Thumbnail for TAURUS 2026 YEARLY PREDICTION वृषभ के लिए 2026 वार्षिक भविष्यवाणी BY KUMAR JOSHI by kumar Joshi's astroworld

TAURUS 2026 YEARLY PREDICTION वृषभ के लिए 2026 वार्षिक भविष्यवाणी BY KUMAR JOSHI

kumar Joshi's astroworld

24m 50s3,656 words~19 min read
Auto-Generated

[0:00]Namaste. 2026 aur vrishabh lagn ke liye kaisa rahega? Dekhiye, agar future mein koi badalwat hum agar nahin kar sakte hain, to aise video ka koi matlab nahin hota. Yaani ki, hum definitely kar sakte hain. Bahut kuchh change kar sakte hain. 2026 Vrishabh lagn ke liye, very first thing, aap job kar rahe ho, ya aap business kar rahe ho, aap housewife ho, kuchh bhi ho, aap retired personality ho, kuchh bhi ho. 2026 mein, aapke 6, 8 aur 12ve sthan se koi bhi negative planet ka movement nahin hai. Negative planet matlab rahu aur shani particularly. Toh shani aur rahu se aapka 6, 8 aur 12va sthan ekdam mukt hai. Yaani ki, ye sthal aapko 100% bahut bada naya business ka proposal lekar aayega, ye ho sakta hai. Avivahit logon ke liye vivah ka mauka bhi milega is saal mein. Aur jo old age hai, ya ghar plan kar rahe hain, jinhone dekha hai, ghar ka sapna dekha hai. Generally, aap logon ka ghar ka jo mamla hai, bahut vriddhavastha, yaani ki old age aap logon ka bahut achchha hota hai. Bahut achchha old age hota hai. Dusri baat, jo ghar hota hai, iske vishay mein bhi aap lagbhag bad luck nahin hote, lagbhag, unless aapke 4th house mein birth ka rahu ho ya shani ho toh hi, otherwise ghar bhi bahut shandar hota hai. Aur is saal mein, dekhiye, jo guru ki position, guru teen rashi badal raha hai. Yaani ki, shuruaat mein, guru aapke liye, jo January se ye May tak Mithun rashi mein movement karega. January to May. Mithun rashi se movement karega, yaani ki aapke dhan sthan se movement karega. Yaani ki, is waqt aapka parivar, January to May mein, parivar badega, income badega, naya source of income aayega. Aur agar aap naukri karte honge, toh promotion milega. January to May tak bahut badhiya time. Kuchh naya branch kholna ho, naya kaam karna ho, zaroor kariyega, aage badhiyega. Main ismein particularly jo aapko aur aage date bataunga. Grahan ka date hai, careful rehne ka date hai, usko thoda kahin mark kar dijiyega. January to May bahut achchha rahega aapke liye. Ab, jaise hi June mahina shuru hoga, 21st June se 30th October tak, ye Guru Maharaj aapke tritiya sthan mein honge. Ye aapke bhai-bahan, padosiyon ke saath ke relations ko improve karne ki koshish karega. Yaani ki, bhaiyon se kabhi-kabhi hota hai ki kuchh controversy ho jaati hai jeevan mein. Usko aap bahut had tak compromise kar sakoge, kar sakoge, bhai-bahan ho toh bhi. Parivarik jo particularly, parivar ka jo badhawa hai, ye January se May tak ka hai. But June se October, aapke liye avivahit logon ke liye pura vivah ka mauka milega. Maine zyada tar Taurus walon ko, vrishabh lagn ke jo log hain, dekha hai. Aap bahut sundar hain, romantic hain, handsome