[0:00]Rabbi yassir wala tuasir wamim bil khair. Kisi bhi zuban ko sikhne ka aaghaz uske alphabet se kiya jata hai. Arabi ke huruf-e-tahajji jinhe main alphabet bhi keh raha hun, huruf-e-hijaa kehlate hain. Arabi zuban mein istemal hone wale huruf-ul-hijaa jinhe hum huruf-e-tahajji ya alphabet keh sakte hain ya kehte hain, yeh kitne hai aur kon kon se? In dono sawalon ka jawab main aapko board par dunga huruf likhkar aur unhe pronounce karke, kyunki in huruf ki pronunciation jo hai woh clear hona bohat zaroori hai. Pehla harf jo hai woh hai jee Alif aur dusra harf hai Urdu mein Be lekin Arabi mein iski pronunciation jo hai woh hai Ba. Yahin se main aapko usool bata doon, jo huruf hum Urdu mein ek hi awaaz par khatam karte hain. Alif ke akhir mein aye hai, Be ke akhir mein aye hai. Definitely. Toh jis harf ke akhir mein aapko aye ki awaaz sunayi de, Arabi mein aapne usko aa ki awaaz ke sath padhna hai. Toh yeh harf hai Alif. Yeh Ba. Pehle aap Urdu mein padhke dekh lein ise, Be Ba. Te Ta. Se Sa. Jeem Jeem. He Ha. Khe Kha. Daal Daal. Zaal Zaal. Re Ra. Ze Za. Seen Seen. Sheen Sheen. Saad Saad. Chaudah ho gaye? Zaad Zaad. To-e To-a. Zo-e Zo-a. Ain Ain. Ghain Ghain. Fe Fa. Qaaf Qaaf. Kaaf Kaaf. Laam Laam. Meem Meem. Noon Noon. He Ha. Waao Waao. Ye Ya. Kitne ho gaye? 28. Arabi zubaan mein istemal hone wale huruf-ul-hijaa ki tadad 28 hai. Sath sath maine har row mein likhe hain takay aapko pata chale ke char rows mein aap inhein yaad kar sakte hain. In huruf mein se koi harf aisa hai jo aap Urdu bolne wale Urdu padhne wale na jante hon? Sab jante hain. 28 huruf ho gaye. Ab in huruf mein ek harf agar main add kar doon, toh huruf ki tadad ho jayegi 29 aur woh harf hai Hamza. Ulama ne Hamza ko alag se harf kyun consider nahi kiya? Kuch alamate likh raha hun aap sab waqif hain. Yeh kya alamat hai jee? Zabar, mashallah sabko pata hai. Yeh Zair. Yeh Pesh. Zabar, zair, pesh, sab waqif hain. Yeh harakat kehlaati hain. Harakat ka opposite kya hota hai? Sukoon. Sukoon ke liye aamtaur par aisi alamat dali hoti hai. Yeh alamat pesh ke sath mix hone ke chances hain bohat zyada. Main yeh likh raha honga ho sakta hai uska munh ban jaye aap use pesh samajh lein. Main pesh likh raha honga ho sakta hai uska munh na bane aap use sukoon samajh lein. Toh is confusion ka hal hum yeh nikalenge ke hum sukoon ki alamat ke liye yeh alamat nahi balkay yeh wali alamat istemal karenge takay confusion kisi qism ki na rahe. Isliye aap dekh rahe hain ke woh jo dua likhi hai usme aapko sukoon ke liye yehi alamat dali hui mil rahi hai, baqi wahi alamate hain. Han, ek jo shadd ki alamat aapko nazar aa rahi hai, shadd, alag se alamat nahi hai. Yeh aise hai ke jis harf pe shadd hoti hai woh harf do martaba istemal hua hota hai. Ek martaba saakin soorat mein, yaani ek martaba uss pe sukoon hota hai, aur dusri martaba uss pe harkat hoti hai jo ke hum padh rahe hote hain. Jaise ke ab yahan par Ba pe shadd hai na, toh yeh asal mein tha Rab