Thumbnail for बातचीत इतनी deep हुई कि founder ज़मीन पर ही बैठ गया! | Shark Tank India S5 | Full Pitch by Shark Tank India

बातचीत इतनी deep हुई कि founder ज़मीन पर ही बैठ गया! | Shark Tank India S5 | Full Pitch

Shark Tank India

19m 33s3,392 words~17 min read
Auto-Generated

[0:18]Hi sharks. Aapke side mein Goat Oats ke shorts rakhe hain. Aur aaj hum khelenge ek game. Bhai sahab. Jiska naam hai Never Have I Ever. Main ek statement bolunga, aur woh cheez aapne kabhi bhi ki hogi, toh aap Goat Oats ka shot lenge. Never Have I Ever Skipped breakfast kyuki main late ho raha tha. We are all supposed to drink a little bit. Chalo. Yummy, yummy in the tummy. Never have I ever forced myself to eat something yucky just because it was healthy. Yahin pe hota hai bahut baar humein healthy khana padta hai. Oh.

[1:05]Ye Mocha to solid hai boss. Thank you so much. Aap sabhi ne ek na ek shot toh liya hi hoga. Ji. Toh ye kahani sirf aapki nahi, hamare desh ki hai. India mein khane peene ki adat ko koi nahi sudhar sakta. Aur healthy eating tabhi mumkin hai jab woh simple, sustainable aur tasty ho. Isliye humne banaya hai Goat Life. High-protein oats jo sirf 30 seconds mein ban jate hain. Ye ek complete meal hai jismein aapko 10 se 20 gram protein milte hain. Chia aur flax seed ka fiber milte hain. Aur jab breakfast Mocha, Mango, Choco-nut, Kulfi, Tiramisu jaise flavors mein aaega, toh aap uski kurbani kabhi nahi doge. Main hu Yash Kalra Kota se, aur aaj meri ask hai 36 lakh rupees for 1% of my company. Aur aaj agar mujhe deal nahi mili, toh main. Nahi, baith jaunga. That's a good one. Aapki umar kya hai Yash? Depends kon pooch raha hai. Main puch rahi hu. You should say 45, she is asking. Nahi nahi. She is looking pretty. Thank you very much. Not that that's guaranteeing you a deal, but anyway, bataiye aapki umar kya hai? Agar meri team poochti hai, toh main 23 saal ka hoon. Internet pe main 25 saal ka hoon. Asli umar 26 saal. Bahut badhiya. Kyu aise teen umar kyu? Kyunki ek umar sirf perspective janne ke liye hoti hai. Toh meri team wale mujhse resonate kar paye, toh main 23 ka ho jata hoon. Internet pe under 25 stories zyada trending karti hai, toh internet pe 25 ka hoon. Aur aaj asli batani padegi. Oh god. Yash thoda apne baare mein bataiye ki kaise aap 23, 25, aur 26 saal ki umar mein ye Goat banana shuru kiya aapne. Sir, toh main Kota mein pala badha hoon. I come from a Punjabi family jo bachpan se khane-peene ke bhi shaukeen hain aur sab ko weight loss karne ka pata nahi chaska chadha hua hai. Kitni baar kam bhi kiya hai, badhaya bhi hai. In total maine bhi 20 kilo lose kiya hai. Meri family ne 140. 20 kilo lose kiya aapne? Haanji. Toh 11-12 se maine meri fitness journey start kar di thi. Phir main Bombay gaya padhne. Toh wahan pe khud hi sab kuch cook karna padta tha. Toh in total maine abhi tak mein 2100 se upar oatmeals toh kha liye hain. Oh my god! Oh my god. Lot of oats. Aur 10,000 se upar ande kha chuka hoon. Kya baat kar raha hai bhai! Phir jab main Covid mein wapas aaya Kota, maine meri pehli company ki shuruat kari, jo thi Wise Egg. Usmein humne 10 egg whites ko infuse kiya tha natural fruit pulp ke sath aur ek drink banaya tha jisko aap bas khole, pi le. Wo taste fruity jaisa karta hai, par 10 ando ka nutrition milta hai aapko. But usko phir humne lambe time tak nahi chala paye, kyuki uski shelf life naturally nahi bada pa rahe the hum log. Toh kab shuru kiya humne phir Goat Life? Goat humne chalu kiya 11 July, 2023 mein. 5 lakh rupees se start kiya, jismein 2 lakh rupees humein Government of Rajasthan ne diye aur 3 lakh rupees meri khud ki savings thi. Bhai teri packaging bahut achhi hai. Bahut cool hai. Thank you so much. Jo likha bhi hai, personalized card. Outstanding. Thank you so much sir. Aur jo I like about this is 20 gram protein jo aapne likha hai. In one meal like morning, this is amazing. matlab I probably will be a permanent customer. I love the taste also. Thank you so much. Yeh bata 20 gram protein karne ke liye kiya kya hai? matlab what have you changed? Sabse zyada jis se protein aata hai woh hai whey. Uske baad thoda protein oats deta hai, skim milk powder deta hai. Ismein kitna whey dala hai aapne? 50-60% whey se hota hai. Abhi research ye nikalne laga hai ki oats ek peasant food hua karta tha. And according to the latest health studies, it's actually maybe not good for you. Ek hi concern jo sabse zyada hype up hua hai is the GI. Right? Ki aapka glucose badha deta hai oats. Agar aap koi sa bhi carbs ko high fiber aur protein ke sath khaoge na, toh woh aapka spike level kar dega. Because humne usmein 20 gram protein add kiya hua hai, that is much stable, much longer aur aap lambe time tak us energy ko sustain kar paoge. Tumhara naam hai oat. Right? You're called goat. This you named it after me, so thank you. Right. But I will always be around, lekin maybe oats will not be around. So why are you itna tightly kyu coupled kiya hai oats ke sath? So, sir humne isko aur zyada tightly coupled kiya tha. Toh mera first name tha Goat. G O A T. Phir humne last year ke around we got this feedback a lot ki yaar tum sirf oats mein restrict hoke reh jaoge. Right now also it's Goat lifestyle.