personality, beautiful personality, charming personality. Aur vrishabh lagn ki particularly female hai, gardan chhoti hoti hai, lekin khana khane ke bahut shaukeen hote hain. Aankhen bahut sundar hoti hain, vanyog hota hai aap log ka. Toh 21, lekin marriage life mein kahin na kahin adjustment karna padta hai aapko. Jeevansathi aisa rubabdar nahin hota, dubla-patla hota hai. But parivar ke liye jaan de deta hai. Main ye isliye har baar bolta hoon, avivahit logon ko particularly agar aap sochoge ki nahin, mere ko mere jaisa hi ladki chahiye ya ladka chahiye, toh woh aapko nahin milta. Aap jaisa khubsoorat aapka jeevansathi nahin hota. Unless aapke saptam mein shukra ho, toh hi, otherwise nahin hota. 99% case mein aisa nahin hota. Toh June se October avivahit logon ko vivah ka mauka bhi milega. Koi chhota-mota travelling bhi hota rahega. Aap November aur December, ye ghar lene ka time hai, old age plan karne ka time hai. November aur December ke dauran hamare Maharashtra mein shast kumbh snan hoga. Aur iska dhwajarohan hoga 31 October 2026, jo jaise hi surya singh rashi mein pravesh karega. Ye December 12 tarikh tak si rashi mein, baad mein 13 tarikh se ye vakri hoga. Aur 24 January tak ye si rashi mein hi rahega, lekin retrograde rahega. Is baar guru ne had kar di hai, generally aisa nahin hota. Guru teen rashi mein bhraman nahin karta. Is baar guru achcha hai, teeno rashi mein se bhraman kar raha hai, lekin aapke liye 6, 8, 12 mein nahin hai. Toh is saal koi bahut bada move, jaise main toh manta hoon ki January se May mein paise ka barish hona chahiye. Vrishabh matlab ek toh maine bataya ki bahut sundar hote hain. Aur paise ka rashi hi vrishabh hai. Yaani ki, maine Taurus financially koi rarely dekhe hain, maine jo financially weak hote hain. But dekhiye, agar financially weak bhi ho, toh bhi zindagi jeena aap logon ko aata hai. Zindagi jeena ek kala hai. Aur vrishabh, Tula aur Meen, ye teeno teen ko hi kala aata hai zindagi jeene ka. And you know how to live the life. Kuchh paisa nahin hai toh aap jaise log vrishabh wale, Tula wale, Meen wale, mandir mein jaake dance karenge, bhajan, bhajan anand karenge, kirtan karenge. Sangeet ke saath dharm ko koi jod sakta hai, toh vrishabh, Tula aur Meen hi jod sakta hai. Aur aap woh cheez hain. Sangeet, paisa nahin hai toh sangeet mein anand lenge, lekin kaise bhi karke zindagi jeena aap achhi tarah se jaante hain. So is saal mein, ek step aage jaana hai 2026 mein aapko. Definitely, jaise hi do-teen mahina hoga, aapko anubhav aayega. Mere date-wise video definitely dekhiyega. Date-wise mein main teen-teen din tak ka prediction deta hoon, aur woh kaam karta hai. Aur comment box mein aap log likhte hain negative days bahut achhi tarah kaam karte hain. Aap logon ka birth ka planet ka movement bhi bada zaroori hai. Jaise maine pehle hi bataya ki is baar Rahu aapke dasham sthan mein. Aur dasham mein Rahu jisko dasham mein, duniya uski bas mein.