bi. Pehla Ba saakin aur dusra Ba zair ke sath wala. Toh woh dono Baon ko merge kar diya gaya aur uss pe shadd dal di gayi toh koi nayi alamat nahi hai yani aapne confuse nahi hona. Toh yeh teen harakaat hain aur ek hai alamat-e-sukoon. In se aap sab waqif hain. Pehla harf hai na Alif, is Alif par jab bhi in teeno harkaton mein se koi harkat aa jaye, jaise aise, aise, aise, ya Alif saakin ho jaye. Ab is Alif ko Alif nahi kaha jayega balkay Hamza kaha jayega. Isliye ulama kehte hain ke Hamza koi alag se harf nahi hai. Alif hi Hamza ban jata hai jab uss par zair aa jaye, zabar aa jaye, pesh aa jaye, ya uss pe alamat-e-sukoon aa jaye. Toh isliye usko us list mein shamil nahi kiya gaya. In charon soorton ke ilawa yeh Alif hi kehlayega aur Alif hi rahega. Ab main agar aapke samne Quran-e-Majeed se kuch alfaz likhun board pe aur aapse poochun ke mujhe bataiye is lafz mein Alif hai ya nahi toh main umeed karta hun ke aap jawab denge. Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam pe jo pehli wahi nazil hui uske pehle alfaz the Iqra. Yeh bataiye ke Iqra lafz mein Alif hai? Sab mutafiq hain? Yeh Hamza hai? Kyun? Isliye ke Alif pe zair hai. Yeh Hamza hai, isliye ke ispe sukoon ya jazm ki alamat hai. Is lafz Iqra mein Alif nahi hai.
[5:35]Iske huruf aap padh dein toh aap kahenge yeh Hamza hai, yeh Qaaf hai, yeh Ra hai, mashallah, ab ise Ra nahi kehna aapne kyunki aap Lisanul Quran course mein baithe hain. Yeh Ra hai aur yeh Hamza hai. Iqra lafz mein pehchan liya ke Alif nahi hai. Insan. Aur insan jo hai yeh bhi Arabi ka lafz hai aur Quran ka lafz hai. Mostly jo alfaz aapke samne is course mein aayenge woh Quran ke hi honge inshallah Tala. Insan. Insan lafz mein Alif hai? Insan lafz mein Alif hai. Konsa wala Alif hai? Yeh Seen ke baad wala jo hai yeh Alif hai aur pehla wala Hamza hai. Huruf aur harakat ke milne se lafz bante hain lafz. In huruf aur harakat aur alamat-e-sukoon, in char alamaton ke milane se bohat sare alfaz bana sakte hain. Do aqsaam hoti hain lafz ki. Aqsaam nahi hoti. Aqsaam hoti hain. Ek qism hoti hai jiske kuch mana hote hain mana, main nahi hote, mana, aur kuch lafz aise hote hain jiske mana nahi hote. Toh goya lafz ki do aqsaam huin: ba mana aur be mana. Quran mein koi be mana lafz ho sakta hai? No.
[6:53]Lihaaza is pe toh hum time nahi lagayenge na. Hum apna syllabus ek dafa clear kar lein na ke humne padhna kya hai. Hum padhenge jee ba mana alfaz jiske kuch na kuch mana honge. Ab yeh jo ba mana lafz hota hai isko grammar mein kalimah kehte hain. Kalimah nahi kehte, kyunki hum bachpan se yahi padhte aaye hain jee pehla kalimah tayyab aur tayyab maine pak. Toh kalimah ba mana lafz hota hai, lihaaza Quran-e-Majeed mein aapko jo bhi lafz milega woh kalimah hoga. Ba mana ko grammar ki istilah mein kalimah kehte hain aur kalimah kitni aqsaam ka hota hai woh Insha Allah Tala hum apne dusre lecture mein padhenge. Subhanaka Allahumma wa bihamdika, Ashhadu alla ilaha illa anta.



