[0:00]Bhai, ye bachcha itna kismatwala hai, itna kismatwala hai ki paida hote hi lakhpati ban gaya. Abe, kaise? To suno, is bachche ka naam hai Jami. Jis din ye bachcha paida hua tha, us din ka date tha 7/11/2019. Par hairan ki baat to ye hai ki paida hone ka time bhi 7:11 tha. Par hosh to tab ud gaya jab pata chala iska weight bhi 7 pound 11 oz hai. Lekin, asli khel to ab shuru hota hai. Jab ek 7-Eleven naam ke company ko iske bare mein pata chalta hai to usne apna promotion karne ke liye is bachche ko bahut sara kapda, bahut sara diaper, lifetime ke liye education free kar diya. Aur to aur paise bhi 7111 dollar de diya.
Watch on YouTube
Share
MORE TRANSCRIPTS