[5:16]Toh we promote that mindset. Are you saying that you can extend to other products? 100%. But breakfast category mein. Iska main competition hai whey protein. Kyunki normally log aaj kal healthy whey protein wagairah ke shakes le rahe hain. Right. Woh zyada prefer kar rahe hain ya ye? Jaise whey protein agar aap dekhoge toh 2.5 se 3,000 rupees per kg se start hota hai. Plus usmein aapko sirf whey mil raha hai. At similar price point jab aapko whey ke sath-sath pura meal mil raha hai, toh you will prefer that. Aapka target market kya hai specifically? 18 to 35 wali janta jo actual bhi Instagram se leke hamare purchase power se dono yahi karti hain. So late millennials and Gen Z. Right. Got it. On a general note hum log aloo paratha, aloo puri, ye kha ke bade ho rahe the. Aap sahi bata ki aaj kal ke jo Gen Zs wagairah hain zyada oat kha rahe hain kya? Wo healthier choices kha rahe hain. Wo protein bars bhi kha rahe hain, protein shakes bhi bahut consume kar rahe hain. Wo healthier alternatives dhund rahe hain. Community ke bare mein thoda bataiye ki kya aapne community ko apne sath mein joda hai aur kya aapke business strategy ka wo ek hissa hai? 100%. Toh hamare initial jo 30 lakh ka revenue hai woh kisi aur channel se nahi bas offline events se aaya hai. Hamari community jo hai woh is very transparent. Jis tarah se main content banata hoon, jis tarah se main raw, authentically sab kuch batata hoon mere Instagram pe, is something that they'll love to connect with. Ek baar dikhana, ek baar Instagram dikha do jo bol rahe the. Good idea. How many followers you have? We have 12K followers. Toh bahut zyada to nahi hai? Brand content ko aaj kal log kam consume karte hain. Yeah. It's good. Hamara engagement rate is 8%. Which is very nice. Yash, just pick one. Tu khada ho ja yaar abhi kitna baithega. Pick one organic reel.

[6:53]All are organic. You can choose any. Nice. Bilkul Gen Z vibe jaise teri vibe hai, same. Aapka khud ka content nahi banate aap? Main bahut content banata hoon. Ek baar aapka content dikhao kyuki jo aapne bataya wo sahi hai. Brand handles ko utna log nahi follow karte jitna individuals ko karte hain. Today's Day 15 and no this isn't just another viral idea. Because we sold Oh, my packages today. When we first went to Blinkit, we were a small brand. They took a big bet on us.

[7:37]Maybe before even we were ready. And their only question was, will you be able to create awareness? Will people even know who you are? So we had one goal that we'll do whatever it takes to make people notice Goat Life and Blinkit. That's when we came up with this idea. 30 days, 30 crazy ideas every single day. Yash, I think, I think you know your stuff well. I think you know Gen Zs well. Tu oats nahi bech raha hai, tu vibe bech raha hai. Solid hai. Sir, ismein apni sales aur channels dono bata dena. Unit economics bhi bata dena. Mereko pata tha ye question aaega Amit Jain se. Ab pure India ko pata hai ye question aaega inka. First year hamara July 23 tha. 23 se 24 mein humne kiya ₹11 lakh. Aur 24-25 mein humne kiya ₹25 lakh. 25-26 abhi tak mein humne kiya ₹2 crore plus. Pure saal kitna karenge? ₹5 crore. ₹5 crore. Last month kitna kiya? Last month ₹90 lakh. Wow! And why ₹90 lakh last month ye ek seasonal cheez hai ya koi event hua aapka? Hum log kafi saare limited drops karte hain. X amount of pieces launch karenge itne din ke liye. Agar aap khareed sakte ho toh khareedo. Jaise sneakers mein karte hain. Usmein wo tune oats mein kiya hai. Wo oats mein kiya hai. Kamaal hai bhai. Humara plan hai ki hum har teen mahine mein ek drop karenge. Us drop ka size bada kar dete hain.

[10:18]Toh pehla drop tha wo 2000 box beche the. Dusre drop mein 10,000 box beche 10 din mein. Awesome. Toh kitne flavours hain? Existing flavours cheh hain.

[10:27]Jismein Mocha and Choco-Nut highest sellers hain. Mango, Kulfi, Tiramisu, Cookies & Cream, Hazelnut and Strawberry Swirl. If you're happier sitting down then sit down and talk. Jaisa aap bolo. Agar aap deal de rahe ho toh main foot jaunga wapas baithne. Nahi nahi, khade hi raho. Nahi nahi mere bhai. 25 saal ka hai, confidence dekh. Achha suno, aapka plan hai beyond oats jaane ka? 100%. Aur wo kya hai? First, ek saal mein toh hamara focus hai ki isi category ko thoda aur grow karenge kyuki category hi bahut zyada grow kar rahi hai. Quick commerce ki baat karta hoon. Toh ₹40 crore ka monthly category hai. ₹40 crore kis cheez ka hai? Oats category. Just oats. Just oats? Quick commerce. Quick commerce is ₹40 crore.