[6:27]Yaani ki, ye aapko Rahu dasham mein 18 May 2025 se aaya hai. Ye 4 December 2026 tak koi bahut bada ohde pe, politician se mulaqat bhi karwayega, bahut badi jagah pe bithayega aapko. 18 May 25 se 4 December 26 tak ye Rahu dasham mein. Yaani ki, apni jagah pe apne amrit ko peene ke liye woh line mein nahin baithhega, na baithhne dega. Apni jo jagah ke liye aap layak hain, us jagah pe aap kaise bhi karke pahunchoge 4 December 2026 tak. 5 December 26 se ye Rahu peechhe hatega, aur Makar rashi mein jayega dedh saal ke liye, June 2028 tak, 23rd June. 2028 tak. Ye aapke baad mein dharm karya mein badha dalna shuru karega. Lekin agar jo agar aap koi bhi Khaadi ke desh mein jaane ki koshish karte honge, toh ye December 2026 ke baad, yaani ki 2027 aapko foreign ka yog bhi banayega.

[7:26]Khaadi ke desh mein safalta bhi dilwayega. But ab date wise prediction mein zaroor usko dekhiyega. Ab dekhen har saal ki tarah main careful rehne ki date batata hoon. Isliye bata raha hoon, mere monthly videos mein toh date bhi bataunga, aur detail mein jaunga. But careful rehne ka jo time hai, isliye bata raha hoon, jaise kuchh planning kar paoge. Aise time pe kahin bahut long trip pe jaana ho, kisi ki shaadi mein jaana ho, kuchh postpone kar doge toh better rahega. Jaise, 20 December 2025 se leke 12 January 2026. Ye is saal ka pehla savdhani ka date hai. Ye tanav rahega. Aapko driving se careful rehna hai. Generally, vrishabh walon ke paas car na ho, ye bahut rare dekha hai maine. Hota hi hai. Khud ko chalaane nahin aayega, lekin aata hai. Unke paas car hota hai, baithe hote hain. Ye ghar mein vrishabh ka bachcha paida ho gaya, toh bhi car ho jaata hai. Maa-baap ko lagta hai ki ye humari car hai, woh bachche ki car hai. Vrishabh lagn, Tula lagn aur Meen lagn, usmein vrishabh sabse zyada lucky financially. Libra balancing karta rahega, Meen hamesha anand mein rahega. 1 January se 12 January tanav mein beetega, stress mein beetega. Aapke pati ya patni ke parivar mein koi function hoga, jahan aapko jaana padega, thoda tanav rahega. Bahut drive, long drive rahega 200-300 km din ka. Toh taliyega. Saath mein koi driver 50-100 km tak theek hai, zyada drive nahin kariyega. Ek particularly 20 December se 12 January tak.

[9:00]Year ka start bhi risky hai, aur close bhi. Ab aapko date wise aage badhta hoon. Dekhiye, 26 March se 18 April. Aapko kharch hoga. Ye ho sakta hai ki is samay mein agar aap foreign jaana chahte ho, 26 March se 18 April. Foreign mein ho aur PR ke liye apply kar rakha ho, toh ye 26 March se 18 April PR bhi milega. Ye kuchh loneliness feel karne ka time hai. Paisa waparne ka time, foreign jaane ka time.

[9:34]Foreign agar already hai toh ye PR milne ka time. 26 March se 18 April mein, koi maine bola aisa opposite sex, particularly if you are a Taurus ascendant and male, toh toh biwi aur bachchon ke pichhe shopping karne jao, paisa waparne ka anand lo. Ye exam agar khatam hota hai bachchon ka April, 26, 26 March se 18 April bol raha hoon. Toh zaroor jaaiyega, aur bachche agar samjho aap bade hain, toh toh aapko enjoy karna chahiye is time mein paisa waparne ka time. 18 April tak. 26 March se. 2 September se 5 November, 2nd September to 5th November, court ka date ho aapka. Dekhiye, 2nd September to 5th November bhi bol raha hoon, aur 22 November se 31 December bhi bol raha hoon. Yaani ki, ismein September, October aur December.

[10:22]Thoda November thoda relief hai 6 November se 21 November tak. Koi court ka date ho, ya kisi se jhagda ho jaaye aisa mahol ho, is samay mein dekhiye, kuchh karz lenge, ye sambhavit hai. Kyunki jaise hi Shast Guru hoga aapka, yaani ki, si rashi mein, aur aap apna business badhane ki koshish karenge. Aur ye si rashi mein guru aa jayega aapka November-December mein. Yaani ki, November-December mein kuchh karz bhi dikhai de raha hai. Yaani ki, ye karz leke aap aur ek step aage badhne ki koshish karenge. Aapka janam kundli mein, birth chart mein, agar aapke chhathhe sthan mein guru hai, toh karz se ek haath door rahiyega. Nahin toh karz baad mein maine jo anubhav aisa kiya hai, jaise surya ho aapke chhathhe sthan mein, neech rashi ka. Baad mein kya karz hai, ye sab badhta rehta hai. Chhathhe sthan mein Guru ho, chhathhe sthan mein surya bhi neech rashi ka ho jaata hai aap logon ka. Toh thoda savdhan rehna chahiye, matlab karz nahin lena chahiye, in short. Aap karz lekar bhi aage badhenge, aisi aadat hai agar aapko, toh birth chart definitely kisi astrologer ko batakar aage move kariyega. Is saal mein aapko savdhan rehne ka date maine bataya aapko. Ye sab date aapko mere post section mein dikhai dega, aap taaki decision lene mein aapko suvidha rahe. Dekhiye, businessman ke liye, job person ke liye, January se May mein apna promotion ka danka bajaa hi denge aap. Businessman hain, toh expansion ke liye aap jayenge hi. Aur aap logon ko kaam kiske saath karna padta hai? Chhote logon ke saath, labor ke saath, worker ke saath, chhote matlab bahut mehnati logon ke saath aapko kaam karna padta hai. Aapka karm sthan ka swami shani hai. Aur shani ko kamchori nahin chalta. Aap daaru peete ho, galat karte ho, shani aapko patak dega. Shani jo aadmi aaj ka kaam kal pe dal dega, usko shani dand deta hai. Dandnayak hai shani. He's a policeman of a God. Devtaon ka ye policeman. Toh January se May mein poori lage raho, mehnat karo aur promotion pa lo. Bahut achchha samay hai. Businessman hain toh expansion karo. Student ke liye 6, 8, 12 se guru ka movement nahin hai. Ab jab main monthly prediction karunga, usmein date-wise prediction bhi karunga. Student ke liye basically bahut achchhe samay se ja rahe hain aap. Financially, you are the rich people, and student ke liye bhi achchha samay hai, take the advantage, yaani ki PhD kar rahe ho, koi competitive exam de rahe ho, toh toh aap June se October mein bahut achchha time hai aapke liye student ko. June se October, 21 June se 30 October tak Guru Kark rashi ka ho jayega, aapka aapke higher education ke house ko dekhega. Bahut achchha samay hai, take the advantage. Health ke liye maine September, October aur December ko careful rehne ko bola hai. Koi court ka date ho, postpone kar dene ka. Court se do haath door raho September, October aur December mein. Be smart. November last week, dekhiye September pura mahina, October pura mahina, aur November ka last week aur December pura mahina, court ka litigation ho, jhagda ho kahin. Thoda door se hi Ram-Ram kar dijiyega court ko. Agar aap zyada gadbad karoge, toh zyada pareshani hoga. Foreign settlement ke liye maine pehle hi bataya. Dekhiye, 13 January se 5 February, aap kahin ghoomne firne ja sakte ho. Paisa hai toh foreign bhi ja sakte ho. But foreign mein residential, PR ke liye 26 March se leke 18 April tak. Yaani ki, I have written last week of March and first three week of April may be a miracle. PR mil sakta hai, foreign land pe aapko fayda ho sakta hai. Maine bola aisa, ye time mein kuchh wrong decision bhi hoga. Maine aapko sign karne ke liye 26 March se 18 April ko careful rehne ka date bataya maine aapko. Sign karna ho koi bhi. Kyunki maine pehle hi bataya ki paisa waparne ka time hai, kuchh galti bhi hoga is samay mein. Jaldbazi mein koi court ka paper-vaper sign nahin karne ka 26 March se 18 April mein. Take the opinion, advice of some some experienced person, ke bhai ye main karu ya nahin. Arre jo ho sake, woh decision toh pending hi rakh do 26 March se 18 April. But kisi ne gun rakh diya, kabhi-kabhi urgent decision lene padte hain. Toh hoshiyari se lijiyega, nahin toh koi opposite sex, yaani ki particularly agar aap Taurus ascendant hain, Vrishabh lagn hai, toh koi na koi aurat, koi na koi ladki aapko bottle mein utar degi. 26 March se 18 April mein aapko bewakoof bana dega. Jab bhoot ko utarte hain, jin ko utarte hain bottle mein, aise aapko koi fasa sakta hai, ye baat main bol raha hoon. Isko yaad rakhiyega. Those who are planning for the child, dekhiye, aaj ke zamane mein zyada tar maine dekha hai, ek toh vrishabh hai toh bahut sundar hote hain, doosre hazaar nakhre, shaadi late karte hain, career important hai, ye woh, particularly 9th sthan mein shani hoga toh fir poochho hi mat. Woh swagrahi shani hai, toh foreign jayenge, ye karenge, woh karenge, shaadi late hoti hai, fir bachche nahin hote. Bachche ko plan karna ho, toh June se October best time hai. 21 June se October mein chh mahine ka time. Ismein is tarah se plan karo, ki conceive ho jao, baad mein aage ka kaam toh nature karta hi hai, God aapko madad karta hi hai. June to October mein child plan karne ke liye, particularly if you are a Taurus female, bahut achchha samay rahega June se October mein baby plan karne ke liye. Aur jeevansathi aapka, maine pehle hi bataya ki marriage life ek adjustment hai. Avivahit logon ke liye maine June to October vivah karne ke liye achchha samay hai maine bola aisa, aur adjustment ke liye prepare raho. Aap jaisa sundar, handsome, personality wala jeevansathi aapko nahin milta. Thoda adjustment karna padta hai, dubla-patla milta hai. But aapke parivar mein jab bhi problem aayega, aapka jeevansathi sabse pehle front level par aayega, aur us musibat mein woh aapko bahut saath dega. Ye aapke jeevansathi ka extra character hai.

[16:39]Aur ye kabhi-kabhi chukte hain Taurus wale bahut baar, maine ye dekha hai. Ab June to October avivahit logon ke liye vivah ka mauka, child plan karne ka mauka, student ke liye bhi bahut sundar samay hai. January to May I say, expansion of the business, family ka, parivar ka badhawa, parivar bada hoga, business expansion hoga, jobless logon ko job milega, aapko business ke liye achchha rahega, aur money flow zabardast rahega. Yaani ki, koi bahut bada jackpot jisko bol sakte ho, aisa paisa dega. Aur November-December aapke liye ye ghar plan karne ke liye achchha hai.

[17:35]Zyada tar main dekhta hoon, ab dekhiye, sab achchha bataya maine, ghar plan karna ho, old age plan karna ho. Meri tarah agar aap retired hain, this is the great time, November-December mein aap aapka old age plan kar paoge. Ab bole, sab-sab kuchh aapne achchha bataya, minus kya hai? Minus hai, aap ghar se katoge baar-baar. Baar-baar katte hue apne aapko paoge. December particularly dekhiye, 2026 tak, ye Ketu Maharaj aapke fourth house se ja raha hai. 18 May se 2025 ki baat kar raha hoon. 18 May 25 se 4 December 2026 tak baar-baar aap ghar se kat rahe hain. Yaani ki, kahin na kahin aapko jaana pad raha hai travelling mein. Aapki mummy hai, mata ji ki tabiyat ka, health ka bhi issue aata hoga aapko, aayega 18 May se 4 December tak.

[18:25]Mummy ko blood pressure ka problem rahega aapka, nahin toh dikhai dega. Kutte ko khana khilate raho, aapki mata ji ko bolo, aap bhi karoge toh achha hi hai. Aur teen blanket ka daan kar dijiyega yearly. Matlab abhi winter season aayega thandi ka. May, not everyday nahin bol raha hoon, once in a year bol raha hoon. Matlab pura koi bhi season mein. Abhi particularly aapke security ke log kaam karte hain woh hain, sweeper hai aapke society ka. Unko doge toh aur zyada fayda hai. 18 May 2025 se 4 December 2026 tak.

[19:01]Ye Ketu Fourth house se jayega. Aur aapke ghar pe anjaan aadmi ko mat lao. Irshyaloo aadmi ko mat lao. Jo nazar battu bol sakte hain, nazar-nazar dosh aapke ghar ko lag sakta hai. Kabhi-kabhi kuchh logon ka mansikta aisa hota hai ki hum ghar pe leke aaoge, woh turant dekhega ki aap jahan rehte hain, us area ka jo rate hai, woh itna rupaiya rate hai, aapka ghar itna rupaiya ka hai. Nazar lagta hai aapke ghar ko. Anjaan logon ko ghar pe nahin laana hai aapko December 2026 tak. Aapka kaisa hai? Dekhiye, you are very talkative. Baaten karne mein bahut hoshiyar hain, dildar kism ke log hain, maine jitne bhi Taurus dekhe hain. Aur ghar pe laoge toh nazar lag jayega. Fir aapki pragati ruk jayegi, gati ruk jayegi. Uska upaay hai, nazar battu jo bolte hain, jaise Gomati chakra hai. Saat Gomati chakra ka ya toh jeb mein rakho, ya toh us Gomati chakra ka bracelet milta hai aajkal market mein, woh pahannoge gale mein, bracelet, gale mein pahannoge, Gomati chakra toh chalega. Haath mein pahannoge toh achha hai. Nahin toh purse mein rakho, seven Gomati chakra bol raha hoon. Lagbhag Rs.10-15 ka ek aata hai. Rs.10 ka ek aata hai. Woh saat bol raha hoon, yaani Rs.70 mein kaam ho jayega. Ab dekhiyega, student ke liye dhuandhar saal hai. Is saal mein chaar grahan hai. Ek grahan February mein, ek grahan March mein aur do grahan August mein. Ye main isliye bata raha hoon aapko, August mein koi bahut bada plan karne ke chakkar mein aap honge, toh dekhiye 12 August ko ek surya grahan hai, aur 28 August ko ek chandra grahan hai. Ye dono Hindustan mein dikhne wala nahin hai, lekin aapki kundli mein toh dikhega kahin na kahin. Doosra 17 February ko ek surya grahan hai, aur 3 March ko ek chandra grahan hai. Ye date ko yaad rakhiyega, iske date ke aage-pichhe, saat din aage ya saat din pichhe, car lena ho, koi achha karya karna ho, toh isko postpone karo. Kuchh dekhiye, main aapko is saal 19 April se 12 May mein vehicle lene ka yog bana hai. Vaahan yog bana hai. Mere monthly videos mein aur detail mein jaunga, date-wise tak prediction karunga. Foreign settlement ke liye bhi maine date bataya. Jaise 13 January se 5 February tak aap kahin ghoomne-firne ja sakte hain. Career ke liye jo bhi aap edi-choti ka zor lagate ho, ye May tak laga do. Naukri kar rahe hain, toh aapka karm sthan ka swami shani hai. Be sincere, be loyal to your work, jo bhi kaam karte hain. Kal pe daloge, shani nahin chhodega aapko. Aap kaise anandi personality hai. Maine bola aisa abhi aapka health ke liye careful rehne ka jo time maine bola. Aap logon ka September, October and December I said, health ke liye careful rehne ka time bola. Jo cheez aapko pata hai ki ye nahin, doctor ne na bola hai, fir bhi aap karte ho. Aur particularly 40-45 ke baad aapke health ke data aapke paas hone chahiye. Woh hamesha rakho, aur jis cheez se aapko door rehne ko bola hai, usse barabar doori banake rakho health ke mamle mein, particularly. In short, ye mahina aapke liye ye saal 2026, aap jo bhi level pe hain, usse ek level aap aage jaane wale hain. Kahin kaam-dhandhe mein main nahin manta koi takleef hoga. Hum toh bolte hain, main hamesha bolta hoon, rahu jisko dasham mein, duniya uski bas mein. Aur rahu aapke dasham mein. Woh yean-kean aapko bahut badi level pe pahunchayega. Aur ek bolta hoon, main zindagi jeete hain teen, Vrishabh, Tula aur Meen. Aur aap Vrishabh hain. You know how to live the life. Bas ye aise video dekhkar uska advantage lo. Video achha lagega, toh doosron ko forward bhi karo, aur ye jo main jo bol raha tha, ye saari dates, particularly, ye saari date aapko post section mein dikhai degi, taaki aapko decision lene mein easy rahega. Mere video apne doston ko please forward kariyega, taaki iska reach badhe. Thank you very much for listening.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript