[0:00]Tawakkal Allah pe rakho. Yaqin us Allah subhanahu wa ta'ala par rakho. Just believe in Almighty Allah. Wo aapko kabhi tanha nahi chhodega. Wo aapko kabhi bhuka nahi rakhega. Bas himmat nahi harna. Ye nahi samajhna ki Allah ne mujhe chhod diya hai. Allah ne mera saath chhod diya hai. Allah mujhe bhool gaya hai. Kabhi mat sochna. Allah apne bande ko nahi bhulta, balki banda, banda Allah ko bhul jata hai. Banda Allah ko, banda apne Rab ko bhula baithta hai. But Allah apne bande ko kabhi, kabhi nahi bhulta. Allah ko hamesha apna banda mahboob hota hai. Tabhi to Allah subhanahu wa ta'ala khilata hai, pilata hai, har ek nemat se nawazta hai. Rizq ke liye kabhi na ummeed na hona. Himmat nahi har na ki mai khud ko kaise manage karunga? How do I manage my family? Mai apni family ko kaise manage karunga? Bas Allah par tawakkal karna, bharosa rakhna. Allah ne tamam insano ko is duniya mein lane se pehle unka rizq likh diya hai. Ki kisko kab tak rizq milega. Aur jab tak aap mein jaan hai, tab tak aapko rizq milkar rahega. Allah aapko rizq dega. Aur aap mein jaan jab chali jayegi, phir rizq ka darwaza band ho jayega. But Allah kabhi bhuka nahi rakhega aapko. Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki ek bahut hi pyari si Hadees hai, jis mein Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain,
[1:41]Agar tum Allah par is tarah tawakkal karne lago, is tarah bharosa karne lago, is tarah yaqin rakhne lago, jaisa ki tawakkal ka haq hai. Toh tumhe Allah subhanahu wa ta'ala is tarah rozi dega, tumhe is tarah rozi di jayegi, jis tarah parindon ko di jati hai. Woh subah khali pet nikalte hain aur sham ko jab apne nest mein wapas aate hain, ghosle mein wapas aa jate hain, toh bhare pet wapas aa jate hain. Unko tawakkal hota hai Rab pe, ki hamein kab, kabhi Rab bhuka nahi rakhega. Bas yahi aise hi tawakkal bande ko hona chahiye. Aisa hi tawakkal har ek insaan ko, har ek shakhs ko hona chahiye. Especially Muslims. Hamein Allah par bharosa rakhna chahiye. Allah Quran mein farmate hain, Innalaha yuhibbul mutawakkileen. Allah loves those, Allah subhanahu wa ta'ala loves those who rely upon Him, who believe upon Him. Jo bharosa rakhte hain, jo tawakkal rakhte hain us Rab pe. Isliye my brothers and sisters, kabhi disapponit na ho, kabhi mayus na ho. Kabhi mayus na ho rizq ke bare mein, ki mujhe rizq kahan se milega. Arey Allah subhanahu wa ta'ala toh unko bhi bhuka nahi rakhta jo sadkon pe pade hote hain. Jinke paas rehne ki koi jagah nahi hai. Allah subhanahu wa ta'ala unko bhuka nahi rakhta. Phir woh chahe kisi se bheekh mang kar khayein ya khud kama kar khayein. Yeh alag baat hai, but Allah unko kabhi bhuka nahi rakhta. Allah zariya banata hai kisi ko. Jis Allah subhanahu wa ta'ala ne Hazrat Yunus Alaihi Salam ko bhuka nahi rakha jab woh machli ke pet mein bahut din the. Jab Allah subhanahu wa ta'ala ne usko rizq wahan pe band nahi kiya, toh tumhe itni pareshani kyu ho rahi hai ki mujhe kahan se milega. Tu itna soch mein kyu baitha hai, ki mai kya karunga rizq ke liye? Struggle karo, mehnat karo, mashaqqat karo, halal kamao, halal khao. Allah ne zindagi di hai toh kamao. Zariya banaya hai Allah ne. Kamane ka zariya, aap kamao to dega Allah subhanahu wa ta'ala. Jis Allah subhanahu wa ta'ala ne Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ko rizq band nahi kiya jab se aag mein dala gaya tha. Jab wahan pe Allah subhanahu wa ta'ala ne usko rizq diya, toh tumhe kyu nahi dega? Tum toh Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke ummati ho. Paighambar tamanna karte the, ki kaash hum Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke ummati hote, kaash hum Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke ummati hote. Tum par Allah ne kitna karam kiya hai, tum toh ummati ho Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke. You are the Ummah of Prophet Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam. Then why are you thinking so much? Aap itna kyu soch rahe ho rizq ke liye? Allah subhanahu wa ta'ala Quran mein bhi farmate hain, rizq. Ki Allah subhanahu wa ta'ala apne bande ko aisi jagah se rozi deta hai ki usko koi guman nahi hota hai.
[4:40]Usne kabhi socha nahi hota hai ki mujhe is tarah rizq milega. Aur jo shakhs Allah par tawakkal karega, Allah iske liye kaafi hoga. Allah is sufficient for him.