[11:08]Protein oats ka usmein se 45% market hai. 45%? Toh about ₹20 crore. Haan. About ₹20 crore monthly jo ki double digit se grow kar raha hai har mahine. Mujhe ye bata ki abhi aapne funding-wunding uthayi hai kahin se? Haanji. Kahan se? Humne first round of funding raise kiya March mein, ₹1.1 crore, jo ki D2C insider ne lead kiya tha. Achha Abhishek wali. Right. Okay. Kya valuation? Seven pre, eight post. Wo hamara pre-revenue type round tha jismein hum ₹2 lakh mahina kar rahe the aur ye offline events ke through hi kar rahe the. Uske baad humne October Diwali ke time pe bridge round raise kiya hai because hamara Blinkit as a channel live ho gaya tha. Toh humein working capital aur hamara ek drop aa raha tha Tiramisu wala. Toh is wala round humne raise kiya ₹1.6 crore. What valuation? ₹15 crore, ₹20 cap. Toh ye ₹20 crore post money tha? Right. And today you are asking for ₹36 crore as a valuation. Right. You think this pricing is okay, ₹119 for 75 gram? Matlab we give high quality, valuable products. Sara product hamari in-house manufacturing mein banta hai jo ki Kota mein hai. We are the Nahi wo thik hai. I am just asking agar price point acceptance hai market mein. Acceptance hai market mein. There's no issue. Achha tere breakfast ke sath kya obsession hai? Aisa kya dikh raha hai tumhe jo auro ko nahi dikhta hai? Breakfast as a meal is the most important meal of the day. Mere din ki pehli meal right nahi jaati hai na toh din hila-hila lagta hai. I feel the same. I'm a huge breakfast guy. Main uthta hi bhooka hoon. Right. Mainko pata tha, aap breakfast guy ho, isliye main dekho leke aaya hoon ye. Hot. Oh! That's what I'm talking about, baby. I love it. I love it. But logical reason kya hai iska to focus on breakfast as opposed to becoming a food brand? Agar main do common modern day breakfast ki baat karoon jo oats cereal. In dono ko mila ke jo ₹7000 crore ki category hai. Lekin wahan pe growth zyada nahi hai us ₹7000 crore ki category mein? Growth ho rahi hai na abhi. But very small segment mein ho rahi hai. But us growth mein bhi naye players bahut time se nahi aaye hain aur kisi koi aaya bhi hai, toh puraane players hi dominate kar rahe hain. Yeah. Meri hisab se aap breakfast ke sath mein Gen Z vibe serve kar rahe ho logo ko. Toh maine bola tha. Jo bahut achhi baat hai. Aapko apna category kafi achhe se samajh mein aata hai aur specially apne users tak kaise pahunchna hai wo bahut achhe se samajh mein aata hai. Thank you so much sir. Usliye full marks and hence here's the deal. Main ₹60 lakh aapko offer karunga for 3% of your company. Jo aapke pichhle round ke cap pe hai. ₹20 crore. Yash, ₹1 crore for 5%. Yash kya kar raha hai? Sun le ek second. Maine tere liye ek gana likha hai. Oh my god. Bheege oat tere, pyasa dil mera. Tujhe offer doon, aisa man hai mera. Please sir, please. Same. ₹1 crore 5%. Let's do it. Chal, mere ab do sawal pooch loon, uske baad main bhi offer decide kar loonga apna. Breakfast ek repeat category hoti hai. Hamara repeat 40% hai. Kitni plant capacity aapki hai aapki? Currently hum log 4000 packet din ke bana rahe hain.

[14:09]Agar main Saturday-Sunday wagairah hata doon toh hum log 80-90,000 bana sakte hain, do lines chalti hain. Aur hamara jo abhi manufacturing facility hai, humne ek NGO ke sath tie up kar rakha hai. Wo puri women-forced hai. Saari workers, helpers, sab log wahin se aate hain. Lovely. That's a beautiful thing. Mereko bahut hi maza aaya tere se mil ke Yash. Thank you so much sir. I love what you've done in vertical integration and repeat rate just bowled me over. I'll make you an offer. I can do both either a larger money like ₹1 crore at 5%, I'm fine with that too. Right. Or agar aapko dilution zyada nahi karna toh ₹36 lakh for 1.8%, which is ₹20 crore valuation again, but lesser dilution. So, I am open to both offers. Yaar chal, main change karta hoon. ₹1 crore mein main tere ko 4% mein karta hoon, lekin fatfat close kar yaar. Namita ka bacha hai. Namita, bata kya karna hai? Arre bhai. Yash. Bolu main offer doon? Hello, can I talk please? I am a very big believer that champions eat oats for breakfast. So that's why I'm in aur main aapko offer doongi same as Amit, which is ₹36 lakh for 1.8%. Okay, I'll do ₹1 crore 4%. Same. I'll also do ₹1 crore 4%. I'll match ₹1 crore 4%. Main ek please call karke aa sakta hoon? Haan, haan. Bhaiya dekhiye ki young brands kaise. Aditya Yash bol raha hoon. Haanji, haanji. Bhai sab logo ne offer diya hai. Maza aa gaya hai. Bahut badhiya. Sweet kid. Good energy. Pehle aisa hota tha jab ye bahar jata tha hum sab discuss karte the. Sab combined offers. Abhi combine nahi karna hai. Boring ho gaya, mereko nahi karna hai combine. Achha achha. Kya kar raha hai bhai? Kya decision liya hai? Kya kar raha hai? Mainko dar laga. Can we please do ₹60 lakh Amit, Aman, Ritesh, Namita, Anupam? Nahi humko five shark deal nahi karni hai. Main yaar ek do se shirt laga ke aaya hoon. Arre bhai, teri shirt teri jagah pe. Mujhe nahi karni. Teri shirt yaar, yahan investment kar rahe hain hum teri shirt ke. Mujhe nahi karni hai vibe. ₹60 lakh, ₹60 lakh? Toh clearly batao aapka counter kya hai? ₹60 lakh 2%, 2%, 2%, 2%, 2%. 10% dilute karunga. ₹3 crore. Mujhe nahi karni hai vibe. Check in. Main tang aa gaya. Nahi yaar, usmein maza nahi aaega. Toh kya hoga na ek-do percent mein tera kuch bhi outcome ho jaaye, it will never be meaningful enough for one shark. Eh, Yash, you can't go wrong with whoever you pick so just pick one. Can I pick two? You can't. Can I pick two? You can't. Can I pick two? Can I give you? Can I give you? Me and Ritesh are combining. Can I give you? Yes, you can pick. Okay. Me and Ritesh combine. Two crore for 8% will do. They're giving you a valuation of 25 crore. Can you guys do the same offer? Anupam and Aman? Yash, so I am out of this. Why? Kyun? Aap you've decided that you're gonna take from. No, he hasn't decided. He hasn't decided. Bhai, he's just asking. He's just asking. He's just asking. Theek hai. Fine. Karni hai Aman? Kya kya deal hai? You and you and me, 4%, 4% at 25. ₹1 crore each, 4%, 4%. Which is 8% for both of us. Right? Decision hai, kisko lena chah raha hai tu? Main Aman aur Anupam ka offer le raha hoon, which is ₹2 crore for 8% of the company. Alright, deal done. Good choice. Uss se toh main keh raha tha main out ho raha hoon. Arre matlab mere ko laga nahi tha ki ye wo bol raha tha us time. Wo wahi bol raha tha. Nahi tera wala style tha. Haan niche kar, abhi niche karte hain, baith ke karte hain. Oh god. Teen bandar. Hum content-first brand hain, aur Aman ka brand size bahut zyada strong hai, ye sabko pata hai. Isliye Aman ko lana is sensible. Dusra, Anupam is industry mein bahut zyada time se hain. Aur hum log kuch agar lack karte hain toh thoda sa experience hi hai, toh humne socha experience aur branding ka power sath mein leke aate hain aur hum log badh jayenge phir. Dosto, do that with Acrobat. main aap logo ka bahut-bahut swagat hai. Mere sath Goat Life ke founder hain, in se baat karte hain overall experience kaisa raha? Welcome bhai. Hi. Overall experience kaisa raha, deal bhi mil gayi? Bahut badhiya experience raha. We got I think two offers. Kya baat hai. Toh main aapse jana chahunga ki aap healthy breakfast options banate hain, kafi research aapke products mein gayi hui hai. Kya-kya documentations ke challenges aapko face karne padte hain aapke business mein, wo bataiye. Most importantly hamare liye jo recipes hoti hain, toh woh humein share karni padti hai. Toh woh cheez kaafi important hoti hai, udhar documents bahut kaam aate hain. Then we raised two rounds, toh udhar paperwork bahut hota hai, signing work bahut hota hai aur inko sambhalna ek jagah bahut difficult hai, toh I think that is something that Kaise overcome karte hain in challenges ke? We use Adobe. Hum log signing wagairah ke liye kyuki it's a sensitive document toh password-protected documents use karte hain to make it sure, make sure ki wo sahi jagah with Goat khul raha hai. Uske alawa hum log do any sort of communication changes, we do a lot of content. Toh usmein kuch bhi scripts wagairah mein changes hota hai, uske liye kafi use hota hai. Aur kyuki aapke products mein bahut research gayi hui hai, lambe-lambe documents hote hain, toh main aapko suggest karna chahunga ki aap Adobe Acrobat AI Assistant use karein, jismein aap AI Assistant ka use karke bade-bade documents ko easily summarize kar sakte hain and apne documentation ko bada hi safe, smart aur convenient bana sakte hain. Thanks a lot humse baat karne ke liye. Thank you so much. Aaj ke do that with Acrobat mein itna hi, aap logo se milte hain agli baar.

Need another transcript?

Paste any YouTube URL to get a clean transcript in seconds.

Get a Transcript