet hoti hai. Aur us sheet ko dekh kar use idea aata hai ki main iski madad se is tapu se nikal sakta hu. Darasal is tapu se aage samundar mein nikalne ke liye jo sabse badi archan thi woh thi samundar ki lehrein. Jab bhi Chuck samundar mein jaane ki koshish karta woh lehrein use wapas fek deti. Aur isi wajah se Chuck pichle chaar saal se is tapu se nikal nahi paya. Ab woh bade-bade nariyal ke ped kaat-ta hai aur unhe kinare pe le jaata hai aur usse ek beeda banata hai. Halanki beeda banana itna aasan nahi tha. Use ismein bahut mushkile aati hai aur woh yeh tay karta hai ki jab hawa ka rukh badlega tab woh yahan se nikal jaayega. Aur jo use sheet mili thi use hawa ke viruddh istemal karega taki uske bede ko dhakka mil sake. Jaisa ki purane zamane mein log apni naav ko aage badhane ke liye pardoon ka istemal karte the. Chuck usi technique ka istemal karke is beede ko banata hai. Aur ab woh waqt aata hai jab hawa ka rukh badal jaata hai. Chuck apne dost Wilson ko apne beede mein rakhta hai aur wahan se nikal jaata hai. Ab use badi-badi lehron ka samna karna padta hai. Lekin Chuck un lehron ko paar kar jaata hai aur uske baad woh bahut khush hota hai. Lekin abhi bhi anant samandar aage hai. Use kuch nahi pata ki use zameen kab milegi ya koi ship use kab milega. Bas Chuck us tapu ko chhod kar ab nikal chuka hai. Pichle chaar saalon se Chuck usi tapu par tha. Aur aaj us tapu se nikalne ke baad uske andar ek ummeed hai ki shayad woh ghar pahunch jaaye. Lekin yeh sab itna aasan nahi hone wala tha. Samundar mein use baarish ka, toofan ka in sab ka samna karna padta hai. Halanki khane ke liye woh machhli pakad leta hai aur baarish ka pani pine ke liye jama kar leta hai. Usne baarish ka pani ikatha karne ke liye bahut saare nariyal rakhe hote hai to jab bhi baarish hoti hai to unmein pani bhar leta hai. Aur use bacha ke rakhta hai taki woh baad mein pi sake. Lekin isi beech ek aisi ghatna hoti hai jisse Chuck poori tarah se toot jaata hai. Uska dost Wilson jo ki football hai woh pani mein gir jaata hai aur jab tak Chuck ko pata chalta hai Wilson usse kafi door jaa chuka hota hai. Lekin phir bhi Chuck pani mein kood jaata hai aur use wapas laane ki koshish karta hai lekin ismein woh nakaamyab rehta hai. Aur wapas apne beede mein aane ke baad Chuck bahut rota hai. Kyunki Wilson hi woh tha jisse woh pichle chaar saalon se baatein kar raha tha. Aur Wilson uska bahut achha dost tha. Shayad yeh baat aapko ajeeb si lage ki ek football ke jaane se Chuck ko itna dukh kyun hua? Lekin Chuck ke liye Wilson ek football nahi tha. Woh pichle chaar saalon se usse baatein kar raha tha. Woh uske liye ek astitva tha. Isi liye woh usse emotionally connected tha. Aur ek yahi wajah hoti hai ki Chuck ko Wilson ke jaane ka bahut dukh hota hai. Iske baad Chuck apne aage ka safar jaari rakhta hai. Aur kuch dinon ke safar ke baad jab Chuck poori tarah se thak chuka hai, toot chuka hai. Ek cargo ship uske saamne se guzarta hai aur woh log use dekh lete hai aur use bacha lete hai. Ab Chuck apne ghar apni jagah par wapas laut chuka hai. Lekin wapas lautne ke baad woh dekhta hai ki sab kuch badal chuka hai. Kyunki un logon ne jo uske family members the ya uske dost the. Unhone yeh samjha tha ki Chuck mar chuka hai aur woh uska funeral bhi kar chuke hote hai. Aur uski girlfriend Kelly jo usse bahut pyar karti thi aur Chuck bhi usse bahut pyar karta tha uski shaadi ho chuki hai. Aur ab uski ek beti bhi hai. Chuck Kelly se milne bhi jaata hai aur Kelly use dekh kar bahut khush hoti hai, use gale se laga leti hai. Lekin Kelly ka ab apna ek parivar hai isliye woh Chuck ke saath nahi ja sakti aur woh yeh tay karte hai. Ki ab un dono ke raaste alag-alag hai. Chuck ko Kelly ne ghadi di thi jo uske saath us island pe bhi thi. Woh ghadi woh usko wapas kar deta hai kyunki woh Kelly ke khaandan ki ghadi hoti hai. Chuck bolta hai ki parivar ki dharohar parivar ke paas hi rehni chahiye. Lekin Chuck Kelly ki photo apne paas rakh leta hai. Aur jaane se pehle Kelly use bolti hai ki tumne vada kiya tha ki tum wapas aaoge. Chuck bolta hai I'm so sorry. Kelly bolti hai ki main bhi. Aur jaane se pehle Chuck ko Kelly kiss karti hai. Kyunki woh aaj bhi use pyar karti hai lekin woh apne parivar ko nahi chhod sakti aur Chuck bhi nahi chahta ki Kelly apna parivar chhod kar mere saath aaye. Kelly ke paas Chuck ki ek gaadi bhi hoti hai jisse Chuck ki bahut saari yaadein judi hoti hai. Kelly us gaadi ko Chuck ko wapas kar deti hai aur Chuck usmein baith ke wahan se nikal jaata hai. Lekin jab Chuck thoda sa hi aage kya hota hai Kelly peeche khadi hoke dekh rahi hoti hai aur use Chuck ke jaane ka bahut dukh ho raha hota hai. Use lagta hai ki kuch chhoot raha hai. Woh Chuck ka naam pukarte hue bhagte hue us gaadi ke peeche jaati hai. Aur Chuck bhi gaadi wapas lekar aata hai use gale se laga leta hai. Kelly bolti hai ki mujhe pata tha ki tum zinda ho tum wapas aaoge. Lekin sab logon ne kaha ki mujhe yeh sochna band karna padega. Main aaj bhi tumse bahut pyar karti hu aur tum hi mera pehla pyar ho. Chuck bolta hai ki main bhi tumse bahut pyar karta hu. Aur iske baad woh ek doosre ko kiss karte hai. Chuck use apni gaadi mein bithata hai aur yahan par aisa lagta hai ki Chuck aur Kelly ab yahan se nikal jayengi. Lekin woh kuch der sochte rehte hai. Uske baad Chuck bolta hai, Kelly tum apne ghar wapas jao. Aur Chuck use uske ghar tak chhod deta hai. Iske baad yeh dikhate hai ki Chuck apne dost ke saath baitha hua hai. Aur woh bahut dukhi hai aur woh use batata hai ki shayad main us island pe mar jaata ya aatmahatya kar leta. Aur maine aatmahatya karne ka socha bhi, maine ek rassi banai aur faansi lagane ki koshish bhi ki lekin main nahi kar paya. Kyunki mujhe Kelly ke paas wapas aana tha, mujhe zinda rehna tha. Aur isi liye bas main saans leta raha. Shayad main bimar bhi pad jaata. Lekin main sirf Kelly ke liye zinda raha. Aur aaj jab main wapas aa gaya hu to maine Kelly ko kho diya hai. Aur woh bahut emotional ho jaata hai. Halanki is poori movie mein Kelly aur Chuck ka love angle bahut zyada nahi dikhaya. Lekin isse yeh pata chalta hai ki in dono ke beech mein bahut hi gehra pyar tha aur yeh ek doosre ke bina nahi reh sakte the. Lekin waqt ne, situation ne Kelly ko apne raaste pe chalne ke liye majboor kar diya tha aur usne shaadi kar li thi aur ab Chuck akela tha. Lekin zindagi ko aage badhna hi hota hai. Aur ant mein yeh dikhate hai ki Chuck ke paas aaj bhi ek package hai jo us island se bacha ke laya hai. Jab unka jahaz dooba tha to bahut saare packages kinare pe aa gaye the aur usmein se ek package aaj bhi uske paas hai jis par wings bane hue hai. Angel ke wings. Darasal yeh us island pe uske paas last package hota hai jise usne khola nahi hota. Aur woh yeh sochta hai ki agar woh ghar jayega to is package ko zaroor deliver karega kyunki woh apne kaam mein bahut responsible hota hai. Aur kahin na kahin ek yeh bhi kaaran tha ki usne apne aap ko zinda rakha kyunki uske andar sense of duty bahut zyada thi. Aur woh yeh package wapas karne aata hai lekin ghar pe koi nahi hota. To woh us package ko darwaze pe rakh deta hai. Aur uspe ek note likh deta hai ki This package saved my life. Thank you, Chuck Noland. Aur wahan se chala jaata hai. Aur iske baad yeh dikhate hai ki woh ek chaurahe pe khada hai jahan par woh confused hai ki woh jaaye kahan. Aur woh map dekh raha hota hai tabhi yahan pe ek ladki aati hai. Woh bolti hai ki shayad tum kho gaye ho. Chuck bolta hai vaakai. Woh kehti hai ki kahan jaa rahe ho? Chuck bolta hai ki main yahi decide kar raha tha. Iske baad woh ladki charo roads ka usko rasta batati hai ki konsi road kahan jaa rahi hai aur woh wahan se nikal jaati hai. Aur uske truck pe bhi wohi wings bane hote hai jo us package pe bane hote hai aur woh bhi usi taraf jaati hai jahan se Chuck abhi parcel ko deliver karke aaya hai. Aur iske baad Chuck uske truck ko jaata hua dekhta rehta hai aur smile karta hai. Darasal yeh wohi ladki hoti hai jiske ghar mein Chuck abhi-abhi parcel ko drop karke aaya hai. Aur jab film shuru hoti hai to film ki shuruat mein bhi yehi ghar dikhate hai aur uske upar likha hota hai Dick aur Bettina. Lekin jab Chuck chaar saal baad wahan jaata hai to uske upar Dick nahi likha hota sirf Bettina likha hota hai. Iska matlab ki isne bhi apna partner kho diya hai jaise Chuck ne kho diya hai aur ab yeh dono hi akele hai. To ho sakta hai ki aage yeh dono apni life ko continue kare. Isi liye Chuck pehle aakhri mein charon raston ko dekhta hai. Aur uske baad us taraf dekhta hai jis taraf woh lady gayi hoti hai aur uski aankhon mein ek ummeed aur chehre pe smile hoti hai. Aur isi ke saath yeh film khatam ho jaati hai. Yeh film 22 December san 2000 ko release hui thi. Aur is film ka budget tha 90 million dollars aur isne kamaye the 429 million dollars. Is film mein mukhya kalakar the Tom Hanks jinhone Chuck Noland ka kirdaar nibhaya aur Helen Hunt jinhone Kelly ka kirdaar nibhaya. Ummeed karta hu ki yeh kahani aapko pasand aayi hogi. Hamare channel ko subscribe karna na bhule aur bell icon bhi dabaye taki jab bhi hum koi naya video dale to uski notification aapko mil jaye.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript