[0:10]Bhagwandas Ram ram bhagwandas Ram ram Bhai ram ram Aaja Bhai Beth
[0:18]Arey waah bhagwandas bete ki shadi to bade Dhoom dhaam se Kari hai Khoob kharcha kiya hai bhaiya par ab jo karja lia hai wo kaise utaroge? Arey bhaiya ek hi to ladka hai use padha likha bhi to raha hu Bada aadmi banega to saara karz utar jayega or fr bhagwan ne 2 haath bhi to diye hai. Jis tarah kaam kar rahe the kar lenge paise kama lenge Or fr ek samay ki roti nai khayenge to marr thodi na jayenge Jaisi tumhari marzi bhaiya par aajkal ke zamane me apni aulaad pe itna andhvishwas theek nai hai. Arey bhaiya Mera beta hai wo mera apne baap ki budhape ki laathi hai. Accha bhaiya abb chlte hai Ram ram. Ram ram bhaiya Sharda mai kaam pe hokar aata hu
[1:25]Sharda Arii oo sharda Areyy aaj aap jaldi aa gaye kaam nahi Mila kya? Arey bhai abb kya saari umar kaam hi karta rahunga beta jawan ho chla hai Bahut pdh likh liya hai Abb wo kaam karega or mai araam farmaunga Gol mol baatein na Kia Karo ji Hua kya hai wo batao Accha to suno bhyii thekedar sahab ne Hume kaam par se nikal diya Kehte ki bhagwandas abb tumhare bss ki nahi hai ye kaam vaam Humne bohot haath pair jode Bohot minnte kari par inkaar hi kar dia Accha tum betho mai paani lekar aati hu
[2:09]Reading newspaper D-D das hazaar rupay ke liye Sharabi bete ne kiya baap ka khun. Khooon? Ajii tum kyu ghabra rahe ho Tumhare paas to 100 rupay bhi nahi hai Ek jhopdi hai wo bhi barish ka paani chhan chhan ke nehlati hai mazak udati ho gareeb ka Ajii apna shravan to aise logo se Bilkul dur hai Dekhna Ek din pdh likh kar itna bada aadmi banega fir log kahenge Wo dekho shravan ki ma wo dekho shravan ke pita Mera to Khushi se kaleja hi fatt jayega Arii pagli Accha ye batao Kaha Tak pdh likh liya hai apna shravan Arey bhyii. Abb mai thera anpdh gawaar barabar akhbaar ke akshar to jaise taise jod jod kar pdh leta hu Mujhe kya pata kaha Tak hoti hogi ye pdhai or likhai Ha par itna zarur hai 20-22 saal se pdh raha hai apna shravan 20vi 21vi kaksha Tak to pdh hi liya hoga Or fr koi buri lat bhi to nahi lagi hai apne shravan ko Theek kehte ho ji Varna Aaj kal ke zamane me kaha milti hai aisi santaan Arey bahu ye kya kar rahi ho? (Shravan) ma Mujhse nahi hota ye sb pehle to saara din Ghar ka kaam kaaj karo Fr ye budhe buddhi ki seva me lage raho (students were laughing) Arey ma tum thoda bohot kaam nai kr skti kya? Wo bechari saara din apne kaam me lagi rhti hai Kya tum thoda bohot kaam nai kr skti Or bauji tum aaj kaam par nai jaana kya? Kaam par jayenge kaha se Thekedar sahab ne tumhare baap ko naukri se nikal diya hai Kya? Kaam par nai jayenge Areyy kaam par nai jayenge to ghr ka khrcha kaise chlega Aur meri p-pdhai wo kaise hogi? Mere to saare kaam hi rukk jayege Kaam par to Jana pdega Vaise bhi ghar bethke karna kya hai Tain Tain tain tain Hmm muft ki rotiya todne ko yaha nahi milengi Roti khani hai to kaam to karna pdega Chlo ji Areyy roti kyu hai sharda beta hi to hai apna thoda gusse me tha Bete ki baaton ka kya bura maan na vaise bhi ma baap to bhagwan ke banaye huye wo naukar hai Jo aulaad ko muft me hi mil Jaya karte hai Chlo mai kaam dhund kr aata hu
[4:56]Sab mai samaan uthau sab? Sab mai samaan uthau kya? Arey ye tere jaise buddho ka kaam nai hai chla ja yaha se Sab utha lene do sab 2 paise ayenge to ghr roti le jaunga sab Accha accha theek hai par sambhal ke uthana samaan bhari hai aur kimti bhi Ji sab
[5:18]Areyy gira diya na kaha tha na tere bski nahi hai budhe Or ye bag ki chain kaise khuli hai tune chori kri budhe? Sahab gareeb hu magar chor nahi (Drunk) areyy chori karta hai peeto saale ko Beta tuu aur sharab Accha to ye Tera beta hai Sala khoon me hi kharabi hai Baap chor to beta maha chor Sahab wo chor nahi pdha likha hai sahab Pdha likha or ye arey isne to kabhi school me jhaank ke bhi nahi dekha Ha par gundagardi krne ki wjh se police jarur pkd ke le ja chuki hai Ek number ka sharabi or awara hai ye nahi sahab nahi Beta tu kuch bolta kyu nahi hai Shravan kuch bol
[6:14]Bete tu aa gaya aa beth Mai tere liye paani lekar aati hu
[6:21]Shravan le beta paani pee le
[6:26]Shravan Ajii dekhiye na apne shravan ko kuch bolta hi nahi Na jaane kiski Nazar lg gayi hamari khushio ko aap hi bataiye na isse kya hua hai Areyy kya bolega ye kis muh se bolega A-aap aisa kyu keh rahe hai yee to hamara sapna hai na jisse humne pdhaya li Areyy koi pdha likha nahi hai ye hum apna pet kaat kaat kar iske liye paise laate rahe Or ye aiyaashion me udata raha jo mai karz lekar paisa laya wo isne sharab or jute me udaya Kyu Kia tune Aisa Kyu Diya dhokha? Or kya karta mai kya auro ki tarah mera mann nai karta ki mai bhi acche kpde pehnu acche ghr me rahu Kya iss gareeb ghr me janm Lena hi mera gunah hai? Or vaise bhi iss dukh bhari zindagi ke alawa diya hi kya hai aapne mujhe Areyy kiya hi kya hai mere liye kiya hi kya hai Sahi kehta hai beta humne Kiya hi kya hai tere liye Ye jo teri ma dinbhar bhukhi rehti thi taki pet bhar kar kha ske uska beta Hum raat raat bhr so nahi paate the taki tu theek se so ske par humne Kiya hi kya hai tere liye To nikal kyu nahi jaate iss ghr se Ha vaise bhi iss mare bail ko ghar me rakhke kroge bhi kya kaam ke na kaaj ke dushman anaaj ke Areyy bahu kuch to sharm kr vaise bhi koode kachre ko jyada din ghar me Warna badbu fail jati hai shravan Tu beech me mat aa ma nikal jaane de isse vaise bhi kaam kaaj to iske bass ka hai nahi Beta mujhe mat nikaal beta mai iss budhape me kaha jaunga kiske sahare Zinda rahunga Mujhe mat nikal beta agar nikalna hi hai to apne kaandhe par nikal beta apne kaandhe par Mujhe kuch nahi sunna abb kahi or dhundlo apna thikana chalo ji Mai jaata hu kaha jaa rahe hai aap mat jaiye na sharda mujhe jaane do sharda Mai bhi chalti hu aapke saath Nahi sharda mai tumhe apne saath beghar nahi kar skta Kaha ja rahe hai aap nahi
[8:39]Bhagwandas areyy oo bhagwandas Nahi hai mar gaya wo Mar gaya? Arey usne Jo mujhse karza lia tha uska kya? Jisne liya hai ussi se lo Accha ussi se lo ussi se lo chlo niklo yaha se Bhgwandas ye jhopdi mere paas girwi rkhkr gaya tha mere paas Nahi malik nahi hume beghar mat kro malik nahi malik nahi Kya keh raha tha jisko diya ussi se lo nahi malik nahi yaha dikh mat jana Nahi to taange kaat duga taange Nahi malik jisko diya tha ussi se lu Nahi malik taange kaat duga taange
[9:25]Menka? Arey bahu Menka kaha ja Rahi ho menka Apne pita ji ke paas par shadi ke baad to pati ka ghar hi sabkuch hota hai na Par pati ke paas to abb kuch bhi nahi khud to beghar ho kaha khaoge kaha sologe Kaam kaaj to tum krte nahi khud bhi bhukhe maroge mujhe bhi tum maroge jaa Rahi hu mai Nahi menka mat jao menka chodo mujhe nahi menka Abb hum kaha jayenge kaha rahenge ma Beta tu pareshan mat ho mai kama ke laungi tere liye Ma tum kaise mai ghr ghr jaake mazduri karugi kaam mangugi par tere liye kama ke laungi beta
[10:54]Aaj Mera beta pet bhrke khana khayega Aaj mera shravan pet bhrke khana khayega
[11:03]Shravan beta uth dekh mai tere liye khana leke aai hu le beta khana kha Bs itna sa khana beta aj itna hi khana mila Isse to mera pet bhi nai bhrega ye kuch paise mile the kuch aaj ke khane me laga diye Or kuch kl ke khane ke liye bacha liye Itne se paise kyu mile Kash bhagwan ne mujhe andha banaya hota To log taras khake mujhe jyada bheek dete or mai apne bete ka pet bhr skti Kash bhagwan ne mujhe andha banaya hota Ye paise mujhe dede ma nahi shravan ye kal ke khane ke liye hai beta
[11:46]Kash bhagwan ne mujhe andha banaya hota
[12:40]Sharda arii o sharda Sharda chalo mai tumhe lene aaya hu sharda Sharda Sharda chalo sharda mai tumhe lene aaya hu sharda Sharda chalo sharda hum iss nark se bohot dur chle jayenge Sharda Sharda utho sharda sharda sharda Mujhe maaf krdo sharda sharda mujhe maaf krdo sharda Mujhe maaf krdo maine tumhe iss nark me chhora sharda sharda sharda Hey uth tune mara dala meri sharda ko uth Ma tune mar dala meri sharda ko Ma ma utho na ma mat chhu usse ma mt keh usse ma ma shabd apmaan lagta hai tere muh se
[13:35]Uthana maa ma sharda maa sharda ma babuji arey koi to suno
[14:03]Arey koi to suno ma babuji mujhe maaf krdo suno na ma



